Sher of Shad Lakhnavi
sohbat-e-vasl hai masdūd haiñ dar haa.e hijāb
nahīñ mālūm ye kis aah se sharam aatī hai
sohbat-e-wasl hai masdud hain dar hae hijab
nahin malum ye kis aah se sharam aati hai
mushkil meñ kab kisī kā koī āshnā huā
talvār jab gale se milī sar judā huā
mushkil mein kab kisi ka koi aashna hua
talwar jab gale se mili sar juda hua
na taḌapne kī ijāzat hai na fariyād kī hai
ghuT ke mar jā.ūñ ye marzī mire sayyād kī hai
na taDapne ki ijazat hai na fariyaad ki hai
ghuT ke mar jaun ye marzi mere sayyaad ki hai
jab jīte-jī na pūchhā pūchheñge kyā mare par
murde kī ruuh ko bhī ghar se nikālte haiñ
jab jite-ji na puchha puchhenge kya mare par
murde ki ruh ko bhi ghar se nikalte hain
har ek javāhar besh-bahā chamkā to ye patthar kahne lagā
jo sañg tirā vo sañg mirā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
har ek jawahar besh-baha chamka to ye patthar kahne laga
jo sang tera wo sang mera tu aur nahin main aur nahin
mirī be-rishta-dilī se use maza mil jaa.e
jigar kabāb jo koī jalā-bhunā mil jaa.e
meri be-rishta-dili se use maza mil jae
jigar kabab jo koi jala-bhuna mil jae
ishq-e-mizhgāñ meñ hazāroñ ne gale kaTvā.e
īd-e-qurbāñ meñ jo vo le ke chhurī baiTh gayā
ishq-e-mizhgan mein hazaron ne gale kaTwae
id-e-qurban mein jo wo le ke chhuri baiTh gaya
-
Tag : Eid
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vasl meñ bekār hai muñh par naqāb
sharam kā āñkhoñ pe parda chāhiye
wasl mein bekar hai munh par naqab
sharam ka aankhon pe parda chahiye
ḳhudā kā Dar na hotā gar bashar ko
ḳhudā jaane ye banda kyā na kartā
KHuda ka Dar na hota gar bashar ko
KHuda jaane ye banda kya na karta
chashm-poshoñ se rahūñ 'shād' maiñ kyā ā.īna-dār
muñh pe kaanā nahīñ kahtā hai koī kaane ko
chashm-poshon se rahun 'shad' main kya aaina-dar
munh pe kana nahin kahta hai koi kane ko
ham na bigḌeñge agar chasm-numā.ī hogī
phir kahīñ aañkh laḌā.ī to laḌā.ī hogī
hum na bigDenge agar chasm-numai hogi
phir kahin aankh laDai to laDai hogi
paanī paanī ho ḳhajālat se har ik chashm-e-habāb
jo muqābil ho mirī ashk bharī āñkhoñ se
pani pani ho KHajalat se har ek chashm-e-habab
jo muqabil ho meri ashk bhari aankhon se
chashm-e-tar ne bahā ke jū-e-sarishk
mauj-e-dariyā ko dhaar par maarā
chashm-e-tar ne baha ke ju-e-sarishk
mauj-e-dariya ko dhaar par mara
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rone se ek pal nahīñ mohlat firāq meñ
ye aañkh kyā lagī mire pīchhe balā lagī
rone se ek pal nahin mohlat firaq mein
ye aankh kya lagi mere pichhe bala lagi
lagā ke ThaT hai har suunā murādī
tamannā-e-dilī nikle kidhar se
laga ke ThaT hai har suna muradi
tamanna-e-dili nikle kidhar se
javānī se ziyāda vaqt-e-pīrī josh hotā hai
bhaḌaktā hai charāġh-e-sub.h jab ḳhāmosh hotā hai
passion runneth stronger in dotage than in youth
the flame flickers burning brighter ere it dies forsooth
jawani se ziyaada waqt-e-piri josh hota hai
bhaDakta hai charagh-e-subh jab KHamosh hota hai
passion runneth stronger in dotage than in youth
the flame flickers burning brighter ere it dies forsooth
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
vo nahā kar zulf-e-pechāñ ko jo bikhrāne lage
husn ke dariyā meñ pinhāñ saañp lahrāne lage
wo naha kar zulf-e-pechan ko jo bikhrane lage
husn ke dariya mein pinhan sanp lahrane lage
nishān-e-'mīr' hai ham se jo ham miTe ai 'shād'
ye jaan reḳhta-goī ga.ī zamāne se
nishan-e-'mir' hai hum se jo hum miTe ai 'shad'
ye jaan reKHta-goi gai zamane se
pūchhā jo shabāb-e-basharī chashm-e-fanā se
palkoñ ne sadā dī ki bharosā nahīñ pal kā
puchha jo shabab-e-bashari chashm-e-fana se
palkon ne sada di ki bharosa nahin pal ka
is se behtar aur kah leñge agar zinda haiñ 'shād'
kho gayā pahlā jo vo dīvān kyā thā kuchh na thā
is se behtar aur kah lenge agar zinda hain 'shad'
kho gaya pahla jo wo diwan kya tha kuchh na tha