Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Waseem Barelvi's Photo'

Waseem Barelvi

1940 | Bareilly, India

Popular poet having vast mass following.

Popular poet having vast mass following.

TOP 20 SHAYARI of Waseem Barelvi

jahāñ rahegā vahīñ raushnī luTā.egā

kisī charāġh apnā makāñ nahīñ hotā

EXPLANATION

इस शे’र में कई अर्थ ऐसे हैं जिनसे अंदाज़ा लगाया जा सकता है कि वसीम बरेलवी शे’र में अर्थ के साथ कैफ़ियत पैदा करने की कला से परिचित हैं। ‘जहाँ’ के सन्दर्भ से ‘वहीं’ और इन दोनों के सन्दर्भ से ‘मकाँ’, ‘चराग़’ के सन्दर्भ से ‘रौशनी’ और इससे बढ़कर ‘किसी’ ये सब ऐसे लक्षण हैं जिनसे शे’र में अर्थोत्पत्ति का तत्व पैदा हुआ है।

शे’र के शाब्दिक अर्थ तो ये हो सकते हैं कि चराग़ अपनी रौशनी से किसी एक मकाँ को रौशन नहीं करता है, बल्कि जहाँ जलता है वहाँ की फ़िज़ा को प्रज्वलित करता है। इस शे’र में एक शब्द 'मकाँ' केंद्र में है। मकाँ से यहाँ तात्पर्य मात्र कोई ख़ास घर नहीं बल्कि स्थान है।

अब आइए शे’र के भावार्थ पर प्रकाश डालते हैं। दरअसल शे’र में ‘चराग़’, ‘रौशनी’ और ‘मकाँ’ की एक लाक्षणिक स्थिति है। चराग़ रूपक है नेक और भले आदमी का, उसके सन्दर्भ से रोशनी रूपक है नेकी और भलाई का। इस तरह शे’र का अर्थ ये बनता है कि नेक आदमी किसी ख़ास जगह नेकी और भलाई फैलाने के लिए पैदा नहीं होते बल्कि उनका कोई विशेष मकान नहीं होता और ये स्थान की अवधारणा से बहुत आगे के लोग होते हैं। बस शर्त ये है कि आदमी भला हो। अगर ऐसा है तो भलाई हर जगह फैल जाती है।

Shafaq Sopori

jahan rahega wahin raushni luTaega

kisi charagh ka apna makan nahin hota

tujhe paane koshish meñ kuchh itnā kho chukā huuñ maiñ

ki mil bhī agar jaa.e to ab milne ġham hogā

tujhe pane ki koshish mein kuchh itna kho chuka hun main

ki tu mil bhi agar jae to ab milne ka gham hoga

vo jhuuT bol rahā thā baḌe salīqe se

maiñ e'tibār na kartā to aur kyā kartā

wo jhuT bol raha tha baDe saliqe se

main e'tibar na karta to aur kya karta

raat to vaqt pāband hai Dhal jā.egī

dekhnā ye hai charāġhoñ safar kitnā hai

raat to waqt ki paband hai Dhal jaegi

dekhna ye hai charaghon ka safar kitna hai

vaise to ik aañsū bahā kar mujhe le jaa.e

aise koī tūfān hilā bhī nahīñ saktā

waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae

aise koi tufan hila bhi nahin sakta

shaam tak sub.h nazroñ se utar jaate haiñ

itne samjhautoñ pe jiite haiñ ki mar jaate haiñ

sham tak subh ki nazron se utar jate hain

itne samjhauton pe jite hain ki mar jate hain

musalsal hādsoñ se bas mujhe itnī shikāyat hai

ki ye aañsū bahāne bhī to mohlat nahīñ dete

musalsal hadson se bas mujhe itni shikayat hai

ki ye aansu bahane ki bhi to mohlat nahin dete

mohabbat meñ bichhaḌne hunar sab ko nahīñ aatā

kisī ko chhoḌnā ho to mulāqāteñ baḌī karnā

mohabbat mein bichhaDne ka hunar sab ko nahin aata

kisi ko chhoDna ho to mulaqaten baDi karna

aise rishte bharam rakhnā koī khel nahīñ

terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī

aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin

tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi

hamāre ghar patā pūchhne se kyā hāsil

udāsiyoñ koī shahriyat nahīñ hotī

hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil

udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti

maiñ ne chāhā hai tujhe aam se insāñ tarah

mirā ḳhvāb nahīñ hai jo bikhar jā.egā

main ne chaha hai tujhe aam se insan ki tarah

tu mera KHwab nahin hai jo bikhar jaega

bahut se ḳhvāb dekhoge to āñkheñ

tumhārā saath denā chhoḌ deñgī

bahut se KHwab dekhoge to aankhen

tumhaara sath dena chhoD dengi

maiñ jin dinoñ tire baare meñ sochtā huuñ bahut

unhīñ dinoñ to ye duniyā samajh meñ aatī hai

main jin dinon tere bare mein sochta hun bahut

unhin dinon to ye duniya samajh mein aati hai

maiñ us ko āñsuoñ se likh rahā huuñ

ki mere ba.ad koī paḌh na paa.e

main us ko aansuon se likh raha hun

ki mere baad koi paDh na pae

jo mujh meñ tujh meñ chalā aa rahā hai barsoñ se

kahīñ hayāt isī fāsle naam na ho

jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai barson se

kahin hayat isi fasle ka nam na ho

kyā dukh hai samundar ko batā bhī nahīñ saktā

aañsū tarah aañkh tak aa bhī nahīñ saktā

kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta

aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta

thake-hāre parinde jab basere ke liye lauTeñ

salīqa-mañd shāḳhoñ lachak jaanā zarūrī hai

thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen

saliqa-mand shaKHon ka lachak jaana zaruri hai

bhare makāñ bhī apnā nasha hai kyā jaane

sharāb-ḳhāne meñ rāteñ guzārne vaalā

bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane

sharab-KHane mein raaten guzarne wala

tire ḳhayāl ke hāthoñ kuchh aisā bikhrā huuñ

ki jaise bachcha kitābeñ idhar udhar kar de

tere KHayal ke hathon kuchh aisa bikhra hun

ki jaise bachcha kitaben idhar udhar kar de

ye kis maqām pe laa.ī hai merī tanhā.ī

ki mujh se aaj koī bad-gumāñ nahīñ hotā

ye kis maqam pe lai hai meri tanhai

ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now