Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arshad Abdul Hamid's Photo'

Arshad Abdul Hamid

Well-knwn poet and critic

Well-knwn poet and critic

Sher of Arshad Abdul Hamid

2.4K
Favorite

SORT BY

ye intizār nahīñ sham.a hai rifāqat

is intizār se tanhā.ī ḳhūb-sūrat hai

ye intizar nahin shama hai rifaqat ki

is intizar se tanhai KHub-surat hai

kuchh sitāre mirī palkoñ pe chamakte haiñ abhī

kuchh sitāre mire siine meñ samā.e hue haiñ

kuchh sitare meri palkon pe chamakte hain abhi

kuchh sitare mere sine mein samae hue hain

zamīñ ke paas kisī dard ilaaj nahīñ

zamīn hai ki mire ahd siyāsat hai

zamin ke pas kisi dard ka ilaj nahin

zamin hai ki mere ahd ki siyasat hai

dil ko ma.alūm hai kyā baat batānī hai use

us se kyā baat chhupānī hai zabāñ jāntī hai

dil ko malum hai kya baat batani hai use

us se kya baat chhupani hai zaban jaanti hai

sar-bulandī mirī tanhā.ī tak aa pahuñchī hai

maiñ vahāñ huuñ ki jahāñ koī nahīñ mere sivā

sar-bulandi meri tanhai tak aa pahunchi hai

main wahan hun ki jahan koi nahin mere siwa

miTTī ko chuum lene hasrat rah ga.ī

TuuTā jo shāḳh se to havā le ga.ī mujhe

miTTi ko chum lene ki hasrat hi rah gai

TuTa jo shaKH se to hawa le gai mujhe

suḳhan ke chaak meñ pinhāñ tumhārī chāhat hai

vagarna kūza-garī kise zarūrat hai

suKHan ke chaak mein pinhan tumhaari chahat hai

wagarna kuza-gari ki kise zarurat hai

ġham-e-jahān o ġham-e-yār do kināre haiñ

udhar jo Duube vo aksar idhar nikal aa.e

gham-e-jahan o gham-e-yar do kinare hain

udhar jo Dube wo aksar idhar nikal aae

ye kis ko yaad kiyā ruuh zarūrat ne

ye kis ke naam se mere lahū meñ phuul khile

ye kis ko yaad kiya ruh ki zarurat ne

ye kis ke nam se mere lahu mein phul khile

mile jo us se to yādoñ ke par nikal aa.e

is ik maqām pe kitne safar nikal aa.e

mile jo us se to yaadon ke par nikal aae

is ek maqam pe kitne safar nikal aae

havelī chhoḌne vaqt aa gayā 'arshad'

sutūñ larazte haiñ aur chhat miTTī girtī hai

haweli chhoDne ka waqt aa gaya 'arshad'

sutun larazte hain aur chhat ki miTTi girti hai

hameñ to sham.a ke donoñ sire jalāne haiñ

ġhazal bhī kahnī hai shab ko basar bhī karnā hai

hamein to shama ke donon sire jalane hain

ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai

maiñ apne aap ko bhī dekhne se qāsir huuñ

ye shām-e-hijr mujhe kyā dikhānā chāhtī hai

main apne aap ko bhi dekhne se qasir hun

ye sham-e-hijr mujhe kya dikhana chahti hai

unheñ ye zom ki be-sūd hai sadā-e-suḳhan

hameñ ye zid ki isī hāo-hū meñ phuul khile

unhen ye zom ki be-sud hai sada-e-suKHan

hamein ye zid ki isi hao-hu mein phul khile

muddatoñ ghaav kiye jis ke badan par ham ne

vaqt aayā to usī ḳhvāb ko talvār kiyā

muddaton ghaw kiye jis ke badan par hum ne

waqt aaya to usi KHwab ko talwar kiya

ishq marhūn-e-hikāyāt-o-gumāñ bhī hogā

vāqi.a hai to kisī taur bayāñ bhī hogā

ishq marhun-e-hikayat-o-guman bhi hoga

waqia hai to kisi taur bayan bhi hoga

ye duniyā akbar zulmoñ ham majbūrī anārkalī

ham dīvāroñ ke biich meñ haiñ ham narġha-e-jabr-o-jalāl meñ haiñ

ye duniya akbar zulmon ki hum majburi ki anarkali

hum diwaron ke bich mein hain hum nargha-e-jabr-o-jalal mein hain

mirā siina kushāda hai chāhatoñ ke ta.iiñ

tufañg-e-dard mirā nishānā chāhtī hai

mera hi sina kushada hai chahaton ke tain

tufang-e-dard mera hi nishana chahti hai

halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khūcha-e-ḳhāk

aish jitne haiñ isī kunj-e-kam-āsār meñ haiñ

halqa-e-dil se na niklo ki sar-e-khucha-e-KHak

aish jitne hain isi kunj-e-kam-asar mein hain

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now