SEARCH RESULTS
Showing search results for "lauh"
Ghazal MATCHES FOR "lauh"
Ghazal
yaa-rab zamaana mujh ko miTaataa hai kis liye
lauh-e-jahaa.n pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Ghazal
lauh dil ko Gam-e-ulfat ko qalam kahte hai.n
kun hai andaaz-e-raqam husn ke afsaane kaa
Fani Badayuni
Ghazal
Noshi Gilani
Ghazal
ho na sakaa hame.n kabhii apnaa KHayaal tak nasiib
naqsh kisii KHayaal kaa lauh-e-KHayaal par rahaa
Jaun Eliya
Ghazal
tujh ko KHabar nahii.n magar ik saada-lauh ko
barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne
Sahir Ludhianvi
Ghazal
lauh-e-siina par mirii sau neza-e-KHattii lage
KHastagii is dil-shikasta kii isii baabat hu.ii
Meer Taqi Meer
Ghazal
hamaaraa ilm to marhuun-e-lauh-e-dil hai miyaa.n
kitaab-e-aql to bas taaq par dharii hu.ii hai
Irfan Sattar
Ghazal
guzar chalaa huu.n kisii ko yaqii.n dilaataa hu.aa
ki lauh-e-dil pe raqam hai jo naam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Ghazal
gar mile hazrat-e-'bedil' kaa KHat-e-lauh-e-mazaar
'asad' aa.iin-e-parvaaz-e-ma.aanii maa.nge
Mirza Ghalib
Ghazal
ye kahiye lauh-e-jabii.n par hai daaG-e-rusvaa.ii
zamaane vaale hame.n KHaak me.n milaa dete
Khalilur Rahman Azmi
Ghazal
kuchh ajnabii se log the kuchh ajnabii se ham
duniyaa me.n ho na paa.e shanaasaa kisii se ham
Anjum Rumani
Ghazal
ye bhii hai ek kaar-e-numaayaa.n 'hafiiz' kaa
kyaa saada-lauh kaise zamaane me.n rah gayaa
Hafeez Merathi
Ghazal
phuulo.n kii taKHtii par jaise ra.ngo.n kii tahriir
lauh-e-suKHan par aise 'amjad' shohrat rahtii hai
Amjad Islam Amjad
Ghazal
log chaahe.n bhii to ham ko na judaa kar paa.e.n
yuu.n mirii zaat tirii zaat me.n zam ho aamiin
Rehman Faris
Ghazal
sunaa hai log use aa.nkh bhar ke dekhte hai.n
so us ke shahr me.n kuchh din Thahar ke dekhte hai.n