Sher of Waliullah Muhib
hai mire pahlū meñ aur mujh ko nazar aatā nahīñ
us parī kā sehr yaaro kuchh kahā jaatā nahīñ
hai mere pahlu mein aur mujh ko nazar aata nahin
us pari ka sehr yaro kuchh kaha jata nahin
saaqī hameñ qasam hai tirī chashm-e-mast kī
tujh bin jo ḳhvāb meñ bhī piyeñ mai harām ho
saqi hamein qasam hai teri chashm-e-mast ki
tujh bin jo KHwab mein bhi piyen mai haram ho
donoñ terī justujū meñ phirte haiñ dar dar tabāh
dair hindū chhoḌ kar ka.aba musalmāñ chhoḌ kar
donon teri justuju mein phirte hain dar dar tabah
dair hindu chhoD kar kaba musalman chhoD kar
dair meñ ka.abe meñ maiḳhāne meñ aur masjid meñ
jalva-gar sab meñ mirā yaar hai allāh allāh
dair mein kabe mein maiKHane mein aur masjid mein
jalwa-gar sab mein mera yar hai allah allah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na kiije vo ki miyāñ jis se dil koī ho malūl
sivā.e is ke jo jī chāhe so kiyā kiije
na kije wo ki miyan jis se dil koi ho malul
siwae is ke jo ji chahe so kiya kije
in do ke sivā koī falak se na huā paar
yā tiir mirī aah kā yā us kī nazar kā
in do ke siwa koi falak se na hua par
ya tir meri aah ka ya us ki nazar ka
dostī chhūTe chhuḌā.e se kisū ke kis tarah
band hotā hī nahīñ rasta diloñ kī raah kā
dosti chhuTe chhuDae se kisu ke kis tarah
band hota hi nahin rasta dilon ki rah ka
ka.abe meñ vahī ḳhud hai vahī dair meñ hai aap
hindū kaho yā us ko musalmān vahī hai
kabe mein wahi KHud hai wahi dair mein hai aap
hindu kaho ya us ko musalman wahi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kuchh na dekhā kisī makān meñ ham
kahte haiñ lā-makān meñ kuchh hai
kuchh na dekha kisi makan mein hum
kahte hain la-makan mein kuchh hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ba-tasḳhīr-e-butāñ tasbīh kyuuñ zāhid phirāte haiñ
ye lohe ke chane vallāh āshiq hī chabāte haiñ
ba-tasKHir-e-butan tasbih kyun zahid phiraate hain
ye lohe ke chane wallah aashiq hi chabaate hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
barahman dair ko raahī huā aur shaiḳh ka.abe ko
nikal kar us dorāhe se maiñ kū-e-yār meñ aayā
barahman dair ko rahi hua aur shaiKH kabe ko
nikal kar us dorahe se main ku-e-yar mein aaya
shaiḳh kahte haiñ mujhe dair na jā ka.aba chal
barhaman kahte haiñ kyuuñ yaañ bhī ḳhudā hai ki nahīñ
shaiKH kahte hain mujhe dair na ja kaba chal
barhaman kahte hain kyun yan bhi KHuda hai ki nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo apne jīte-jī ko kuñ.eñ meñ Duboiye
to chaah meñ kisī kī giraftār hoiye
jo apne jite-ji ko kunen mein Duboiye
to chah mein kisi ki giraftar hoiye
jab nashe meñ ham ne kuchh mīThe kī ḳhvāhish us se kī
tursh ho bolā ki kyuuñ be tū bhī is laa.eq huā
jab nashe mein hum ne kuchh miThe ki KHwahish us se ki
tursh ho bola ki kyun be tu bhi is laeq hua
rahīm o raam kī sumran hai shaiḳh o hindū ko
dil us ke naam kī raTnā raTe hai kyā kiije
rahim o ram ki sumran hai shaiKH o hindu ko
dil us ke nam ki raTna raTe hai kya kije
kāfir huuñ gar maiñ naam bhī ka.abe kā luuñ kabhī
vo sañg-dil sanam jo kabhū mujh se raam ho
kafir hun gar main nam bhi kabe ka lun kabhi
wo sang-dil sanam jo kabhu mujh se ram ho
ishq jab daḳhl kare hai dil-e-insāñ meñ 'muhib'
vāhime sab bashariyyat ke kare hai iḳhrāj
ishq jab daKHl kare hai dil-e-insan mein 'muhib'
wahime sab bashariyyat ke kare hai iKHraj
tamām ḳhalq-e-ḳhudā zer-e-āsmāñ kī sameT
zamīñ ne khaa.ī va-lekin bharā na us kā peT
tamam KHalq-e-KHuda zer-e-asman ki sameT
zamin ne khai wa-lekin bhara na us ka peT
-
Tag : Earthquake
raqīb jam ke ye baiThā ki ham uThe nā-chār
ye patthar ab na haTā.e haTe hai kyā kiije
raqib jam ke ye baiTha ki hum uThe na-chaar
ye patthar ab na haTae haTe hai kya kije
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo az-ḳhud-rafta hai gumrāh hai vo rahnumā merā
jo ik aalam se hai begāna hai vo āshnā merā
jo az-KHud-rafta hai gumrah hai wo rahnuma mera
jo ek aalam se hai begana hai wo aashna mera
ḳhat kā ye javāb aayā ki qāsid gayā jī se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaḌ
KHat ka ye jawab aaya ki qasid gaya ji se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD
ba-ma.anī kufr se islām kab ḳhālī hai ai zāhid
nikal sub.he se rishta sūrat-e-zunnār ho paidā
ba-mani kufr se islam kab KHali hai ai zahid
nikal subhe se rishta surat-e-zunnar ho paida
are o ḳhāna-ābād itnī ḳhūñ-rezī ye qattālī
ki ik āshiq nahīñ kūcha tirā vīrān suunā hai
are o KHana-abaad itni KHun-rezi ye qattali
ki ek aashiq nahin kucha tera viran suna hai
girte haiñ dukh se terī judā.ī ke varna ḳhair
chañge bhale haiñ kuchh nahīñ āzār hai hameñ
girte hain dukh se teri judai ke warna KHair
change bhale hain kuchh nahin aazar hai hamein
kaash ham nākām bhī kaam aa.eñ tere ishq meñ
mutlaqan nākāra haiñ duniyā-o-dīñ ke kaam se
kash hum nakaam bhi kaam aaen tere ishq mein
mutlaqan nakara hain duniya-o-din ke kaam se
tire kalām ne kaisā asar kiyā vaa.iz
ki dil ziyāda-tar āvāra ho gayā vaa.iz
tere kalam ne kaisa asar kiya waiz
ki dil ziyaada-tar aawara ho gaya waiz
jaun se raste vo ho nikle udhar pahroñ talak
ho hujūm-e-ḳhalq se kūcha galī bāzār band
jaun se raste wo ho nikle udhar pahron talak
ho hujum-e-KHalq se kucha gali bazar band
phūloñ kī sej dost kī ḳhātir 'muhib' bichhāo
kāñTe rakho babūl ke a.adāoñ ke tale
phulon ki sej dost ki KHatir 'muhib' bichhao
kanTe rakho babul ke aadaon ke tale
shaiḳh hai tujh ko hī inkār sanam mere se
varna har shaḳhs ko iqrār hai allāh allāh
shaiKH hai tujh ko hi inkar sanam mere se
warna har shaKHs ko iqrar hai allah allah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum gaao apne raag ko us paas vā.izo
mushtāq jo gadhā ho tumhāre alaap kā
tum gao apne rag ko us pas waizo
mushtaq jo gadha ho tumhaare alap ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai dil tujhe karnī hai agar ishq se bai.at
zinhār kabhū chhoḌiyo mat silsila-e-dard
ai dil tujhe karni hai agar ishq se baiat
zinhaar kabhu chhoDiyo mat silsila-e-dard
vo jo lailā hai mire dil meñ sune us kā jo shor
qais nikle gor se bāhar kafan ko chīr-phāḌ
wo jo laila hai mere dil mein sune us ka jo shor
qais nikle gor se bahar kafan ko chir-phaD
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
raag apnā gā hamārā zikr mat kar ai raqīb
jab satāvegā hameñ tab leñge ham ik dhol thaap
rag apna ga hamara zikr mat kar ai raqib
jab satawega hamein tab lenge hum ek dhol thap
maiñ huuñ aur saaqī ho aur hoñ raas o chup ye vo baham
jaam dast-e-chup ke paas aur shīsha dast-e-rās paas
main hun aur saqi ho aur hon ras o chup ye wo baham
jam dast-e-chup ke pas aur shisha dast-e-ras pas
dars-e-ilm-e-ishq se vāqif nahīñ mutlaq faqīh
nahv hī meñ mahv hai yā sarf hī meñ sarf hai
dars-e-ilm-e-ishq se waqif nahin mutlaq faqih
nahw hi mein mahw hai ya sarf hi mein sarf hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai banda-parvar itnā lāzim hai kyā takalluf
uThiye ġharīb-ḳhāne chaliye bilā-takalluf
ai banda-parwar itna lazim hai kya takalluf
uThiye gharib-KHane chaliye bila-takalluf
islām meñ ye kaisā inkār kufr se hai
tasbīh meñ piro.e zunnār hai ta.ajjub
islam mein ye kaisa inkar kufr se hai
tasbih mein piroe zunnar hai tajjub
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na tai ek raka.at kī manzil huī
safar shaiḳh-jī ke vuzū ne kiyā
na tai ek rakat ki manzil hui
safar shaiKH-ji ke wuzu ne kiya
ye dāḌhī mohtasib ne duḳht-e-raz ke phaaḌ khāne ko
liyā hai muñh par apne Daal burqā be-hayā.ī kā
ye daDhi mohtasib ne duKHt-e-raz ke phaD khane ko
liya hai munh par apne Dal burqa be-hayai ka
us ke kūche hī meñ aa niklūñ huuñ jā.ūñ jis taraf
maiñ to dīvāna huuñ apne is dil-e-gumrāh kā
us ke kuche hi mein aa niklun hun jaun jis taraf
main to diwana hun apne is dil-e-gumrah ka
ka.aba jaane kī havas shaiḳh hameñ bhī hai vale
kūcha-e-yār qayāmat hai havā-dār aziiz
kaba jaane ki hawas shaiKH hamein bhi hai wale
kucha-e-yar qayamat hai hawa-dar aziz
charāġh-e-ka.aba-o-dair ek sā hai chashm-e-haq-bīñ meñ
'muhib' jhagḌā hai korī ke sabab shaiḳh o barhaman kā
charagh-e-kaba-o-dair ek sa hai chashm-e-haq-bin mein
'muhib' jhagDa hai kori ke sabab shaiKH o barhaman ka
'muhib' tum but-parastī ko na chhoḌo
tumhārā yaañ huvaidā ho.egā rab
'muhib' tum but-parasti ko na chhoDo
tumhaara yan huwaida hoega rab
ho gad.he par savār jā ka.aba
shaiḳh ye kuuch hai salāmat kā
ho gadhe par sawar ja kaba
shaiKH ye kuch hai salamat ka
zāhidā tū sohbat-e-rindāñ meñ aayā hai to sun
tark gaalī kā na kar pagḌī utarne se na Dar
zahida tu sohbat-e-rindan mein aaya hai to sun
tark gali ka na kar pagDi utarne se na Dar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
suḳhan jin ke ki sūrat juuñ guhar hai bahr-e-ma.anī meñ
abas ġhaltāñ rakhe hai fikr un ke āb-o-dāne kā
suKHan jin ke ki surat jun guhar hai bahr-e-mani mein
abas ghaltan rakhe hai fikr un ke aab-o-dane ka
ka.aba o dair meñ jab vo but-e-kāfir na milā
ba-ḳhudā ham ne bahut nālā-e-nāqūs kiye
kaba o dair mein jab wo but-e-kafir na mila
ba-KHuda hum ne bahut nala-e-naqus kiye
raat āḳhir hai yahāñ aayā nazar āsār-e-sub.h
sham.a kī phīkī hai lau hoñToñ kī hai laalī hai udaas
raat aaKHir hai yahan aaya nazar aasar-e-subh
shama ki phiki hai lau honTon ki hai lali hai udas
diiñ se paidā kufr hai aur nuur shakl-e-nār hai
rishta jab sub.he se niklā sūrat-e-zunnār hai
din se paida kufr hai aur nur shakl-e-nar hai
rishta jab subhe se nikla surat-e-zunnar hai
ye juuñ juuñ va.ade ke din raat paḌte jaate haiñ
ghaḌī ghaḌī meñ mirā jī kaTe hai kyā kiije
ye jun jun wade ke din raat paDte jate hain
ghaDi ghaDi mein mera ji kaTe hai kya kije
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download