Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Razi Raziuddin's Photo'

Razi Raziuddin

1953 | USA

Sher of Razi Raziuddin

672
Favorite

SORT BY

us jalva dikhā.ī detā hai

saare chehroñ pe sab kitāboñ meñ

us ka jalwa dikhai deta hai

sare chehron pe sab kitabon mein

nashsha-e-yār nasha mat pūchh

aisī mastī kahāñ sharāboñ meñ

nashsha-e-yar ka nasha mat puchh

aisi masti kahan sharabon mein

tamām raat tirā intizār hotā rahā

ye ek kaam yahī kārobār hotā rahā

tamam raat tera intizar hota raha

ye ek kaam yahi karobar hota raha

is añdhere meñ jalte chāñd charāġh

rakhte kis kis vo bharam hoñge

is andhere mein jalte chand charagh

rakhte kis kis ka wo bharam honge

ye zulf-e-yār bhī kyā bijliyoñ jhurmuT hai

ḳhudāyā ḳhair ho ab mere āshiyāne

ye zulf-e-yar bhi kya bijliyon ka jhurmuT hai

KHudaya KHair ho ab mere aashiyane ki

jagah bachī nahīñ dil pe choT khāne

uThā lo kaash ye aadat jo āzmāne

jagah bachi hi nahin dil pe choT khane ki

uTha lo kash ye aadat jo aazmane ki

dil ko jalā.e rakkhā hai ham ne charāġh

is ghar meñ ham haiñ aur tirā intizār hai

dil ko jalae rakkha hai hum ne charagh sa

is ghar mein hum hain aur tera intizar hai

tum na the to yahāñ pe koī na thā

aaj kitne divāne baiThe haiñ

tum na the to yahan pe koi na tha

aaj kitne diwane baiThe hain

dushman-e-jāñ haiñ sabhī saare ke saare qātil

bhī is bhiiḌ meñ kuchh der Thahar ai dil

dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil

tu bhi is bhiD mein kuchh der Thahar ja ai dil

tumhāre shahr meñ kyuuñ aaj aalam hai

sabā idhar se guzar kar udhar ga.ī ki nahīñ

tumhaare shahr mein kyun aaj hu ka aalam hai

saba idhar se guzar kar udhar gai ki nahin

qalb-o-jigar ke daaġh farozāñ kiye hue

haiñ ham bhī ehtimām-e-bahārāñ kiye hue

qalb-o-jigar ke dagh farozan kiye hue

hain hum bhi ehtimam-e-bahaaran kiye hue

chhalkā paḌā hai chehroñ se ik vahshat-e-junūñ

phailā paḌā hai ishq bāzār ḳhair ho

chhalka paDa hai chehron se ek wahshat-e-junun

phaila paDa hai ishq ka bazar KHair ho

chashma-e-nāb na baḌh kar junūñ sailāb bane

bah na jaa.e ki ye miTTī makāñ hai ab ke

chashma-e-nab na baDh kar junun sailab bane

bah na jae ki ye miTTi ka makan hai ab ke

dīvāna-e-khirad ho ki majnūn-e-ishq ho

rahnā hai us ko chāk-garebāñ kiye hue

diwana-e-khirad ho ki majnun-e-ishq ho

rahna hai us ko chaak-gareban kiye hue

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now