Sher of Riyaz Khairabadi
dhoke se pilā dī thī use bhī koī do ghūñT
pahle se bahut narm hai vaa.iz kī zabāñ ab
through guile we have managed to ply him with
now the priest's tone is much gentler than before
dhoke se pila di thi use bhi koi do ghunT
pahle se bahut narm hai waiz ki zaban ab
through guile we have managed to ply him with
now the priest's tone is much gentler than before
-
Tag : Waiz
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download
be-abr riñd piite nahīñ vā.izo sharāb
karte haiñ ye gunāh bhī rahmat ke zor par
be-abr rind pite nahin waizo sharab
karte hain ye gunah bhi rahmat ke zor par
ye qais-o-kohkan ke se fasāne ban ga.e kitne
kisī ne TukḌe kar ke sab hamārī dāstāñ rakh dī
ye qais-o-kohkan ke se fasane ban gae kitne
kisi ne TukDe kar ke sab hamari dastan rakh di
vasl kī raat ke sivā koī shaam
saath le kar sahar nahīñ aatī
wasl ki raat ke siwa koi sham
sath le kar sahar nahin aati
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye sun ke aaj hashr meñ vo baat bhī to ho
hañs kar kahā ki din hai kahīñ raat bhī to ho
ye sun ke aaj hashr mein wo baat bhi to ho
hans kar kaha ki din hai kahin raat bhi to ho
bach jaa.e javānī meñ jo duniyā kī havā se
hotā hai farishta koī insāñ nahīñ hotā
bach jae jawani mein jo duniya ki hawa se
hota hai farishta koi insan nahin hota
hamārī āñkhoñ meñ aao to ham dikhā.eñ tumheñ
adā tumhārī jo tum bhī kaho ki haañ kuchh hai
hamari aankhon mein aao to hum dikhaen tumhein
ada tumhaari jo tum bhi kaho ki han kuchh hai
ġham mujhe dete ho auroñ kī ḳhushī ke vāste
kyuuñ bure bante ho tum nāhaq kisī ke vāste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
gham mujhe dete ho auron ki KHushi ke waste
kyun bure bante ho tum nahaq kisi ke waste
you heap these sorrows onto me, why for other's sake?
For someone else, needlessly this blame why do you take?
mehñdī lagā.e baiThe haiñ kuchh is adā se vo
muTThī meñ un kī de de koī dil nikāl ke
mehndi lagae baiThe hain kuchh is ada se wo
muTThi mein un ki de de koi dil nikal ke
kuchh bhī ho 'riyāz' aañkh meñ aañsū nahīñ aate
mujh ko to kisī baat kā ab ġham nahīñ hotā
kuchh bhi ho 'riyaz' aankh mein aansu nahin aate
mujh ko to kisi baat ka ab gham nahin hota
koī muñh chuum legā is nahīñ par
shikan rah jā.egī yūñhī jabīñ par
koi munh chum lega is nahin par
shikan rah jaegi yunhi jabin par
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'riyāz' aane meñ hai un ke abhī der
chalo ho aa.eñ marg-e-nā-gahāñ tak
'riyaz' aane mein hai un ke abhi der
chalo ho aaen marg-e-na-gahan tak
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kyā mazā detī hai bijlī kī chamak mujh ko 'riyāz'
mujh se lipTe haiñ mire naam se Darne vaale
kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko 'riyaz'
mujh se lipTe hain mere nam se Darne wale
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis din se harām ho ga.ī hai
mai ḳhuld-maqām ho ga.ī hai
jis din se haram ho gai hai
mai KHuld-maqam ho gai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mar gayā huuñ pe ta.alluq hai ye mai-ḳhāne se
mere hisse kī chhalak jaatī hai paimāne se
mar gaya hun pe talluq hai ye mai-KHane se
mere hisse ki chhalak jati hai paimane se
shoḳhī se har shagūfe ke TukḌe uḌā diye
jis ġhunche par nigāh paḌī dil banā diyā
shoKHi se har shagufe ke TukDe uDa diye
jis ghunche par nigah paDi dil bana diya
merī saj-dhaj to koī ishq-e-butāñ meñ dekhe
saath qashqe ke hai zunnār-e-barahman kaisā
meri saj-dhaj to koi ishq-e-butan mein dekhe
sath qashqe ke hai zunnar-e-barahman kaisa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarf-e-vazū hai jaam hai ik ḳham hai ik subū
ik boriyā hai maiñ huuñ mirī ḳhānqāh hai
zarf-e-wazu hai jam hai ek KHam hai ek subu
ek boriya hai main hun meri KHanqah hai
chhuptā nahīñ chhupāne se aalam ubhār kā
āñchal kī tah se dekh numūdār kyā huā
chhupta nahin chhupane se aalam ubhaar ka
aanchal ki tah se dekh numudar kya hua
ham jānte haiñ lutf-e-taqāzā-e-mai-farosh
vo naqd meñ kahāñ jo mazā hai udhār meñ
hum jaante hain lutf-e-taqaza-e-mai-farosh
wo naqd mein kahan jo maza hai udhaar mein
rañg lā.egā dīda-e-pur-āb
dekhnā dīda-e-pur-āb kā rañg
rang laega dida-e-pur-ab
dekhna dida-e-pur-ab ka rang
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kam-baḳht ik jahān-e-ārzū hai
na ho koī hamārā dil ho ham huuñ
ye kam-baKHt ek jahan-e-arzu hai
na ho koi hamara dil ho hum hun
zer-e-masjid mai-kada maiñ mai-kade meñ mast-e-ḳhvāb
chauñk uThā jab dī mo.azzin ne azaañ bālā-e-sar
zer-e-masjid mai-kada main mai-kade mein mast-e-KHwab
chaunk uTha jab di moazzin ne azan baala-e-sar
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo joban bahut sar uThā.e hue haiñ
bahut tañg band-e-qabā hai kisī kā
wo joban bahut sar uThae hue hain
bahut tang band-e-qaba hai kisi ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ab mujrimān-e-ishq se baaqī huuñ ek maiñ
ai maut rahne de mujhe ibrat ke vāste
ab mujriman-e-ishq se baqi hun ek main
ai maut rahne de mujhe ibrat ke waste
Darātā hai hameñ mahshar se tū vaa.iz are jā bhī
ye hañgāme to ham ne roz kū-e-yār meñ dekhe
Daraata hai hamein mahshar se tu waiz are ja bhi
ye hangame to hum ne roz ku-e-yar mein dekhe
najd meñ kyā qais kā hai urs aaj
nañge nañge jam.a haiñ hammām meñ
najd mein kya qais ka hai urs aaj
nange nange jama hain hammam mein
qulqul-e-mīnā sadā nāqūs kī shor-e-azāñ
ThanDe ThanDe dīdanī hai garmī-e-bāzār-e-sub.h
qulqul-e-mina sada naqus ki shor-e-azan
ThanDe ThanDe didani hai garmi-e-bazar-e-subh
kahāñ ye baat hāsil hai tirī masjid ko ai zāhid
sahar hote jo ham ne dekhe haiñ jhurmuT shivāle meñ
kahan ye baat hasil hai teri masjid ko ai zahid
sahar hote jo hum ne dekhe hain jhurmuT shiwale mein
kalī chaman meñ khilī to mujhe ḳhayāl aayā
kisī ke band-e-qabā kī girah khulī hogī
kali chaman mein khili to mujhe KHayal aaya
kisi ke band-e-qaba ki girah khuli hogi
nishāna bane dil rahe tiir dil meñ
nishānī nahīñ is nishānī se achchhī
nishana bane dil rahe tir dil mein
nishani nahin is nishani se achchhi
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī zamāne meñ rotā hai koī hañstā hai
yahāñ kisī se kisī kī sadā nahīñ miltī
koi zamane mein rota hai koi hansta hai
yahan kisi se kisi ki sada nahin milti
lab-e-mai-gūñ kā taqāzā hai ki jiinā hogā
aañkh kahtī hai tujhe zahr bhī piinā hogā
lab-e-mai-gun ka taqaza hai ki jina hoga
aankh kahti hai tujhe zahr bhi pina hoga
mere ghar meñ ġhair ke Dar se kabhī chhup jā.iye
ġhair ke ghar meñ chhupe the aaj kis kī Dar se aap
mere ghar mein ghair ke Dar se kabhi chhup jaiye
ghair ke ghar mein chhupe the aaj kis ki Dar se aap
ġhalat hai aap na the ham-kalām ḳhalvat meñ
adū se aap kī tasvīr boltī hogī
ghalat hai aap na the ham-kalam KHalwat mein
adu se aap ki taswir bolti hogi
thā bahut un ko gilaurī kā uThānā mushkil
dast-e-nāzuk se diyā paan baḌī mushkil se
tha bahut un ko gilauri ka uThana mushkil
dast-e-nazuk se diya pan baDi mushkil se
-
Tag : Paan
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
piirī meñ 'riyāz' ab bhī javānī ke maze haiñ
ye rīsh-e-safed aur mai-e-hosh-rubā surḳh
piri mein 'riyaz' ab bhi jawani ke maze hain
ye rish-e-safed aur mai-e-hosh-ruba surKH
ek vaa.iz hai ki jis kī da.avatoñ kī dhuum hai
ek ham haiñ jis ke ghar kal mai udhār aane ko thī
ek waiz hai ki jis ki dawaton ki dhum hai
ek hum hain jis ke ghar kal mai udhaar aane ko thi
ḳhudā ke haath hai biknā na biknā mai kā ai saaqī
barābar masjid-e-jāme ke ham ne ab dukāñ rakh dī
KHuda ke hath hai bikna na bikna mai ka ai saqi
barabar masjid-e-jame ke hum ne ab dukan rakh di
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhudā ābād rakkhe mai-kade ko
bahut saste chhuTe duniyā-o-dīñ se
KHuda aabaad rakkhe mai-kade ko
bahut saste chhuTe duniya-o-din se
'riyāz' tauba na TuuTe na mai-kada chhūTe
zabāñ kā paas rahe vaz.a kā nibāh rahe
'riyaz' tauba na TuTe na mai-kada chhuTe
zaban ka pas rahe waza ka nibah rahe
sunā hai 'riyāz' apnī dāḌhī baḌhā kar
buḌhāpe meñ allāh vaale hue haiñ
suna hai 'riyaz' apni daDhi baDha kar
buDhape mein allah wale hue hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharāb
koī bhī zarf barā.e vuzū nahīñ baaqī
ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf barae wuzu nahin baqi
bahār aate hī phūloñ ne chhāvnī chhā.ī
ki DhūñDhtā huuñ mujhe āshiyāñ nahīñ miltā
bahaar aate hi phulon ne chhawni chhai
ki DhunDhta hun mujhe aashiyan nahin milta
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahtī hai ai 'riyāz' darāzī ye riish kī
TaTTī kī aaḌ meñ hai mazā kuchh shikār kā
kahti hai ai 'riyaz' daraazi ye rish ki
TaTTi ki aaD mein hai maza kuchh shikar ka
zarā jo ham ne unheñ aaj mehrbāñ dekhā
na ham se pūchhiye kyā rañg-e-āsmāñ dekhā
zara jo hum ne unhen aaj mehrban dekha
na hum se puchhiye kya rang-e-asman dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ahl-e-haram se kah do ki bigḌī nahīñ hai baat
sab riñd jānte haiñ abhī pārsā mujhe
ahl-e-haram se kah do ki bigDi nahin hai baat
sab rind jaante hain abhi parsa mujhe
qadr mujh rind kī tujh ko nahīñ ai pīr-e-muġhāñ
tauba kar luuñ to kabhī mai-kada ābād na ho
qadr mujh rind ki tujh ko nahin ai pir-e-mughan
tauba kar lun to kabhi mai-kada aabaad na ho
na aayā hameñ ishq karnā na aayā
mare umr-bhar aur marnā na aayā
na aaya hamein ishq karna na aaya
mare umr-bhar aur marna na aaya
kyuuñ na TuuTe mirī tauba jo kahe tū saaqī
pī le pī le are ghanghor ghaTā chhā.ī hai
kyun na TuTe meri tauba jo kahe tu saqi
pi le pi le are ghanghor ghaTa chhai hai