Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ashfaq Husain's Photo'

Ashfaq Husain

1951 | Canada

Prominent Urdu poet from Canada having progressive leaning.

Prominent Urdu poet from Canada having progressive leaning.

Sher of Ashfaq Husain

2.2K
Favorite

SORT BY

tumheñ manāne mujh ko ḳhayāl kyā aa.e

ki apne aap se rūThā huā to maiñ bhī huuñ

tumhein manane ka mujh ko KHayal kya aae

ki apne aap se ruTha hua to main bhi hun

phuul mahkeñge yūñhī chāñd yūñhī chamkegā

tere hote hue manzar ko hasīñ rahnā hai

phul mahkenge yunhi chand yunhi chamkega

tere hote hue manzar ko hasin rahna hai

maiñ apnī pyaas meñ khoyā rahā ḳhabar na huī

qadam qadam pe vo dariyā pukārtā thā mujhe

main apni pyas mein khoya raha KHabar na hui

qadam qadam pe wo dariya pukarta tha mujhe

jo ḳhvāb dahlīz talak bhī nahīñ aayā

aaj us se mulāqāt sūrat nikal aa.ī

jo KHwab ki dahliz talak bhi nahin aaya

aaj us se mulaqat ki surat nikal aai

dil jāgīr meñ merā bhī koī hissa rakh

maiñ bhī terā huuñ mujhe bhī to kahīñ rahnā hai

dil ki jagir mein mera bhi koi hissa rakh

main bhi tera hun mujhe bhi to kahin rahna hai

vo ho na sakā apnā to ham ho ga.e us ke

us shaḳhs marzī meñ Dhāle hue ham haiñ

wo ho na saka apna to hum ho gae us ke

us shaKHs ki marzi hi mein Dhaale hue hum hain

din bhar ke jhameloñ se bachā laayā thā ḳhud ko

shaam aate 'ashfāq' maiñ TuuTā huā kyuuñ huuñ

din bhar ke jhamelon se bacha laya tha KHud ko

sham aate hi 'ashfaq' main TuTa hua kyun hun

bahut chhoTā dil aur is meñ ik chhoTī ḳhvāhish

so ye ḳhvāhish bhī ab nīlām karne ke liye hai

bahut chhoTa sa dil aur is mein ek chhoTi si KHwahish

so ye KHwahish bhi ab nilam karne ke liye hai

khul kar to vo mujh se kabhī miltā nahīñ hai

aur us se bichhaḌ jaane imkān hai yuuñ bhī

khul kar to wo mujh se kabhi milta hi nahin hai

aur us se bichhaD jaane ka imkan hai yun bhi

talāsh apnī ḳhud apne vajūd ko kho kar

ye kār-e-ishq hai is meñ lagā to maiñ bhī huuñ

talash apni KHud apne wajud ko kho kar

ye kar-e-ishq hai is mein laga to main bhi hun

lafzoñ meñ har ik ranj samone qarīna

us aañkh meñ Thahre hue paanī se milā hai

lafzon mein har ek ranj samone ka qarina

us aankh mein Thahre hue pani se mila hai

kaam jo umr-e-ravāñ hai use karne de

merī āñkhoñ meñ sadā tujh ko hasīñ rahnā hai

kaam jo umr-e-rawan ka hai use karne de

meri aankhon mein sada tujh ko hasin rahna hai

TuuTe hue log haiñ salāmat

ye naql-e-makānī mo.ajaza hai

TuTe hue log hain salamat

ye naql-e-makani ka moajaza hai

dil meñ sau tiir tarāzū hue tab ke khulā

is qadar sahl na thā jaañ se guzarnā merā

dil mein sau tir taraazu hue tab ja ke khula

is qadar sahl na tha jaan se guzarna mera

koī ghar nahīñ to be-gharī zaḳhm kaisā

sukūnat ke liye ik isti.āra DhūñDte haiñ

koi ghar hi nahin to be-ghari ka zaKHm kaisa

sukunat ke liye ek istiara DhunDte hain

kaun haiñ vo jinheñ āfāq vus.at kam hai

ye samundar na ye dariyā na ye sahrā merā

kaun hain wo jinhen aafaq ki wusat kam hai

ye samundar na ye dariya na ye sahra mera

Recitation

Speak Now