Sher of Syed Yusuf Ali Khan Nazim
ye kis zohra-jabīñ kī anjuman meñ aamad aamad hai
bichhāyā hai qamar ne chāñdnī kā farsh mahfil meñ
ye kis zohra-jabin ki anjuman mein aamad aamad hai
bichhaya hai qamar ne chandni ka farsh mahfil mein
hai eid mai-kade ko chalo dekhtā hai kaun
shahd o shakar pe TuuT paḌe roza-dār aaj
hai eid mai-kade ko chalo dekhta hai kaun
shahd o shakar pe TuT paDe roza-dar aaj
vahī ma.abūd hai 'nāzim' jo hai mahbūb apnā
kaam kuchh ham ko na masjid se na but-ḳhāne se
wahi mabud hai 'nazim' jo hai mahbub apna
kaam kuchh hum ko na masjid se na but-KHane se
iid ke din jā.iye kyuuñ īd-gāh
jab ki dar-e-mai-kada vā ho gayā
id ke din jaiye kyun id-gah
jab ki dar-e-mai-kada wa ho gaya
sambhāl vaa.iz zabān apnī ḳhudā se Darā ik zarā hayā kar
butoñ kī ġhībat ḳhudā ke ghar meñ ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
sambhaal waiz zaban apni KHuda se Dara ek zara haya kar
buton ki ghibat KHuda ke ghar mein KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
bosa-e-āriz mujhe dete hue Dartā hai kyuuñ
lūñgā kyā nok-e-zabāñ se tere ruḳh kā til uThā
bosa-e-ariz mujhe dete hue Darta hai kyun
lunga kya nok-e-zaban se tere ruKH ka til uTha
afsāna-e-majnūñ se nahīñ kam mirā qissa
is baat ko jaane do ki mash.hūr nahīñ hai
afsana-e-majnun se nahin kam mera qissa
is baat ko jaane do ki mashhur nahin hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahte ho sab ki tujh se ḳhafā ho gayā hai yaar
ye bhī koī batāo ki kis baat par huā
kahte ho sab ki tujh se KHafa ho gaya hai yar
ye bhi koi batao ki kis baat par hua
vaa.iz o shaiḳh sabhī ḳhuub haiñ kyā batlā.ūñ
maiñ ne maiḳhāne se kis kis ko nikalte dekhā
waiz o shaiKH sabhi KHub hain kya batlaun
main ne maiKHane se kis kis ko nikalte dekha
jumbish abrū ko hai lekin nahīñ āshiq pe nigāh
tum kamāñ kyuuñ liye phirte ho agar tiir nahīñ
jumbish abru ko hai lekin nahin aashiq pe nigah
tum kaman kyun liye phirte ho agar tir nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
roza rakhtā huuñ subūhī pī ke hañgām-e-sahar
shaam ko masjid meñ hotā huuñ jamā.at kā sharīk
roza rakhta hun subuhi pi ke hangam-e-sahar
sham ko masjid mein hota hun jamaat ka sharik
iid hai ham ne bhī jaanā ki na hotī gar iid
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyuuñ vā kartā
id hai hum ne bhi jaana ki na hoti gar id
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyun wa karta
pursish ko agar hoñT tumhāre nahīñ hilte
kyā qatl ko bhī haath tumhārā nahīñ uThtā
pursish ko agar honT tumhaare nahin hilte
kya qatl ko bhi hath tumhaara nahin uThta
aa gayā dhyān meñ mazmūñ tirī yaktā.ī kā
aaj matl.a huā misra.a mirī tanhā.ī kā
aa gaya dhyan mein mazmun teri yaktai ka
aaj matla hua misra meri tanhai ka
jab tirā naam sunā to nazar aayā goyā
kis se kahiye ki tujhe kaan se ham dekhte haiñ
jab tera nam suna to nazar aaya goya
kis se kahiye ki tujhe kan se hum dekhte hain
bhalā kyā ta.ana duuñ zuhhād ko zuhd-e-riyā.ī kā
paḌhī hai maiñ ne masjid meñ namāz-e-be-vazū barsoñ
bhala kya tana dun zuhhad ko zuhd-e-riyai ka
paDhi hai main ne masjid mein namaz-e-be-wazu barson
shabistāñ meñ raho bāġhoñ meñ khelo mujh se kyuuñ pūchho
ki rāteñ kis tarah kaTtī haiñ din kaise guzarte haiñ
shabistan mein raho baghon mein khelo mujh se kyun puchho
ki raaten kis tarah kaTti hain din kaise guzarte hain
shā.er bane nadīm bane qissa-ḳhvāñ bane
paa.ī na un ke dil meñ magar jā kisī tarah
shaer bane nadim bane qissa-KHwan bane
pai na un ke dil mein magar ja kisi tarah
laḌ to aayā us se lekin ham-nashīñ
dil meñ kahtā huuñ ki 'nāzim' kyā kiyā
laD to aaya us se lekin ham-nashin
dil mein kahta hun ki 'nazim' kya kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā khā.eñ ham vafā meñ ab īmān kī qasam
jab tār-e-sub.ha rishta-e-zunnār ho chukā
kya khaen hum wafa mein ab iman ki qasam
jab tar-e-subha rishta-e-zunnar ho chuka
be diye le uḌā kabūtar ḳhat
yuuñ pahuñchtā hai uupar uupar ḳhat
be diye le uDa kabutar KHat
yun pahunchta hai upar upar KHat
kahte haiñ chhup ke raat ko piitā hai roz mai
vaa.iz se raah kījiye paidā kisī tarah
kahte hain chhup ke raat ko pita hai roz mai
waiz se rah kijiye paida kisi tarah
kam samajhte nahīñ ham ḳhuld se maiḳhāne ko
dīda-e-hūr kahā chāhiye paimāne ko
kam samajhte nahin hum KHuld se maiKHane ko
dida-e-hur kaha chahiye paimane ko
chale ho dasht ko 'nāzim' agar mile majnūñ
zarā hamārī taraf se bhī pyaar kar lenā
chale ho dasht ko 'nazim' agar mile majnun
zara hamari taraf se bhi pyar kar lena
sāhil par aa ke lagtī hai Takkar safīne ko
hijrāñ se vasl meñ hai sivā dil kī ehtiyāt
sahil par aa ke lagti hai Takkar safine ko
hijran se wasl mein hai siwa dil ki ehtiyat
ḳharīdārī hai shahd o shiir o qasr o huur o ġhilmāñ kī
ġham-e-dīñ bhī agar samjho to ik dhandā hai duniyā kā
KHaridari hai shahd o shir o qasr o hur o ghilman ki
gham-e-din bhi agar samjho to ek dhanda hai duniya ka
kyā mere kaam se hai ravā.ī ko dushmanī
kashtī mirī khulī thī ki dariyā Thahar gayā
kya mere kaam se hai rawai ko dushmani
kashti meri khuli thi ki dariya Thahar gaya
jaatī nahīñ hai sa.ī rah-e-āshiqī meñ pesh
jo thak ke rah gayā vahī sābit-qadam huā
jati nahin hai sai rah-e-ashiqi mein pesh
jo thak ke rah gaya wahi sabit-qadam hua
chāhūñ ki hāl-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karūñ
bhāgeñ hurūf vaqt-e-nigārish qalam se duur
chahun ki haal-e-wahshat-e-dil kuchh raqam karun
bhagen huruf waqt-e-nigarish qalam se dur
muhtāj nahīñ qāfila āvāz-e-darā kā
sīdhī hai rah-e-but-kada ehsān ḳhudā kā
muhtaj nahin qafila aawaz-e-dara ka
sidhi hai rah-e-but-kada ehsan KHuda ka
us but kā kūcha masjid-e-jāme nahīñ hai shaiḳh
uThiye aur apnā yaañ se musallā uThā.iye
us but ka kucha masjid-e-jame nahin hai shaiKH
uThiye aur apna yan se musalla uThaiye
ghar kī vīrānī ko kyā ro.uuñ ki ye pahle sī
tañg itnā hai ki gunjā.ish-e-ta.amīr nahīñ
ghar ki virani ko kya roun ki ye pahle si
tang itna hai ki gunjaish-e-tamir nahin
hai jalva-faroshī kī dukāñ jo ye ab isī ne
dīvār meñ khiḌkī sar-e-bāzār nikālī
hai jalwa-faroshi ki dukan jo ye ab isi ne
diwar mein khiDki sar-e-bazar nikali
bos-o-kanār ke liye ye sab fareb haiñ
iz.hār-e-pāk-bāzī o zauq-e-nazar ġhalat
bos-o-kanar ke liye ye sab fareb hain
izhaar-e-pak-bazi o zauq-e-nazar ghalat
na bazla-sanj na shā.er na shoḳh-tab.a raqīb
diyā hai aap ne ḳhalvat meñ apnī baar kise
na bazla-sanj na shaer na shoKH-taba raqib
diya hai aap ne KHalwat mein apni bar kise
muTThī meñ kyā dharī thī ki chupke se sauñp dī
jān-e-azīz peshkash-e-nāma-bar ġhalat
muTThi mein kya dhari thi ki chupke se saunp di
jaan-e-aziz peshkash-e-nama-bar ghalat
ek hai jab marja-e-islām-o-kufr
farq kaisā sub.ha-o-zunnār kā
ek hai jab marja-e-islam-o-kufr
farq kaisa subha-o-zunnar ka
barsoñ DhūñDā kiye ham dair-o-haram meñ lekin
kahīñ paayā na patā us but-e-harjā.ī kā
barson DhunDa kiye hum dair-o-haram mein lekin
kahin paya na pata us but-e-harjai ka
hai rishta ek phir ye kashākash na chāhiye
achchhā nahīñ hai sub.ha kā zunnār se bigāḌ
hai rishta ek phir ye kashakash na chahiye
achchha nahin hai subha ka zunnar se bigaD
hai daur-e-falak zo.af meñ pesh-e-nazar apne
kis vaqt ham uThte haiñ ki chakkar nahīñ aatā
hai daur-e-falak zoaf mein pesh-e-nazar apne
kis waqt hum uThte hain ki chakkar nahin aata
rone ne mire saikḌoñ ghar Dhā diye lekin
kyā raah tire kūche kī hamvār nikālī
rone ne mere saikDon ghar Dha diye lekin
kya rah tere kuche ki hamwar nikali
haq ye hai ki ka.abe kī binā bhī na paḌī thī
haiñ jab se dar-e-but-kada par ḳhāk-nashīñ ham
haq ye hai ki kabe ki bina bhi na paDi thi
hain jab se dar-e-but-kada par KHak-nashin hum
'nāzim' ye intizām ri.āyat hai naam kī
maiñ mubtalā nahīñ havas-e-mulk-o-māl kā
'nazim' ye intizam riayat hai nam ki
main mubtala nahin hawas-e-mulk-o-mal ka
jab guzartī hai shab-e-hijr maiñ jī uThtā huuñ
ohda ḳhurshīd ne paayā hai masīhā.ī kā
jab guzarti hai shab-e-hijr main ji uThta hun
ohda KHurshid ne paya hai masihai ka
phūñk do yaañ gar ḳhas-o-ḳhāshāk haiñ
duur kyuuñ pheñko hameñ gulzār se
phunk do yan gar KHas-o-KHashak hain
dur kyun phenko hamein gulzar se
band mahram ke vo khulvāte haiñ ham se beshtar
āj-kal sone kī chiḌiyā hai hamāre haath meñ
band mahram ke wo khulwate hain hum se beshtar
aaj-kal sone ki chiDiya hai hamare hath mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kufr-o-īmāñ se hai kyā bahs ik tamannā chāhiye
haath meñ tasbīh ho yā dosh par zunnār ho
kufr-o-iman se hai kya bahs ek tamanna chahiye
hath mein tasbih ho ya dosh par zunnar ho