Kaynat Shayari
The relationship of humans with the universe is a strange one. The infinite expanse of nothingness makes us question our existence as well as makes us thankful for this closet of life we call 'Earth'. Here are a few selected couplets that explore this very theme.
tum apne chāñd taare kahkashāñ chāhe jise denā
mirī āñkhoñ pe apnī diid kī ik shaam likh denā
tum apne chand tare kahkashan chahe jise dena
meri aankhon pe apni did ki ek sham likh dena
-
Tag : Deedar
ye kā.enāt abhī nā-tamām hai shāyad
ki aa rahī hai damādam sadā-e-kun-fayakūñ
ye kaenat abhi na-tamam hai shayad
ki aa rahi hai damadam sada-e-kun-fayakun
hai kā.enāt ko harakat tere zauq se
partav se āftāb ke zarre meñ jaan hai
hai kaenat ko harakat tere zauq se
partaw se aaftab ke zarre mein jaan hai
jahāñ meñ manzil-e-maqsūd DhūñDne vaale
ye kā.enāt kī tasvīr hī ḳhayālī hai
jahan mein manzil-e-maqsud DhunDne wale
ye kaenat ki taswir hi KHayali hai
ye kā.enāt mire sāmne hai misl-e-bisāt
kahīñ junūñ meñ ulaT duuñ na is jahān ko maiñ
ye kaenat mere samne hai misl-e-bisat
kahin junun mein ulaT dun na is jahan ko main
-
Tags : Bisaatand 1 more
purāne haiñ ye sitāre falak bhī farsūda
jahāñ vo chāhiye mujh ko ki ho abhī nau-ḳhez
purane hain ye sitare falak bhi farsuda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-KHez
raat din gardish meñ haiñ lekin paḌā rahtā huuñ maiñ
kaam kyā merā yahāñ hai sochtā rahtā huuñ maiñ
TRANSLATION
Day and night are in motion, but unmoved I remain,
Who, what is mine here, I keep thinking in disdain.
Sagar Akbarabadi
raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main
kaam kya mera yahan hai sochta rahta hun main
TRANSLATION
Day and night are in motion, but unmoved I remain,
Who, what is mine here, I keep thinking in disdain.
Sagar Akbarabadi
-
Tag : Wajood
silsila raushan tajassus kā udhar merā bhī hai
ai sitāro us ḳhalā meñ ik safar merā bhī hai
silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai
ai sitaro us KHala mein ek safar mera bhi hai
ḳhalā meñ tairte phirte haiñ haath pakḌe hue
zamīñ kī ek sadī ek saal sūraj kā
KHala mein tairte phirte hain hath pakDe hue
zamin ki ek sadi ek sal suraj ka
mirī fazā meñ hai tartīb-e-kā.enāt kuchh aur
ajab nahīñ jo tirā chāñd hai sitāra mujhe
meri faza mein hai tartib-e-kaenat kuchh aur
ajab nahin jo tera chand hai sitara mujhe
kul kā.enāt fikr se āzād ho ga.ī
insāñ misāl-e-dast-e-tah-e-sañg rah gayā
kul kaenat fikr se aazad ho gai
insan misal-e-dast-e-tah-e-sang rah gaya
apnā aap paḌā rah jaatā hai bas ik andāze par
aadhe ham is dhartī par haiñ aadhe us sayyāre par
apna aap paDa rah jata hai bas ek andaze par
aadhe hum is dharti par hain aadhe us sayyare par
duur tak ek ḳhalā hai so ḳhalā ke andar
sirf tanhā.ī kī sūrat hī nazar aa.egī
dur tak ek KHala hai so KHala ke andar
sirf tanhai ki surat hi nazar aaegi
mirī nazar meñ hai 'qā.em' ye kā.enāt tamām
nazar meñ go koī laatā nahīñ hai yaañ mujh ko
meri nazar mein hai 'qaem' ye kaenat tamam
nazar mein go koi lata nahin hai yan mujh ko
bhulā chuke haiñ zamīn o zamāñ ke sab qisse
suḳhan-tarāz haiñ lekin ḳhalā meñ rahte haiñ
bhula chuke hain zamin o zaman ke sab qisse
suKHan-taraaz hain lekin KHala mein rahte hain
jin ajnabī ḳhalāoñ se vāqif nahīñ koī
'muztar' unhīñ ḳhalāoñ kā sayyāra ham hue
jin ajnabi KHalaon se waqif nahin koi
'muztar' unhin KHalaon ka sayyara hum hue
raj.at bhī karegā to Thahrā huā sayyāra
sūraj kī mohabbat meñ ghar apnā jalā degā
rajat bhi karega to Thahra hua sayyara
suraj ki mohabbat mein ghar apna jala dega
shams-o-qamar se aur kabhī kahkashāñ se ham
guzre haiñ laakh baar had-e-lā-makāñ se ham
shams-o-qamar se aur kabhi kahkashan se hum
guzre hain lakh bar had-e-la-makan se hum