Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baĥhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hilal Fareed's Photo'

Hilal Fareed

1959 | London, United Kingdom

Medical doctor / Living in London

Medical doctor / Living in London

Sher of Hilal Fareed

949
Favorite

SORT BY

mirč dāstāù bhč ajiib hai vo qadam qadam mire saath thā

jise rāz-e-dil na batā sakā jise dāĥh-e-dil na dikhā sakā

meri dastan bhi ajib hai wo qadam qadam mere sath tha

jise raaz-e-dil na bata saka jise dagh-e-dil na dikha saka

ham ḳhud bhč hue nādim jab harf-e-duā niklā

samjhe the jise patthar vo shaḳhs ḳhudā niklā

hum KHud bhi hue nadim jab harf-e-dua nikla

samjhe the jise patthar wo shaKHs KHuda nikla

aaj na ham se pōchhiye kaisā kamāl ho gayā

hijr ke ḳhauf meù rahe aur visāl ho gayā

aaj na hum se puchhiye kaisa kamal ho gaya

hijr ke KHauf mein rahe aur visal ho gaya

us ajnabč se vāsta zarōr thā koč

vo jab kabhč milā to bas mirā lagā mujhe

us ajnabi se wasta zarur tha koi

wo jab kabhi mila to bas mera laga mujhe

paanč pe bante aks kč mānind huuù magar

āùkhoù meù koč bhar le to miTtā nahčù huuù maiù

pani pe bante aks ki manind hun magar

aankhon mein koi bhar le to miTta nahin hun main

na hč bijliyāù na hč bārisheù na hč dushmanoù kč vo sāzisheù

bhalā kyā sabab hai batā zarā jo tō aaj bhč nahčù aa sakā

na hi bijliyan na hi barishen na hi dushmanon ki wo sazishen

bhala kya sabab hai bata zara jo tu aaj bhi nahin aa saka

apne dukh meù ronā-dhonā aap hč aayā

ĥhair ke dukh meù ḳhud ko dukhānā ishq meù sčkhā

apne dukh mein rona-dhona aap hi aaya

ghair ke dukh mein KHud ko dukhana ishq mein sikha

jām-e-ishq pč chuke zindagč bhč jč chuke

ab 'hilāl' ghar chalo ab to shaam ho ga.č

jam-e-ishq pi chuke zindagi bhi ji chuke

ab 'hilal' ghar chalo ab to sham ho gai

aaj phir dab ga.iiù dard kč siskiyāù

aaj phir gōùjtā qahqaha rah gayā

aaj phir dab gain dard ki siskiyan

aaj phir gunjta qahqaha rah gaya

jab vaqt paḌā thā to jo kuchh ham ne kiyā thā

samjhe the vahč yaar hamārā bhč karegā

jab waqt paDa tha to jo kuchh hum ne kiya tha

samjhe the wahi yar hamara bhi karega

bāhar jo nahčù thā to koč baat nahčù thč

ehsās-e-nadāmt magar andar bhč nahčù thā

bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi

ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha

is aql kč maarč nagrč meù kabhč paanč aag nahčù bantā

yahāù ishq bhč log nahčù karte yahāù koč kamāl nahčù hotā

is aql ki mari nagri mein kabhi pani aag nahin banta

yahan ishq bhi log nahin karte yahan koi kamal nahin hota

pahle bhī jahāñ par bichhḌe the vahī manzil thī is baar magar

vo bhč be-laus nahčù lauTā ham bhč be-tāb nahčù aa.e

pahle bhi jahan par bichhDe the wahi manzil thi is bar magar

wo bhi be-laus nahin lauTa hum bhi be-tab nahin aae

javāb is savāl kā bhč de zarā mujhe

uḌā ke laa.ī hai yahāñ pe kyuuñ havā mujhe

TRANSLATION

This question also seeks answer,

Why has the wind flown me here.

Sagar Akbarabadi

jawab is sawal ka bhi de zara mujhe

uDa ke lai hai yahan pe kyun hawa mujhe

TRANSLATION

This question also seeks answer,

Why has the wind flown me here.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now