Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Naseem Dehlvi

1799/ 1800 - 1866 | Delhi, India

Naseem Dehlavi Prominent Delhi poet who migrated Lucknow due to family disputes where he worked with Nawal Kishor press and translated 'Alif-Laila' in verse

Naseem Dehlavi Prominent Delhi poet who migrated Lucknow due to family disputes where he worked with Nawal Kishor press and translated 'Alif-Laila' in verse

Sher of Naseem Dehlvi

292
Favorite

SORT BY

naam merā sunte sharmā ga.e

tum ne to ḳhud aap ko rusvā kiyā

nam mera sunte hi sharma gae

tum ne to KHud aap ko ruswa kiya

āñkhoñ meñ hai lihāz tabassum-fizā haiñ lab

shukr-e-ḳhudā ke aaj to kuchh raah par haiñ aap

aankhon mein hai lihaz tabassum-fiza hain lab

shukr-e-KHuda ke aaj to kuchh rah par hain aap

ka.aba nahīñ hai zāhid-e-ġhāfil nishān-e-dost

dil DhūñD āshiqoñ yahī hai makān-e-dost

kaba nahin hai zahid-e-ghafil nishan-e-dost

dil DhunD aashiqon ka yahi hai makan-e-dost

rabt-e-bāham ke maze bāham raheñ to ḳhuub haiñ

yaad rakhnā jān-e-jāñ gar maiñ nahīñ to nahīñ

rabt-e-baham ke maze baham rahen to KHub hain

yaad rakhna jaan-e-jaan gar main nahin to tu nahin

kufr-o-dīñ ke qā.ede donoñ adā ho jā.eñge

zab.h vo kāfir kare muñh se kaheñ takbīr ham

kufr-o-din ke qaede donon ada ho jaenge

zabh wo kafir kare munh se kahen takbir hum

sailāb-e-chashm-e-tar se zamāna ḳharāb hai

shikve kahāñ kahāñ haiñ mire āb-dīda ke

sailab-e-chashm-e-tar se zamana KHarab hai

shikwe kahan kahan hain mere aab-dida ke

tirā jamāl banā maiñ kabhī, kabhī ehsāñ

ġharaz ye thī ki mujhe barguzīda honā thā

tera jamal bana main kabhi, kabhi ehsan

gharaz ye thi ki mujhe barguzida hona tha

ai sakinān-e-charḳh-e-muallā bacho bacho

tūfāñ huā buland mire āb-dīda

ai sakinan-e-charKH-e-mualla bacho bacho

tufan hua buland mere aab-dida ka

kabhī āġhosh meñ rahtā kabhī ruḳhsāroñ par

kaash ai āfat-e-jāñ maiñ tirā aañsū hotā

kabhi aaghosh mein rahta kabhi ruKHsaron par

kash ai aafat-e-jaan main tera aansu hota

'nasīm'-e-dehlavī ham mojid-e-bāb-e-fasāhat haiñ

koī urdu ko kyā samjhegā jaisā ham samajhte haiñ

'nasim'-e-dehlawi hum mojid-e-bab-e-fasahat hain

koi urdu ko kya samjhega jaisa hum samajhte hain

shauq-e-sharāb ḳhvāhish-e-jām-o-subū nahīñ

hai sab harām jab se ki pahlū meñ nahīñ

shauq-e-sharab KHwahish-e-jam-o-subu nahin

hai sab haram jab se ki pahlu mein tu nahin

tasadduq hone vaale pis na jaa.eñ

uThā.e haath se dāman ko chaliye

tasadduq hone wale pis na jaen

uThae hath se daman ko chaliye

nikalte haiñ barābar ashk merī donoñ āñkhoñ se

matā-e-dard tulne tarāzū ho to aisī ho

nikalte hain barabar ashk meri donon aankhon se

mata-e-dard tulne ki taraazu ho to aisi ho

allāh re taraddud-e-ḳhātir kasrateñ

tuuda banā diyā mujhe gard-e-malāl

allah re taraddud-e-KHatir ki kasraten

tuda bana diya mujhe gard-e-malal ka

kār-e-dīñ fikr-e-duniyā kījiye

zindagī thoḌī hai kyā kyā kījiye

kar-e-din ya fikr-e-duniya kijiye

zindagi thoDi hai kya kya kijiye

matlab baat kah na sake un se rāt-bhar

ma.anī bhī muñh chhupā.e hue guftugū meñ thā

matlab ki baat kah na sake un se raat-bhar

mani bhi munh chhupae hue guftugu mein tha

ḳhvāhish-e-vasl se ḳhat paḌhne ke qābil na rahā

lipTe alfāz se alfāz mukarrar ho kar

KHwahish-e-wasl se KHat paDhne ke qabil na raha

lipTe alfaz se alfaz mukarrar ho kar

mīzān-e-adālat haiñ mire dīda-e-pur-āb

ham-vazn har aañsū har aañsū nazar aayā

mizan-e-adalat hain mere dida-e-pur-ab

ham-wazn har aansu ka har aansu nazar aaya

āvāz tarah se baiTheñge aaj ai jaañ

dekheñ to aap kyūñkar ham ko uThā deñge

aawaz ki tarah se baiThenge aaj ai jaan

dekhen to aap kyunkar hum ko uTha hi denge

bhūltī haiñ kab nigāheñ chashm-e-jādū-ḳhez

ham ko sāmān-e-farāmoshī sab apnā yaad hai

bhulti hain kab nigahen chashm-e-jadu-KHez ki

hum ko saman-e-faramoshi sab apna yaad hai

rāt-din bāzū-e-mizhgāñ pe bañdhā rahtā hai

hai mirā ashk mire dīda-e-tar ta.avīz

raat-din bazu-e-mizhgan pe bandha rahta hai

hai mera ashk mere dida-e-tar ka tawiz

na yuuñ nīchī kiye gardan ko chaliye

zarā ūñchī kiye chitvan ko chaliye

na yun nichi kiye gardan ko chaliye

zara unchi kiye chitwan ko chaliye

ab vo galī jā-e-ḳhatar ho ga.ī

haal se logoñ ko ḳhabar ho ga.ī

ab wo gali ja-e-KHatar ho gai

haal se logon ko KHabar ho gai

vo jis raste se nikle dekh lenā

ki us raste meñ phir rastā na hogā

wo jis raste se nikle dekh lena

ki us raste mein phir rasta na hoga

roz ho jaatī haiñ ham se ek do aThkheliyāñ

naujavānī aaj tak baaqī hai charḳh-e-pīr

roz ho jati hain hum se ek do aThkheliyan

naujawani aaj tak baqi hai charKH-e-pir ki

maza matl.a de fikr-e-do-pahlū ho to aisī ho

raheñ hisse barābar bait-e-abrū ho to aisī ho

maza matla ka de fikr-e-do-pahlu ho to aisi ho

rahen hisse barabar bait-e-abru ho to aisi ho

husn-e-barahnagī ke uThāte baḌe maze

hotā na ruuh ko jo libās-e-badan hijāb

husn-e-barahnagi ke uThate baDe maze

hota na ruh ko jo libas-e-badan hijab

aañsū poñchh.enge kab tak ahbāb

Tapkā na rukegā chashm-e-tar

aansu ponchhenge kab tak ahbab

Tapka na rukega chashm-e-tar ka

pyaar se dushman ke vo aalam tirā jaatā rahā

aise lab chūse ki bosoñ mazā jaatā rahā

pyar se dushman ke wo aalam tera jata raha

aise lab chuse ki boson ka maza jata raha

paḌ ga.ī chhīñT to itnā na ḳhafā ho vaa.iz

mai rahegī tirī āġhosh meñ duḳhtar ho kar

paD gai chhinT to itna na KHafa ho waiz

mai rahegi teri aaghosh mein duKHtar ho kar

guñg haiñ jin ko ḳhamoshī mazā hotā hai

dahan-e-zaḳhm meñ ḳhud qufl-e-hayā hotā hai

gung hain jin ko KHamoshi ka maza hota hai

dahan-e-zaKHm mein KHud qufl-e-haya hota hai

matlab hai mirā āriz-e-pur-nūr jalva

āshiq huuñ tirā naam ko banda huuñ ḳhudā

matlab hai mera aariz-e-pur-nur ka jalwa

aashiq hun tera nam ko banda hun KHuda ka

aise musāfirān-e-adam tang-dil ga.e

muñh bhī kiyā na ālam-e-ījād taraf

aise musafiran-e-adam tang-dil gae

munh bhi kiya na aalam-e-ijad ki taraf

ai charḳh-e-pīr zor-e-javānī se dar-guzar

ab paas chāhiye tujhe pusht-e-ḳhamīda

ai charKH-e-pir zor-e-jawani se dar-guzar

ab pas chahiye tujhe pusht-e-KHamida ka

kahte haiñ jise husn vo hai shama-e-jahāñ-tāb

kahte haiñ jise ishq vo parvāna hai us

kahte hain jise husn wo hai shama-e-jahan-tab

kahte hain jise ishq wo parwana hai us ka

ai dil phir un se dostī

o ḳhāna-ḳharāb phir vahī

ai dil phir un se dosti ki

o KHana-KHarab phir wahi ki

ek se do daaġh do se chaar phir to saikḌoñ

khilte khilte phuul siine par gulistāñ ho gayā

ek se do dagh do se chaar phir to saikDon

khilte khilte phul sine par gulistan ho gaya

adab-e-bāda-parastī na gayā mastī meñ

sūrat-e-kāba tavāf-e-dar-e-mai-ḳhāna hai

adab-e-baada-parasti na gaya masti mein

surat-e-kaba tawaf-e-dar-e-mai-KHana hai

ThanDī kabhī na hoñgī kyā garmiyāñ tumhārī

āḳhir 'nasīm' dil kab tak jalā.iyegā

ThanDi kabhi na hongi kya garmiyan tumhaari

aaKHir 'nasim' ka dil kab tak jalaiyega

tumhāre husn ne har daañv meñ use jiitā

hazār tarah se ghaT-baḌh ke baazī haarā chāñd

tumhaare husn ne har danw mein use jita

hazar tarah se ghaT-baDh ke bazi haara chand

maiñ huuñ ik aur lailā maa.il

tasallī kyā mirī mahmil se hogī

main hun ek aur hi laila ka mail

tasalli kya meri mahmil se hogi

abrū meñ ḳham jabīn meñ chiiñ zulf meñ shikan

aayā jo merā naam to kis kis meñ bal paḌe

abru mein KHam jabin mein chin zulf mein shikan

aaya jo mera nam to kis kis mein bal paDe

kasrat-e-daulat meñ lutf-e-ḳhāna-barbādī bhī hai

shahd ke hone se luT jaatā hai ghar zambūr

kasrat-e-daulat mein lutf-e-KHana-barbaadi bhi hai

shahd ke hone se luT jata hai ghar zambur ka

sākin-e-masjid kabhī gah mo.atakif hai dair

millat-o-dīn-e-'nasīm'-e-dehlavī rindāna hai

sakin-e-masjid kabhi gah moatakif hai dair ka

millat-o-din-e-'nasim'-e-dehlawi rindana hai

mazmūn ke bhī sher agar hoñ to ḳhuub haiñ

kuchh ho nahīñ ga.ī ġhazal-e-āshiqāna farz

mazmun ke bhi sher agar hon to KHub hain

kuchh ho nahin gai ghazal-e-ashiqana farz

saikḌoñ man se bhī zanjīr mirī bhārī hai

vaah kyā shaukat-e-sāmān-e-gunah-gārī hai

saikDon man se bhi zanjir meri bhaari hai

wah kya shaukat-e-saman-e-gunah-gari hai

kyā us harām-ḳhor ko juz murda hai nasīb

aayā na muñh meñ gor ke luqma halāl

kya us haram-KHor ko juz murda hai nasib

aaya na munh mein gor ke luqma halal ka

hubb-e-duniyā ulfat-e-zar dil se dam-bhar kam nahīñ

us par ai zāhid irāda hai ḳhudā yaad

hubb-e-duniya ulfat-e-zar dil se dam-bhar kam nahin

us par ai zahid irada hai KHuda ki yaad ka

ḳhuub phir to samajhtā maiñ dil-e-dushman se

ek saa.at mire pahlū meñ agar hotā

KHub hi phir to samajhta main dil-e-dushman se

ek saat mere pahlu mein agar tu hota

harfoñ ke mile joḌ baḌhā husn raqam

har lafz ke paivand meñ baḳhiya hai qalam

harfon ke mile joD baDha husn raqam ka

har lafz ke paiwand mein baKHiya hai qalam ka

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now