SEARCH RESULTS
Showing search results for "aadat"
Ghazal MATCHES FOR "aadat"
Ghazal
tark-e-aadat se mujhe niind nahii.n aane kii
kahii.n niichaa na ho ai gor sirhaanaa teraa
Dagh Dehlvi
Ghazal
mujh ko bhii shauq thaa na.e chehro.n kii diid kaa
rasta badal ke chalne kii aadat use bhii thii
Mohsin Naqvi
Ghazal
aadat hii banaa lii hai tum ne to 'muniir' apnii
jis shahr me.n bhii rahnaa uktaa.e hu.e rahnaa
Muneer Niyazi
Ghazal
mujh ko dushman ke iraado.n pe bhii pyaar aataa hai
tirii ulfat ne mohabbat mirii aadat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
kamzorii-e-nigaah ne sanjiida kar diyaa
jalvo.n se chhe.D-chhaa.D kii aadat nahii.n rahii
Khumar Barabankavi
Ghazal
KHush aa.e tujhe shahr-e-munaafiq kii amiirii
ham logo.n ko sach kahne kii aadat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Ghazal
kaisii aadaab-e-numaa.ish ne lagaa.ii.n sharte.n
phuul honaa hii nahii.n phuul nazar aanaa bhii
Waseem Barelvi
Ghazal
ab ko.ii aa.e chalaa jaa.e mai.n KHush rahtaa huu.n
ab kisii shaKHs kii aadat nahii.n hotii mujh ko
Shahid Zaki
Ghazal
un ko ye shikaayat hai ki ham kuchh nahii.n kahte
apnii to ye aadat hai ki ham kuchh nahii.n kahte
Rajendera Krishan
Ghazal
na sile kii na sataa.ish kii tamannaa ham ko
haq me.n logo.n ke hamaarii to hai aadat likhnaa
Habib Jalib
Ghazal
viiraa.n hai mai-kada KHum-o-saaGar udaas hai.n
tum kyaa ga.e ki ruuTh ga.e din bahaar ke