Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Salam Machhli shahri's Photo'

Salam Machhli shahri

1921 - 1973

One of the prominent popular poets with a romantic flavour.

One of the prominent popular poets with a romantic flavour.

Sher of Salam Machhli shahri

1.7K
Favorite

SORT BY

yuuñ āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū

jā.iye aap koī baat nahīñ

yun hi aankhon mein aa gae aansu

jaiye aap koi baat nahin

ai mire ghar fazāoñ se gurezāñ mahtāb

apne ghar ke dar-o-dīvār ko kaise chhoḌūñ

ai mere ghar ki fazaon se gurezan mahtab

apne ghar ke dar-o-diwar ko kaise chhoDun

ab mā-hasal hayāt bas ye hai ai 'salām'

cigarette jalā.ī sher kahe shādmāñ hue

ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam'

cigarette jalai sher kahe shadman hue

ġham musalsal ho to ahbāb bichhaḌ jaate haiñ

ab na koī dil-e-tanhā ke qarīñ aa.egā

gham musalsal ho to ahbab bichhaD jate hain

ab na koi dil-e-tanha ke qarin aaega

kabhī kabhī arz-e-ġham ḳhātir ham ik bahānā bhī chāhte haiñ

jab āñsuoñ se bharī hoñ āñkheñ to muskurānā bhī chāhte haiñ

kabhi kabhi arz-e-gham ki KHatir hum ek bahana bhi chahte hain

jab aansuon se bhari hon aankhen to muskurana bhi chahte hain

tum sharāb kar bhī hosh-mand rahte ho

jaane kyuuñ mujhe aisī mai-kashī nahīñ aa.ī

tum sharab pi kar bhi hosh-mand rahte ho

jaane kyun mujhe aisi mai-kashi nahin aai

raat dil ko thā sahar intizār

ab ye ġham hai kyuuñ saverā ho gayā

raat dil ko tha sahar ka intizar

ab ye gham hai kyun sawera ho gaya

shukriya ai gardish-e-jām-e-sharāb

maiñ bharī mahfil meñ tanhā ho gayā

shukriya ai gardish-e-jam-e-sharab

main bhari mahfil mein tanha ho gaya

kaash tum samajh saktīñ zindagī meñ shā.er aise din bhī aate haiñ

jab usī ke parvarda chāñd us pe hañste haiñ phuul muskurāte haiñ

kash tum samajh saktin zindagi mein shaer ki aise din bhi aate hain

jab usi ke parwarda chand us pe hanste hain phul muskuraate hain

vo dil se tañg aa ke aaj mahfil meñ husn tamkanat ḳhātir

nazar bachānā bhī chāhte haiñ nazar milānā bhī chāhte haiñ

wo dil se tang aa ke aaj mahfil mein husn ki tamkanat ki KHatir

nazar bachana bhi chahte hain nazar milana bhi chahte hain

vo sirf maiñ huuñ jo sau jannateñ sajā kar bhī

udaas udaas tanhā dikhā.ī dene lage

wo sirf main hun jo sau jannaten saja kar bhi

udas udas sa tanha dikhai dene lage

merī fikr ḳhushbū qaid ho nahīñ saktī

yuuñ to mere hoñToñ par maslahat taalā hai

meri fikr ki KHushbu qaid ho nahin sakti

yun to mere honTon par maslahat ka tala hai

merī maut ai saaqī irtiqā hai hastī

ik 'salām' jaatā hai ek aane vaalā hai

meri maut ai saqi irtiqa hai hasti ka

ek 'salam' jata hai ek aane wala hai

ajiib baat hai maiñ jab bhī kuchh udaas huā

diyā sahārā harīfoñ bad-duāoñ ne

ajib baat hai main jab bhi kuchh udas hua

diya sahaara harifon ki bad-duaon ne

aañsū huuñ hañs rahā huuñ shagūfoñ ke darmiyāñ

shabnam huuñ jal rahā huuñ sharāroñ ke shahr meñ

aansu hun hans raha hun shagufon ke darmiyan

shabnam hun jal raha hun shararon ke shahr mein

bujh ga.ī kuchh is tarah sham-e-'salām'

jaise ik bīmār achchhā ho gayā

bujh gai kuchh is tarah sham-e-'salam'

jaise ek bimar achchha ho gaya

roz puujā ke liye phuul sajātā hai 'salām'

jaane kab us ḳhudā sū-e-zamīñ aa.egā

roz puja ke liye phul sajata hai 'salam'

jaane kab us ka KHuda su-e-zamin aaega

aaj to sham.a havāoñ se ye kahtī hai 'salām'

raat bhārī hai maiñ bīmār ko kaise chhoḌūñ

aaj to shama hawaon se ye kahti hai 'salam'

raat bhaari hai main bimar ko kaise chhoDun

kabhī kabhī to sunā hai hilā diye haiñ mahal

hamāre aise ġharīboñ iltijāoñ ne

kabhi kabhi to suna hai hila diye hain mahal

hamare aise gharibon ki iltijaon ne

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now