Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azm Bahzad's Photo'

Azm Bahzad

1958 - 2011 | Karachi, Pakistan

Leading Pakistani poet having popular appeal, grandson of Behzad Lakhnawi.

Leading Pakistani poet having popular appeal, grandson of Behzad Lakhnawi.

Sher of Azm Bahzad

6.9K
Favorite

SORT BY

kal sāmne manzil thī pīchhe mirī āvāzeñ

chaltā to bichhaḌ jaatā ruktā to safar jaatā

kal samne manzil thi pichhe meri aawazen

chalta to bichhaD jata rukta to safar jata

raushnī DhūñD ke laanā koī mushkil to na thā

lekin is dauḌ meñ har shaḳhs ko jalte dekhā

raushni DhunD ke lana koi mushkil to na tha

lekin is dauD mein har shaKHs ko jalte dekha

kitne mausam sargardāñ the mujh se haath milāne meñ

maiñ ne shāyad der lagā ḳhud se bāhar aane meñ

kitne mausam sargardan the mujh se hath milane mein

main ne shayad der laga di KHud se bahar aane mein

ajab mahfil hai sab ik dūsre par hañs rahe haiñ

ajab tanhā.ī hai ḳhalvat ḳhalvat ro rahī hai

ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain

ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai

dariyā paar utarne vaale ye bhī jaan nahīñ paa.e

kise kināre par le Duubā paar utar jaane ġham

dariya par utarne wale ye bhi jaan nahin pae

kise kinare par le Duba par utar jaane ka gham

ashk agar sab ne likhe maiñ ne sitāre likkhe

ājizī sab ne likhī maiñ ne ibādat likkhā

ashk agar sab ne likhe main ne sitare likkhe

aajizi sab ne likhi main ne ibaadat likkha

savāl karne ke hausle se javāb dene ke faisle tak

jo vaqfa-e-sabr aa gayā thā usī lazzat meñ aa basā huuñ

sawal karne ke hausle se jawab dene ke faisle tak

jo waqfa-e-sabr aa gaya tha usi ki lazzat mein aa basa hun

koī āsān rifāqat nahīñ likkhī maiñ ne

qurb ko jab bhī likhā jazb-e-raqābat likhkhā

koi aasan rifaqat nahin likkhi main ne

qurb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likhkha

āmādgī ko vasl se mashrūt mat samajh

ye dekh is savāl pe sanjīda kaun hai

aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh

ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai

ai ḳhvāb-e-pazīrā.ī kyuuñ mirī āñkhoñ meñ

andesha-e-duniyā ta.abīr uThā laayā

ai KHwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein

andesha-e-duniya ki tabir uTha laya

uTho 'azm' is ātish-e-shauq ko sard hone se roko

agar ruk na paa.e to koshish ye karnā dhuāñ kho na jaa.e

uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko

agar ruk na pae to koshish ye karna dhuan kho na jae

'azm' is shahr meñ ab aisī koī aañkh nahīñ

girne vaale ko yahāñ jis ne sambhalte dekhā

'azm' is shahr mein ab aisi koi aankh nahin

girne wale ko yahan jis ne sambhalte dekha

har tafsīl meñ jaane vaalā zehn savāl zad par hai

har tashrīh ke pīchhe hai anjām se Dar jaane ġham

har tafsil mein jaane wala zehn sawal ki zad par hai

har tashrih ke pichhe hai anjam se Dar jaane ka gham

ek malāl gard sameTe maiñ ne ḳhud ko paar kiyā

kaise kaise vasl guzāre hijr zaḳhm chhupāne meñ

ek malal ki gard sameTe main ne KHud ko par kiya

kaise kaise wasl guzare hijr ka zaKHm chhupane mein

kisī sitāre se kyā shikāyat ki raat sab kuchh bujhā huā thā

fasurdagī likh rahī thī dil par shikastagī na.ī kahānī

kisi sitare se kya shikayat ki raat sab kuchh bujha hua tha

fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahani

maiñ tark-e-ta.alluq par zinda huuñ so mujrim huuñ

kaash us ke liye jiitā apne liye mar jaatā

main tark-e-talluq par zinda hun so mujrim hun

kash us ke liye jita apne liye mar jata

maiñ apnī añgusht kāTtā thā ki biich meñ niiñd aa na jaa.e

agarche sab ḳhvāb safar thā magar haqīqat meñ aa basā huuñ

main apni angusht kaTta tha ki bich mein nind aa na jae

agarche sab KHwab ka safar tha magar haqiqat mein aa basa hun

ai ġhubār-e-ḳhvāhish-e-yak-umr apnī raah le

is galī meñ tujh se pahle ik jahāñ maujūd hai

ai ghubar-e-KHwahish-e-yak-umr apni rah le

is gali mein tujh se pahle ek jahan maujud hai

Recitation

Speak Now