Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sagheer Malal's Photo'

Sagheer Malal

1951 - 1992 | Karachi, Pakistan

Sher of Sagheer Malal

1K
Favorite

SORT BY

zamāne bhar se ulajhte haiñ jis jānib se

akele-pan meñ use ham bhī kyā nahīñ kahte

zamane bhar se ulajhte hain jis ki jaanib se

akele-pan mein use hum bhi kya nahin kahte

hai ek umr se ḳhvāhish ki duur ke kahīñ

maiñ ḳhud ko ajnabī logoñ ke darmiyāñ dekhūñ

hai ek umr se KHwahish ki dur ja ke kahin

main KHud ko ajnabi logon ke darmiyan dekhun

zarūrat us hameñ hai magar ye dhyān rahe

kahāñ vo ġhair-zarūrī kahāñ zarūrī hai

zarurat us ki hamein hai magar ye dhyan rahe

kahan wo ghair-zaruri kahan zaruri hai

ta.ajjub un ko hai kyuuñ merī ḳhud-kalāmī par

har aadmī koī rāz-dāñ zarūrī hai

tajjub un ko hai kyun meri KHud-kalami par

har aadmi ka koi raaz-dan zaruri hai

un se bachnā ki bichhāte haiñ panāheñ pahle

phir yahī log kahīñ nahīñ rahne dete

un se bachna ki bichhate hain panahen pahle

phir yahi log kahin ka nahin rahne dete

raushnī hai kisī ke hone se

varna buniyād to añdherā thā

raushni hai kisi ke hone se

warna buniyaad to andhera tha

ghar ke baare meñ yahī jaan sakā huuñ ab tak

jab bhī lauTo koī darvāza khulā hotā hai

ghar ke bare mein yahi jaan saka hun ab tak

jab bhi lauTo koi darwaza khula hota hai

bas is ḳhayāl se dekhā tamām logoñ ko

jo aaj aise haiñ kaise vo kal rahe hoñge

bas is KHayal se dekha tamam logon ko

jo aaj aise hain kaise wo kal rahe honge

tere baare meñ agar ḳhāmosh huuñ maiñ aaj tak

phir tire haq meñ kisī faisla kaise huā

tere bare mein agar KHamosh hun main aaj tak

phir tere haq mein kisi ka faisla kaise hua

tamām vahm o gumāñ hai to ham bhī dhoka haiñ

isī ḳhayāl se duniyā ko maiñ ne pyaar kiyā

tamam wahm o guman hai to hum bhi dhoka hain

isi KHayal se duniya ko main ne pyar kiya

samajhtā huuñ maiñ agar sab alāmateñ us

to phir vo merī tarah se sochtā hogā

samajhta hun main agar sab alamaten us ki

to phir wo meri tarah se hi sochta hoga

mere baare meñ jo sunā ne

merī bātoñ ek hissa hai

mere bare mein jo suna tu ne

meri baaton ka ek hissa hai

shikasta-pā.ī se hotī haiñ bastiyāñ ābād

jo ab qabīla huā pahle qāfila hogā

shikasta-pai se hoti hain bastiyan aabaad

jo ab qabila hua pahle qafila hoga

sab savāloñ ke javāb ek se ho sakte haiñ

ho to sakte haiñ magar aisā kahāñ hotā hai

sab sawalon ke jawab ek se ho sakte hain

ho to sakte hain magar aisa kahan hota hai

ek lamhe meñ zamāna huā taḳhlīq 'malāl'

vahī lamha hai yahāñ aur zamāna hai vahī

ek lamhe mein zamana hua taKHliq 'malal'

wahi lamha hai yahan aur zamana hai wahi

ek rahne se yahāñ vo māvarā kaise huā

sab se pahlā aadmī ḳhud se judā kaise huā

ek rahne se yahan wo mawara kaise hua

sab se pahla aadmi KHud se juda kaise hua

Recitation

Speak Now