Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Qaisarul Jafri's Photo'

Qaisarul Jafri

1926 - 2005 | Mumbai, India

Famous for his ghazal "Divaron se mil kar rona achcha lagta hai".

Famous for his ghazal "Divaron se mil kar rona achcha lagta hai".

Sher of Qaisarul Jafri

21.4K
Favorite

SORT BY

tumhāre shahr mausam baḌā suhānā lage

maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage

tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage

main ek sham chura lun agar bura na lage

ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ

miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ

ghar lauT ke roenge man bap akele mein

miTTi ke khilaune bhi saste na the mele mein

zindagī bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale

maiñ abhī tak tirī tasvīr liye baiThā huuñ

zindagi bhar ke liye ruTh ke jaane wale

main abhi tak teri taswir liye baiTha hun

havā ḳhafā thī magar itnī sañg-dil bhī na thī

hamīñ ko sham.a jalāne hausla na huā

hawa KHafa thi magar itni sang-dil bhi na thi

hamin ko shama jalane ka hausla na hua

dīvāroñ se mil kar ronā achchhā lagtā hai

ham bhī pāgal ho jā.eñge aisā lagtā hai

diwaron se mil kar rona achchha lagta hai

hum bhi pagal ho jaenge aisa lagta hai

kitne dinoñ ke pyāse hoñge yaaro socho to

shabnam qatra bhī jin ko dariyā lagtā hai

those people have been parched for many many years

to whom even a drop of dew an ocean appears

kitne dinon ke pyase honge yaro socho to

shabnam ka qatra bhi jin ko dariya lagta hai

those people have been parched for many many years

to whom even a drop of dew an ocean appears

is tarah se mire saath bevafā.ī kar

ki tere ba.ad mujhe koī bevafā na lage

tu is tarah se mere sath bewafai kar

ki tere baad mujhe koi bewafa na lage

ye vaqt band darīchoñ pe likh gayā 'qaisar'

maiñ rahā huuñ mirā intizār mat karnā

ye waqt band darichon pe likh gaya 'qaisar'

main ja raha hun mera intizar mat karna

tumhāre bas meñ agar ho to bhuul jaao mujhe

tumheñ bhulāne meñ shāyad mujhe zamāna lage

tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe

tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage

sāvan ek mahīne 'qaisar' aañsū jīvan bhar

in āñkhoñ ke aage bādal be-auqāt lage

sawan ek mahine 'qaisar' aansu jiwan bhar

in aankhon ke aage baadal be-auqat lage

tum aa ga.e ho ḳhudā subūt hai ye bhī

qasam ḳhudā abhī maiñ ne tum ko sochā thā

tum aa gae ho KHuda ka subut hai ye bhi

qasam KHuda ki abhi main ne tum ko socha tha

aaj barsoñ meñ to qismat se mulāqāt huī

aap muñh pher ke baiThe haiñ ye kyā baat huī

aaj barson mein to qismat se mulaqat hui

aap munh pher ke baiThe hain ye kya baat hui

zindagī ne mirā pīchhā nahīñ chhoḌā ab tak

umr bhar sar se na utrī ye balā kaisī thī

zindagi ne mera pichha nahin chhoDa ab tak

umr bhar sar se na utri ye bala kaisi thi

jo Dūbnā hai to itne sukūn se Duubo

ki ās-pās lahroñ ko bhī patā na lage

jo Dubna hai to itne sukun se Dubo

ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage

rāstā dekh ke chal varna ye din aise haiñ

gūñge patthar bhī savālāt kareñge tujh se

rasta dekh ke chal warna ye din aise hain

gunge patthar bhi sawalat karenge tujh se

musāfir chalte chalte thak ga.e manzil nahīñ miltī

qadam ke saath baḌhtā rahā ho fāsla jaise

the travelers are weary walking, the goal is still not found

it is as though with every step the distances increase

musafir chalte chalte thak gae manzil nahin milti

qadam ke sath baDhta ja raha ho fasla jaise

the travelers are weary walking, the goal is still not found

it is as though with every step the distances increase

maiñ zahr piitā rahā zindagī ke hāthoñ se

ye aur baat hai merā badan harā na huā

main zahr pita raha zindagi ke hathon se

ye aur baat hai mera badan hara na hua

dastak meñ koī dard ḳhushbū zarūr thī

darvāza kholne ke liye ghar ghar uThā

dastak mein koi dard ki KHushbu zarur thi

darwaza kholne ke liye ghar ka ghar uTha

har shaḳhs hai ishtihār apnā

har chehra kitāb ho gayā hai

har shaKHs hai ishtihaar apna

har chehra kitab ho gaya hai

jis din se bane ho tum masīhā

haal aur ḳharāb ho gayā hai

jis din se bane ho tum masiha

haal aur KHarab ho gaya hai

vo phuul jo mire dāman se ho ga.e mansūb

ḳhudā kare unheñ bāzār havā na lage

wo phul jo mere daman se ho gae mansub

KHuda kare unhen bazar ki hawa na lage

tum se bichhḌe dil ko ujḌe barsoñ biit ga.e

āñkhoñ ye haal hai ab tak kal baat lage

tum se bichhDe dil ko ujDe barson bit gae

aankhon ka ye haal hai ab tak kal ki baat lage

rakkhī na zindagī ne mirī muflisī sharm

chādar banā ke raah meñ phailā ga.ī mujhe

rakkhi na zindagi ne meri muflisi ki sharm

chadar bana ke rah mein phaila gai mujhe

fan vo jugnū hai jo uḌtā hai havā meñ 'qaisar'

band kar loge jo muTThī meñ to mar jā.egā

fan wo jugnu hai jo uDta hai hawa mein 'qaisar'

band kar loge jo muTThi mein to mar jaega

bastī meñ hai vo sannāTā jañgal maat lage

shaam Dhale bhī ghar pahuñchūñ to aadhī raat lage

basti mein hai wo sannaTa jangal mat lage

sham Dhale bhi ghar pahunchun to aadhi raat lage

kam se kam ret se āñkheñ to bacheñgī 'qaisar'

maiñ havāoñ taraf piiTh kiye baiThā huuñ

kam se kam ret se aankhen to bachengi 'qaisar'

main hawaon ki taraf piTh kiye baiTha hun

shā.erī pahle rasūloñ duā thī 'qaisar'

aaj is ahd meñ ik sho.abda-e-zāt huī

shaeri pahle rasulon ki dua thi 'qaisar'

aaj is ahd mein ek shoabda-e-zat hui

ghar basā kar bhī musāfir ke musāfir Thahre

log darvāzoñ se nikle ki muhājir Thahre

ghar basa kar bhi musafir ke musafir Thahre

log darwazon se nikle ki muhajir Thahre

Recitation

Speak Now