SEARCH RESULTS
Showing search results for "امانت"
Ghazal MATCHES FOR "امانت"
Ghazal
mujhe phuu.nkne se pahle miraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat mire saath jal na jaa.e
Anwar Mirzapuri
Ghazal
hai amaanat me.n KHayaanat so kisii kii KHaatir
ko.ii martaa hai to hairat nahii.n hotii mujh ko
Shahid Zaki
Ghazal
vaz'-daarii to buzurgo.n kii amaanat hai magar
ab ye bikte hu.e zevar nahii.n dekhe jaate
Meraj Faizabadi
Ghazal
ab tire raaz sambhaale nahii.n jaate mujh se
mai.n kisii roz amaanat me.n KHayaanat karuu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
KHushaa vo jaan jise dii ga.ii amaanat-e-ishq
rahe vo dil jise apnaa banaa ke luuT liyaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
isii zamiin me.n ik din mujhe bhii sonaa hai
isii zamii.n kii amaanat hai.n mere pyaare bhii
Amjad Islam Amjad
Ghazal
zindagii terii amaanat hai magar kyaa kiije
log ye bojh bhii thak-haar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
pindaar-e-aashiqii kii amaanat hai aah-e-sard
ye tiir aaj chho.D rahe hai.n kamaa.n se ham
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
Zafar Iqbal
Ghazal
aatii jaatii hu.ii faslo.n kaa muhaafiz huu.n mai.n
phal to sab us kii amaanat hai.n shajar meraa hai
Meraj Faizabadi
Ghazal
kisii kii aa.nkh se Tapkaa thaa ik amaanat hai
mirii hathelii pe rakkhaa hu.aa ye a.ngaaraa
Javed Akhtar
Ghazal
tishna-kaamii me.n ri'aayat nahii.n karne vaale
ham amaanat me.n KHayaanat nahii.n karne vaale
Aqib Sabir
Ghazal
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
uThaa.e naaz vahii jis kii vo amaanat hai
na ruuThe mujh se na jaa kar use manaa.uu.n mai.n
Anvar Mahmood Khalid
Ghazal
jo zaKHm diye aap ne mahfuuz hai.n ab tak
aadat hai amaanat me.n KHayaanat nahii.n karte