SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilm"
Ghazal MATCHES FOR "ilm"
Ghazal
apnaa la.Dnaa bhii mohabbat hai tumhe.n ilm nahii.n
chiiKHtii tum rahii aur meraa galaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabe.n
ik shaKHs kii yaado.n ko bhulaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
tamaam ilm ziist kaa guzishtagaa.n se hii hu.aa
amal guzishta daur kaa misaal me.n milaa mujhe
Muneer Niyazi
Ghazal
nisbat-e-'ilm hai bahut haakim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kaar-e-jahl bhii be-ulamaa nahii.n kiyaa
Jaun Eliya
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
'taalib' ko ye kyaa ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye ruuTh, manaane ke liye aa
Talib Baghpati
Ghazal
itne chup-chaap ki raste bhii rahe.nge laa-ilm
chho.D jaa.e.nge kisii roz nagar shaam ke ba.ad
Farhat Abbas Shah
Ghazal
tiin sau saal se hai.n hind ke mai-KHaane band
ab munaasib hai tiraa faiz ho aam ai saaqii
Allama Iqbal
Ghazal
duniyaa pe apne ilm kii parchhaa.iyaa.n na Daal
ai raushnii-farosh a.ndheraa na kar abhii
Saqi Faruqi
Ghazal
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Ghazal
Ali Zaryoun
Ghazal
raasto.n kaa ilm thaa ham ko na samto.n kii KHabar
shahr-e-naa-maaluum kii chaahat magar karte rahe
Parveen Shakir
Ghazal
ilm ke dariyaa se nikle Gota-zan gauhar-ba-dast
vaa.e mahruumii KHazaf chain lab saahil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Ghazal
tujhe havaas kii aavaargii kaa ilm kahaa.n
kabhii mai.n tujh ko tire saamne talaash karuu.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
us kii KHaatir ghar se baahar Thahraa huu.n
varna ilm hai chaabii gate pe rakkhii hai
Ziya Mazkoor
Ghazal
KHudii ho ilm se mohkam to Gairat-e-jibriil
agar ho ishq se mohkam to suur-e-israafiil