SEARCH RESULTS
Showing search results for "nukte"
Ghazal MATCHES FOR "nukte"
Ghazal
kyaa kahe.n kitne hii nukte hai.n jo barte na ga.e
KHush-badan ishq kare.n aur hame.n ustaad rakhe.n
Jaun Eliya
Ghazal
ik nuqte pe aa kar bhii ham-aaha.ng nahii.n hai.n
tuu apnaa fasaana hai to mai.n apnii sadaa huu.n
Baqi Siddiqui
Ghazal
lafz kis shaan se taKHliiq hu.aa thaa lekin
us kaa mafhuum badalte rahe nuqte kyaa kyaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
yaad aataa hai vo harfo.n kaa uThaanaa ab tak
jiim ke peT me.n ek nukta hai aur KHaalii he
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
phir ko.ii vus.at-e-aafaaq pe saaya Daale
phir kisii aa.nkh ke nuqte me.n utaaraa jaa.uu.n
Adil Mansuri
Ghazal
use sameTtaa mai.n jab bhii ek nuqte me.n
vo mere dhyaan me.n titlii u.Daa diyaa kartaa
Akhtar Shumar
Ghazal
Anwar Masood
Ghazal
Ahmad Kamal Parwazi
Ghazal
mirii tavajjoh bas ek nuqte pe murtakiz hai
mai.n apnii quvvat ko ek zarra banaa rahaa huu.n
Anjum Saleemi
Ghazal
likkhe yaaro.n ne kuchh nukte bhii yaa phir
faqat lafzo.n kaa daftar rakh diyaa hai
Mahshar Badayuni
Ghazal
nazar ko ek hii nuqte pe murtakiz kar le
dil-o-nigaah kii uljhan ko ek saath samajh
Aurang zeb
Ghazal
har baat me.n ye jaldii hai har nukte me.n israar
duniyaa se niraalii hai.n Garaz terii to rasme.n
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhii kii vo bhii
ulaT hai ek nuqte kii mohabbat aur mehnat me.n
Safi Aurangabadi
Ghazal
na hogaa farq nuqte kaa milaa kar dekh le ko.ii
mire aamaal-naame se navishta merii qismat kaa
Imdad Ali Bahr
Ghazal
kuchh nuqte alfaaz kii ziinat hote hai.n
kuchh nuqto.n se kaam chalaayaa jaataa hai
Azbar Safeer
Ghazal
ek nuqte se ubhartii hai ye saarii kaa.enaat
ek nuqte par simaTtaa phailtaa rahtaa huu.n mai.n