Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Abhinandan Pandey's Photo'

Abhinandan Pandey

1988 | Delhi, India

One of the prominent poets of the new generation

One of the prominent poets of the new generation

Sher of Abhinandan Pandey

savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par

hameñ javāb na dene fā.eda to milā

sawal aa gae aankhon se chhin ke honTon par

hamein jawab na dene ka faeda to mila

darmiyāñ jo jism parda hai kaise hogā chaak

maut kis tarkīb se ham ko milā.egī na pūchh

darmiyan jo jism ka parda hai kaise hoga chaak

maut kis tarkib se hum ko milaegi na puchh

nasl-e-ādam rafta rafta ḳhud ko kar legī tabāh

itnī saḳhtī se qayāmat pesh aa.egī na pūchh

nasl-e-adam rafta rafta KHud ko kar legi tabah

itni saKHti se qayamat pesh aaegi na puchh

ġhaur se dekhte rahne sazā paa.ī hai

terī tasvīr in āñkhoñ meñ utar aa.ī hai

ghaur se dekhte rahne ki saza pai hai

teri taswir in aankhon mein utar aai hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now