TOP 20 SHAYARI of Hafeez Jaunpuri
aḳhīr vaqt hai kis muñh se jā.ūñ masjid ko
tamām umr to guzrī sharāb-ḳhāne meñ
aKHir waqt hai kis munh se jaun masjid ko
tamam umr to guzri sharab-KHane mein
aadmī kā aadmī har haal meñ hamdard ho
ik tavajjoh chāhiye insāñ ko insāñ kī taraf
aadmi ka aadmi har haal mein hamdard ho
ek tawajjoh chahiye insan ko insan ki taraf
the chor mai-kade ke masjid ke rahne vaale
mai se bharā huā hai jo zarf hai vazū kā
the chor mai-kade ke masjid ke rahne wale
mai se bhara hua hai jo zarf hai wazu ka
kāfir-e-ishq ko kyā dair-o-haram se matlab
jis taraf tū hai udhar hī hameñ sajda karnā
kafir-e-ishq ko kya dair-o-haram se matlab
jis taraf tu hai udhar hi hamein sajda karna
gayā jo haath se vo vaqt phir nahīñ aatā
kahāñ umiid ki phir din phireñ hamāre ab
gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata
kahan umid ki phir din phiren hamare ab
-
Tag : Waqt
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bosa-e-ruḳhsār par takrār rahne dījiye
lījiye yā dījiye inkār rahne dījiye
bosa-e-ruKHsar par takrar rahne dijiye
lijiye ya dijiye inkar rahne dijiye
āshiq kī be-kasī kā to aalam na pūchhiye
majnūñ pe kyā guzar ga.ī sahrā gavāh hai
aashiq ki be-kasi ka to aalam na puchhiye
majnun pe kya guzar gai sahra gawah hai
yaad aa.iiñ us ko dekh ke apnī musībateñ
ro.e ham aaj ḳhuub lipaT kar raqīb se
yaad aain us ko dekh ke apni musibaten
roe hum aaj KHub lipaT kar raqib se
burā hī kyā hai baratnā purānī rasmoñ kā
kabhī sharāb kā piinā bhī kyā halāl na thā
bura hi kya hai baratna purani rasmon ka
kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jab milā koī hasīñ jaan par aafat aa.ī
sau jagah ahd-e-javānī meñ tabī.at aa.ī
jab mila koi hasin jaan par aafat aai
sau jagah ahd-e-jawani mein tabiat aai
tandurustī se to behtar thī mirī bīmārī
vo kabhī pūchh to lete the ki haal achchhā hai
tandurusti se to behtar thi meri bimari
wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai
shab-e-visāl lagāyā jo un ko siine se
to hañs ke bole alag baiThiye qarīne se
shab-e-visal lagaya jo un ko sine se
to hans ke bole alag baiThiye qarine se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai
haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai
TRANSLATION
I sit down wherever I see a shady space,
Ah! What a thing it is to live in another place.
Sagar Akbarabadi
baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai
TRANSLATION
I sit down wherever I see a shady space,
Ah! What a thing it is to live in another place.
Sagar Akbarabadi
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mirī sharāb kī tauba pe jā na ai vaa.iz
nashe kī baat nahīñ e'tibār ke qābil
meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz
nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil
un kī yaktā.ī kā da.avā miT gayā
aa.ine ne dūsrā paidā kiyā
un ki yaktai ka dawa miT gaya
aaine ne dusra paida kiya
parī thī koī chhalāvā thī yā javānī thī
kahāñ ye ho ga.ī champat jhalak dikhā ke mujhe
pari thi koi chhalawa thi ya jawani thi
kahan ye ho gai champat jhalak dikha ke mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur kī achchhī
na un kī dostī achchhī na un kī dushmanī achchhī
hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi
na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pī lo do ghūñT ki saaqī kī rahe baat 'hafīz'
saaf inkār se ḳhātir-shikanī hotī hai
pi lo do ghunT ki saqi ki rahe baat 'hafiz'
saf inkar se KHatir-shikani hoti hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhid ko raT lagī hai sharāb-e-tuhūr kī
aayā hai mai-kade meñ to sūjhī hai duur kī
zahid ko raT lagi hai sharab-e-tuhur ki
aaya hai mai-kade mein to sujhi hai dur ki
sach hai is ek parde meñ chhupte haiñ laakh aib
ya.anī janāb-e-shaiḳh kī dāḌhī darāz hai
sach hai is ek parde mein chhupte hain lakh aib
yani janab-e-shaiKH ki daDhi daraaz hai