Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manish Shukla's Photo'

Manish Shukla

1971 | Lucknow, India

Prominent new generation poet

Prominent new generation poet

Sher of Manish Shukla

3.6K
Favorite

SORT BY

baat karne hasīñ taur-tarīqa sīkhā

ham ne urdu ke bahāne se salīqa sīkhā

baat karne ka hasin taur-tariqa sikha

hum ne urdu ke bahane se saliqa sikha

kisī ke ishq meñ barbād honā

hameñ aayā nahīñ farhād honā

kisi ke ishq mein barbaad hona

hamein aaya nahin farhad hona

maiñ thā jab kārvāñ ke saath to gulzār thī duniyā

magar tanhā huā to har taraf sahrā sahrā thā

main tha jab karwan ke sath to gulzar thi duniya

magar tanha hua to har taraf sahra hi sahra tha

zindagī dekh le nazar bhar ke

ham haiñ shāmil tire ḳharāboñ meñ

zindagi dekh le nazar bhar ke

hum hain shamil tere KHarabon mein

dil saarā dard bharā tasvīroñ meñ

ek musavvir naqsh huā tasvīroñ meñ

dil ka sara dard bhara taswiron mein

ek musawwir naqsh hua taswiron mein

mire dil meñ koī ma.asūm bachcha

kisī se aaj tak rūThā huā hai

mere dil mein koi masum bachcha

kisi se aaj tak ruTha hua hai

sunā hai raat puure chāñd hai

samundar shaam se bahkā huā hai

suna hai raat pure chand ki hai

samundar sham se bahka hua hai

vaqt kahāñ muTThī meñ aane vaalā thā

lekin ham ne bāñdh liyā tasvīroñ meñ

waqt kahan muTThi mein aane wala tha

lekin hum ne bandh liya taswiron mein

lutf to detī hai ye āvārgī

phir bhī ham ko lauT jaanā chāhiye

lutf to deti hai ye aawargi

phir bhi hum ko lauT jaana chahiye

tujhe jab dekhtā huuñ to ḳhud apnī yaad aatī hai

mirā andāz hañsne kabhī tere jaisā thā

tujhe jab dekhta hun to KHud apni yaad aati hai

mera andaz hansne ka kabhi tere hi jaisa tha

safar meñ ab musalsal zalzale haiñ

vo ruk jaa.eñ jinheñ girne Dar hai

safar mein ab musalsal zalzale hain

wo ruk jaen jinhen girne ka Dar hai

batā.ūñ kyā tumheñ hāsil safar

adhūrī dāstāñ hai aur maiñ huuñ

bataun kya tumhein hasil safar ka

adhuri dastan hai aur main hun

ham charāġhoñ madad karte rahe

aur udhar sūraj bujhā Daalā gayā

hum charaghon ki madad karte rahe

aur udhar suraj bujha Dala gaya

mirī āvārgī mere hone alāmat hai

mujhe phir is safar ke ba.ad bhī koī safar denā

meri aawargi hi mere hone ki alamat hai

mujhe phir is safar ke baad bhi koi safar dena

usī ne raah dikhlā.ī jahāñ ko

jo apnī raah par tanhā gayā thā

usi ne rah dikhlai jahan ko

jo apni rah par tanha gaya tha

kitne logoñ se milnā-julnā thā

ḳhud se milnā bhī ab muhāl huā

kitne logon se milna-julna tha

KHud se milna bhi ab muhaal hua

zamāne se ghabrā ke simTe the ḳhud meñ

magar ab to ḳhud se bhī uktā rahe haiñ

zamane se ghabra ke simTe the KHud mein

magar ab to KHud se bhi ukta rahe hain

guftugū koī to miltā sirā

phir use nārāz kar ke dekhte

guftugu ka koi to milta sira

phir use naraaz kar ke dekhte

sīdhe apnī baat pe aa

ye lahja darbārī chhoḌ

sidhe apni baat pe aa

ye lahja darbari chhoD

ab tak jism sulagtā hai

kaisī thī barsāt na pūchh

ab tak jism sulagta hai

kaisi thi barsat na puchh

ab apnā chehra begāna lagtā hai

ham ko thī sanjīda rahne aadat

ab apna chehra begana lagta hai

hum ko thi sanjida rahne ki aadat

uḌānoñ ne kiyā thā is qadar māyūs un ko

thake-hāre parinde jaal meñ ḳhud phañs rahe the

uDanon ne kiya tha is qadar mayus un ko

thake-haare parinde jal mein KHud phans rahe the

koī ta.amīr sūrat to nikle

hameñ manzūr hai buniyād honā

koi tamir ki surat to nikle

hamein manzur hai buniyaad hona

kāġhazoñ par muflisī ke morche sar ho ga.e

aur kahne ke liye hālāt behtar ho ga.e

kaghazon par muflisi ke morche sar ho gae

aur kahne ke liye haalat behtar ho gae

ham ne to pās-e-adab meñ banda-parvar kah diyā

aur vo samjhe ki sach meñ banda-parvar ho ga.e

hum ne to pas-e-adab mein banda-parwar kah diya

aur wo samjhe ki sach mein banda-parwar ho gae

āḳhir ham ko be-zārī tak le aa.ī

har shai par girvīda rahne aadat

aaKHir hum ko be-zari tak le aai

har shai par girwida rahne ki aadat

avval āḳhir jab nahīñ bas meñ

kyā kareñ darmiyān bāteñ

awwal aaKHir hi jab nahin bas mein

kya karen darmiyan ki baaten

kitnī ujlat meñ miTā Daalā gayā

aag meñ sab kuchh jalā Daalā gayā

kitni ujlat mein miTa Dala gaya

aag mein sab kuchh jala Dala gaya

chand lakīreñ to is darja gahrī thiiñ

dekhne vaalā Duub gayā tasvīroñ meñ

chand lakiren to is darja gahri thin

dekhne wala Dub gaya taswiron mein

Recitation

Speak Now