SEARCH RESULTS
Showing search results for "haamil"
Ghazal MATCHES FOR "haamil"
Ghazal
'zeb' savaal ab ye hai tujhe pahchaane kaun
kis kii nazar is gahraa.ii kii haamil ho
Zeb Ghauri
Ghazal
kitne tuufaano.n kii haamil thii lahuu kii ik buu.nd
dil me.n ik lahr uThii aa.nkh se dariyaa barsaa
Ahmad Faraz
Ghazal
jo dard kaa haamil hai vo zauq me.n kaamil hai
behis ko nahii.n hotaa iiqaan mohabbat kaa
Qadr Oraizi
Ghazal
kyuu.n dil tire KHayaal kaa haamil nahii.n rahaa
ye aa.iina bhii diid ke qaabil nahii.n rahaa
Saghar Khayyami
Ghazal
sikke ke saath saath jo pag.Dii uchhal pa.Dii
jitne bache the haamil-e-dastaar mar ga.e
Murlidhar Sharma Talib
Ghazal
Josh Malihabadi
Ghazal
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Ghazal
Shakeb Jalali
Ghazal
dil jis kaa dard-e-ishq kaa haamil nahii.n rahaa
vo shaKHs tere pyaar ke qaabil nahii.n rahaa
Faiz ul Hasan Khayal
Ghazal
har ek buu.nd ka.ii bijliyo.n kii haamil thii
shadiid barkhaa ne bastii ke ghar jalaa.e the
Parvin Shere
Ghazal
zamaane bhar kii KHushiyo.n kaa hai haamil
vo Gam jo terii ulfat ne diyaa hai
Gopal Krishn Shafaq
Ghazal
safar kaa rang hasii.n qurbato.n kaa haamil ho
bahaar ban ke ko.ii ab to ham-safar aa.e
Gulnar Aafreen
Ghazal
sharaar-e-Gam kaa jo haamil nahii.n hai
vo dil sab kuchh to hai par dil nahii.n hai
Parveen Fana Syed
Ghazal
taksiiriyat kaa haamil jamhuuriyat kaa haamil
azmat-nishaa.n saraasar hindostaa.n hamaaraa
Meer Syed Muzaffar Ali Zafar Muzahri
Ghazal
ik munfarid maqaam kii haamil hai terii zaat
tuu dil me.n hai qubuul yaa rad ke baGair bhii
Sardar Ayagh
Ghazal
hame.n bhii raat ko din kahnaa aataa jaataa hai
ki ham bhii haamil-e-aadaab hote jaate hai.n
Nikhat Barelvi
Ghazal
mirii hayaat kaa haamil hai.n zard-ruu patte
KHizaa.n kaa naqsh huu.n tuu mujh ko aab-o-taab na de
Mumtaz Rashid
Ghazal
zulf to zulf hai duniyaa se bhii uljhe hai.n ki ham
ik baguulaa bhii bane haamil-e-sahraa bhii hu.e