Sher of Tilok Chand Mahroom
saaf aatā hai nazar anjām har āġhāz kā
zindagānī maut kī tamhīd hai mere liye
saf aata hai nazar anjam har aaghaz ka
zindagani maut ki tamhid hai mere liye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aql ko kyuuñ batā.eñ ishq kā raaz
ġhair ko rāz-dāñ nahīñ karte
aql ko kyun bataen ishq ka raaz
ghair ko raaz-dan nahin karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
talātum aarzū meñ hai na tūfāñ justujū meñ hai
javānī kā guzar jaanā hai dariyā kā utar jaanā
talatum aarzu mein hai na tufan justuju mein hai
jawani ka guzar jaana hai dariya ka utar jaana
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bād-e-tark-e-ārzū baiThā huuñ kaisā mutma.in
ho ga.ī āsāñ har ik mushkil ba-āsānī mirī
baad-e-tark-e-arzu baiTha hun kaisa mutmain
ho gai aasan har ek mushkil ba-asani meri
-
Tag : Aarzoo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai ham-nafas na pūchh javānī kā mājrā
mauj-e-nasīm thī idhar aa.ī udhar ga.ī
ai ham-nafas na puchh jawani ka majra
mauj-e-nasim thi idhar aai udhar gai
-
Tag : Jawani
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uThāne ke qābil haiñ sab naaz tere
magar ham kahāñ naaz uThāne ke qābil
uThane ke qabil hain sab naz tere
magar hum kahan naz uThane ke qabil
mandir bhī saaf ham ne kiye masjideñ bhī paak
mushkil ye hai ki dil kī safā.ī na ho sakī
mandir bhi saf hum ne kiye masjiden bhi pak
mushkil ye hai ki dil ki safai na ho saki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
fikr-e-ma.āsh o ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ
in mushkiloñ se ahd-bar.ā.ī na ho sakī
fikr-e-maash o ishq-e-butan yaad-e-raftagan
in mushkilon se ahd-barai na ho saki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yuuñ to barsoñ na pilā.ūñ na piyūñ ai zāhid
tauba karte hī badal jaatī hai nīyat merī
yun to barson na pilaun na piyun ai zahid
tauba karte hi badal jati hai niyat meri
na ilm hai na zabāñ hai to kis liye 'mahrūm'
tum apne aap ko shā.ir ḳhayāl kar baiThe
na ilm hai na zaban hai to kis liye 'mahrum'
tum apne aap ko shair KHayal kar baiThe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye fitrat kā taqāzā thā ki chāhā ḳhūb-rūoñ ko
jo karte aa.e haiñ insāñ na karte ham to kyā karte
ye fitrat ka taqaza tha ki chaha KHub-ruon ko
jo karte aae hain insan na karte hum to kya karte
dām-e-ġham-e-hayāt meñ uljhā ga.ī umiid
ham ye samajh rahe the ki ehsān kar ga.ī
dam-e-gham-e-hayat mein uljha gai umid
hum ye samajh rahe the ki ehsan kar gai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
huuñ vo barbād ki qismat meñ nasheman na qafas
chal diyā chhoḌ kar sayyād tah-e-dām mujhe
hun wo barbaad ki qismat mein nasheman na qafas
chal diya chhoD kar sayyaad tah-e-dam mujhe
dil meñ kahte haiñ ki ai kaash na aa.e hote
un ke aane se jo bīmār kā haal achchhā hai
dil mein kahte hain ki ai kash na aae hote
un ke aane se jo bimar ka haal achchha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na rahī be-ḳhudi-e-shauq meñ itnī bhī ḳhabar
hijr achchhā hai ki 'mahrūm' visāl achchhā hai
na rahi be-KHudi-e-shauq mein itni bhi KHabar
hijr achchha hai ki 'mahrum' visal achchha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gadā nahīñ haiñ ki dast-e-savāl phailā.eñ
kabhī na aap ne pūchhā ki aarzū kyā hai
gada nahin hain ki dast-e-sawal phailaen
kabhi na aap ne puchha ki aarzu kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai ye pur-dard dāstāñ 'mahrūm'
kyā sunā.eñ kisī ko haal apnā
hai ye pur-dard dastan 'mahrum'
kya sunaen kisi ko haal apna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
burā ho ulfat-e-ḳhūbāñ kā ham-nashīñ ham to
shabāb hī meñ burā apnā haal kar baiThe
bura ho ulfat-e-KHuban ka ham-nashin hum to
shabab hi mein bura apna haal kar baiThe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil ke tālib nazar aate haiñ hasīñ har jānib
us ke lākhoñ haiñ ḳharīdār ki maal achchhā hai
dil ke talib nazar aate hain hasin har jaanib
us ke lakhon hain KHaridar ki mal achchha hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ba-zāhir garm hai bāzār-e-ulfat
magar jins-e-vafā kam ho ga.ī hai
ba-zahir garm hai bazar-e-ulfat
magar jins-e-wafa kam ho gai hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download