Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Masood Tanha's Photo'

Masood Tanha

1978 | Lahore, Pakistan

Sher of Masood Tanha

364
Favorite

SORT BY

yādoñ ke qāfile meñ udāsī thī ham-rikāb

hijrat meñ tere shahr se 'tanhā' nahīñ ga.e

yaadon ke qafile mein udasi thi ham-rikab

hijrat mein tere shahr se 'tanha' nahin gae

shahr meñ raunaqeñ sahī 'tanhā'

apne gaañv se mat kinārā kar

shahr mein raunaqen sahi 'tanha'

apne ganw se mat kinara kar

dasht-e-ġhurbat meñ ham-safar na banā

ham ka.ī mehrbān chhoḌ aa.e

dasht-e-ghurbat mein ham-safar na bana

hum kai mehrban chhoD aae

dost ḳhūbiyāñ batāte haiñ

dost ḳhāmiyāñ nikālte haiñ

dost hi KHubiyan batate hain

dost hi KHamiyan nikalte hain

aaj aao is tarah jaise ki pahlī baar tum

aa ga.e the be-ḳhayālī meñ sañvar ke sāmne

aaj aao is tarah jaise ki pahli bar tum

aa gae the be-KHayali mein sanwar ke samne

maiñ jab bhī laḌā haq ke liye apne adū se

maidāñ meñ rahī koī na talvār salāmat

main jab bhi laDa haq ke liye apne adu se

maidan mein rahi koi na talwar salamat

koī taaza lagāo zaḳhm dil par

purānī ye nishānī ho rahī hai

koi taza lagao zaKHm dil par

purani ye nishani ho rahi hai

hañse vāloñ ko jo ik pal meñ rulā sakte haiñ

aise lamhāt bhī to ziist meñ aa sakte haiñ

hanse walon ko jo ek pal mein rula sakte hain

aise lamhat bhi to zist mein aa sakte hain

jahāñ bhī dekhā unheñ dosto salām kiyā

hamesha ham ne hasīnoñ ehtirām kiyā

jahan bhi dekha unhen dosto salam kiya

hamesha hum ne hasinon ka ehtiram kiya

gunāhoñ ne mujhe jakḌā huā hai is tarah 'tanhā'

ki lahza-bhar ibādat bhī sazā ma.alūm hotī hai

gunahon ne mujhe jakDa hua hai is tarah 'tanha'

ki lahza-bhar ibaadat bhi saza malum hoti hai

bahut ḳhāmosh rahtā hai jo 'tanhā'

vo mahfil meñ barābar boltā hai

bahut KHamosh rahta hai jo 'tanha'

wo mahfil mein barabar bolta hai

sulūk rakhtā hai mujh se munāfiqoñ jaisā

tamām shahr meñ jo mo'atabar ziyāda hai

suluk rakhta hai mujh se munafiqon jaisa

tamam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai

ye tamāshā sar-e-bāzār nahīñ ho saktā

har koī merā ḳharīdār nahīñ ho saktā

ye tamasha sar-e-bazar nahin ho sakta

har koi mera KHaridar nahin ho sakta

amīr-e-shahr thoḌī kajravī ke sabab

ġharīb-e-shahr ne dekhe haiñ alamiye kitne

amir-e-shahr ki thoDi si kajrawi ke sabab

gharib-e-shahr ne dekhe hain alamiye kitne

maiñ jāntā huuñ zamāne be-niyāzī ko

mujhe patā hai safar meñ kahāñ Thaharnā hai

main jaanta hun zamane ki be-niyazi ko

mujhe pata hai safar mein kahan Thaharna hai

is baar ukhaḌ jā.eñge aivān-e-siyāsat

darbān raheñge na ye darbār rahegā

is bar ukhaD jaenge aiwan-e-siyasat

darban rahenge na ye darbar rahega

jis ko rāhat hai terī yādoñ se

terī furqat meñ ashk-bār bhī hai

jis ko rahat hai teri yaadon se

teri furqat mein ashk-bar bhi hai

zaḳhm detā hai har koī 'tanhā'

hausla bhī diyā kare koī

zaKHm deta hai har koi 'tanha'

hausla bhi diya kare koi

bār-hā ham ne use ro ke kahā hai sāhib

din judā.ī ke nahīñ ham se guzāre jaate

bar-ha hum ne use ro ke kaha hai sahib

din judai ke nahin hum se guzare jate

qāfile rah meñ lūTne vaalā

rāhzan ek rahnumā niklā

qafile rah mein luTne wala

rahzan ek rahnuma nikla

bahāne tark-e-ta.alluq ke kis ne DhūñDe the

ye saare halqa-e-yārāñ meñ faisle hoñge

bahane tark-e-talluq ke kis ne DhunDe the

ye sare halqa-e-yaran mein faisle honge

jangal meñ jo sannāTā thā

shahr jānib aa niklā hai

jangal mein jo sannaTa tha

shahr ki jaanib aa nikla hai

kam milne ehsās-e-garāñ lagtā hai terā

ab lutf-o-karam bhī tirā pahle nahīñ hai

kam milne ka ehsas-e-garan lagta hai tera

ab lutf-o-karam bhi tera pahle sa nahin hai

chup jo rahte haiñ to ye baat ġhanīmat jaano

varna ham log bhī ik hashr uThā sakte haiñ

chup jo rahte hain to ye baat ghanimat jaano

warna hum log bhi ek hashr uTha sakte hain

vo saḳhī hai to us chaukhaT par

dilbarī savāl kar dekheñ

wo saKHi hai to us ki chaukhaT par

dilbari ka sawal kar dekhen

bazm-e-yārāñ meñ baiThtā huuñ magar

merī jānib harīf dekhte haiñ

bazm-e-yaran mein baiThta hun magar

meri jaanib harif dekhte hain

bhañvar ne aa liyā hai kashtiyoñ ko

nazāre dekh lo tum bhī ajal ke

bhanwar ne aa liya hai kashtiyon ko

nazare dekh lo tum bhi ajal ke

hādse phir na pesh aate hameñ

ye muhāfiz jo karte ghaat pe ġhaur

hadse phir na pesh aate hamein

ye muhafiz jo karte ghat pe ghaur

jaane kyā kyā aur hoñ rāh-e-talab meñ mushkileñ

saath rakhnā hai kabhī zād-e-safar mat bhūlnā

jaane kya kya aur hon rah-e-talab mein mushkilen

sath rakhna hai kabhi zad-e-safar mat bhulna

bach ke niklā thā jo kabhī mujh se

aa gayā hai mire nishāne par

bach ke nikla tha jo kabhi mujh se

aa gaya hai mere nishane par

chhupā kar dard ko siine meñ 'tanhā'

bharam us bhī kuchh rakhnā paḌegā

chhupa kar dard ko sine mein 'tanha'

bharam us ka bhi kuchh rakhna paDega

maar Dālegī ek din 'tanhā'

ye tirī shoḳhī-e-jamāl mujhe

mar Dalegi ek din 'tanha'

ye teri shoKHi-e-jamal mujhe

masīhā.ī ho e.ajāz jis meñ

kahīñ vo chārāgar miltā nahīñ hai

masihai ka ho eajaz jis mein

kahin wo chaaragar milta nahin hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now