Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tariq Naeem's Photo'

Tariq Naeem

1958 | Islamabad, Pakistan

Sher of Tariq Naeem

1.9K
Favorite

SORT BY

zamīn itnī nahīñ hai ki paañv rakh paa.eñ

dil-e-ḳharāb zid hai ki ghar banāyā jaa.e

zamin itni nahin hai ki panw rakh paen

dil-e-KHarab ki zid hai ki ghar banaya jae

ajiib dard rishta thā sab ke sab ro.e

shajar girā to parinde tamām shab ro.e

ajib dard ka rishta tha sab ke sab roe

shajar gira to parinde tamam shab roe

ab āsmān bhī kam paḌ rahe haiñ us ke liye

qadam zamīn par rakkhā thā jis ne Darte hue

ab aasman bhi kam paD rahe hain us ke liye

qadam zamin par rakkha tha jis ne Darte hue

abhī phir rahā huuñ maiñ āp-apnī talāsh meñ

abhī mujh se merā mizāj nahīñ mil rahā

abhi phir raha hun main aap-apni talash mein

abhi mujh se mera mizaj hi nahin mil raha

khol dete haiñ palaT aane pe darvāza-e-dil

aane vaale irāda nahīñ dekhā jaatā

khol dete hain palaT aane pe darwaza-e-dil

aane wale ka irada nahin dekha jata

uThā uThā ke tire naaz ai ġham-e-duniyā

ḳhud aap tirī aadat ḳharāb ham ne

uTha uTha ke tere naz ai gham-e-duniya

KHud aap hi teri aadat KHarab ki hum ne

be-vaj.h na badle the musavvir ne irāde

maiñ us ke ḳhayālāt meñ pahle bhī kahīñ thā

be-wajh na badle the musawwir ne irade

main us ke KHayalat mein pahle bhi kahin tha

ye ḳhayāl thā kabhī ḳhvāb meñ tujhe dekhte

kabhī zindagī kitāb meñ tujhe dekhte

ye KHayal tha kabhi KHwab mein tujhe dekhte

kabhi zindagi ki kitab mein tujhe dekhte

raat ro ro ke guzārī hai charāġhoñ tarah

tab kahīñ harf meñ tāsīr nazar aa.ī hai

raat ro ro ke guzari hai charaghon ki tarah

tab kahin harf mein tasir nazar aai hai

koī kab dīvār banā hai mere safar meñ

ḳhud apne raste dīvār rahā huuñ

koi kab diwar bana hai mere safar mein

KHud hi apne raste ki diwar raha hun

jamāl mujh pe ye ik din meñ to nahīñ aayā

hazār ā.īne TuuTe mire sañvarte hue

jamal mujh pe ye ek din mein to nahin aaya

hazar aaine TuTe mere sanwarte hue

abhī to mansab-e-hastī se maiñ haTā nahīñ

badal ga.e haiñ mire dostoñ ke lahje bhī

abhi to mansab-e-hasti se main haTa hi nahin

badal gae hain mere doston ke lahje bhi

ajab nahīñ dar-o-dīvār jaise ho jaa.eñ

ham aise log jo ḳhud se kalām karte haiñ

ajab nahin dar-o-diwar jaise ho jaen

hum aise log jo KHud se kalam karte hain

tire ḳhayāl lau safar meñ kaam aa.ī

mire charāg to lagtā thā ro.e ab ro.e

tere KHayal ki lau hi safar mein kaam aai

mere charag to lagta tha roe ab roe

kināra kar na ai duniyā mirī hast-e-zabūnī se

koī din meñ mirā raushan sitāra hone vaalā hai

kinara kar na ai duniya meri hast-e-zabuni se

koi din mein mera raushan sitara hone wala hai

ye vīrānī yūñhī to nahīñ rahtī hai āñkhoñ meñ

mire dil se koī jāda-e-vahshat nikaltā hai

ye virani si yunhi to nahin rahti hai aankhon mein

mere dil hi se koi jada-e-wahshat nikalta hai

vo ā.īna hai to hairat kisī jamāl ho

jo sañg hai to kahīñ rahguzar meñ rakkhā jaa.e

wo aaina hai to hairat kisi jamal ki ho

jo sang hai to kahin rahguzar mein rakkha jae

ḳhush-arzānī huī hai is qadar bāzār-e-hastī meñ

girāñ jis ko samajhtā huuñ vo kam-qīmat nikaltā hai

KHush-arzani hui hai is qadar bazar-e-hasti mein

giran jis ko samajhta hun wo kam-qimat nikalta hai

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now