Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Navneet Sharma's Photo'

Navneet Sharma

Sher of Navneet Sharma

phone par baat huī us se to andāza huā

apnī āvāz meñ bas aaj shāmil huā maiñ

phone par baat hui us se to andaza hua

apni aawaz mein bas aaj hi shamil hua main

mire andar mirā kuchh bhī nahīñ bas hai baaqī

tire andar batā pyāre maiñ ab kitnā bachā huuñ

mere andar mera kuchh bhi nahin bas tu hai baqi

tere andar bata pyare main ab kitna bacha hun

jiyā huuñ umr bhar maiñ bhī akelā

use bhī kyā milā nārāzgī se

jiya hun umr bhar main bhi akela

use bhi kya mila naraazgi se

kis ne sochā thā ki ḳhud se mil kar

apnī āvāz se Dar jaanā hai

kis ne socha tha ki KHud se mil kar

apni aawaz se Dar jaana hai

choT khaa.e hue lamhoñ sitam hai ki use

ruuh ke chehre pe dikhte haiñ muhāñse kitne

choT khae hue lamhon ka sitam hai ki use

ruh ke chehre pe dikhte hain muhanse kitne

ek tasvīr ko haTāyā bas

dil dīvār ḳhālī ḳhālī hai

ek taswir ko haTaya bas

dil ki diwar KHali KHali hai

apnā bādal talāshne ke liye

umar bhar dhuup meñ nahā.e ham

apna baadal talashne ke liye

umar bhar dhup mein nahae hum

mire qarīb koī ḳhvāb kaise aa paatā

ki mujh meñ rahte haiñ barsoñ se ratjage raushan

mere qarib koi KHwab kaise aa pata

ki mujh mein rahte hain barson se ratjage raushan

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now