SEARCH RESULTS
Showing search results for "lailaa"
Ghazal MATCHES FOR "lailaa"
Ghazal
aashiq huu.n pa maashuuq-farebii hai miraa kaam
majnuu.n ko buraa kahtii hai lailaa mire aage
Mirza Ghalib
Ghazal
har bazm me.n mauzuu-e-suKHan dil-zadagaa.n kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ki lailaa hai ki tum ho
Ahmad Faraz
Ghazal
majnuu.n ne shahr chho.Daa to sahraa bhii chho.D de
nazzaare kii havas ho to lailaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
lailaa kaa naaqa dasht me.n taasiir-e-ishq se
sun kar fuGaan-e-qais bajaa-e-hudii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
ab kisii lailaa ko bhii iqraar-e-mahbuubii nahii.n
in dino.n badnaam hai har ek diivaane kaa naam
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Dagh Dehlvi
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
KHudaa jaane Gubaar-e-raah hai yaa qais hai lailaa
ko.ii aaGosh khole parda-e-mahmil se miltaa hai
Jaleel Manikpuri
Ghazal
hai vahii aariz-e-lailaa vahii shiirii.n kaa dahan
nigah-e-shauq gha.Dii bhar ko jahaa.n Thahrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
ahl-e-ulfat ke havaalo.n pe ha.nsii aatii hai
lailaa majnuu.n kii misaalo.n pe ha.nsii aatii hai
Sudarshan Faakir
Ghazal
har gul me.n dekhtaa ruKH-e-lailaa vo aa.nkh se
afsos qais dasht se gulshan nahii.n gayaa
Anwar Shuoor
Ghazal
aashiq na ho to husn kaa ghar be-charaaG hai
lailaa ko qais sham.a ko parvaana chaahiye
Bedam Shah Warsi
Ghazal
kamaal-e-lailaa to dekho ki sirf naam liyaa
''phir us ke baa'd charaaGo.n me.n raushnii na rahii''
Shahzad Qais
Ghazal
Ibn e Insha
Ghazal
aasuudgaan-e-manzil-e-lailaa udaas hai.n
achchhe rahe, na tai ye masaafat jinho.n ne kii