Sher of Khursheed Akbar
sāhil se sunā karte haiñ lahroñ kī kahānī
ye Thahre hue log baġhāvat nahīñ karte
sahil se suna karte hain lahron ki kahani
ye Thahre hue log baghawat nahin karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham bhī tire beTe haiñ zarā dekh hameñ bhī
ai ḳhāk-e-vatan tujh se shikāyat nahīñ karte
hum bhi tere beTe hain zara dekh hamein bhi
ai KHak-e-watan tujh se shikayat nahin karte
-
Tag : Deshbhakti
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dard kā zā.iqa batā.ūñ kyā
ye ilāqa zabāñ se bāhar hai
dard ka zaiqa bataun kya
ye ilaqa zaban se bahar hai
dalīleñ chhīn kar mere laboñ se
vo mujh ko mujh se behtar kāTtā hai
dalilen chhin kar mere labon se
wo mujh ko mujh se behtar kaTta hai
chehre haiñ ki sau rañg meñ hote haiñ numāyāñ
ā.īne magar koī siyāsat nahīñ karte
chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan
aaine magar koi siyasat nahin karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
yahāñ to rasm hai zindoñ ko dafn karne kī
kisī bhī qabr se murda kahāñ nikaltā hai
yahan to rasm hai zindon ko dafn karne ki
kisi bhi qabr se murda kahan nikalta hai
qur.ān kā mafhūm unheñ kaun batā.e
āñkhoñ se jo chehroñ kī tilāvat nahīñ karte
quran ka mafhum unhen kaun batae
aankhon se jo chehron ki tilawat nahin karte
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
duniyā ko rauñdne kā hunar jāntā huuñ maiñ
lekin ye sochtā huuñ ki duniyā ke ba.ad kyā
duniya ko raundne ka hunar jaanta hun main
lekin ye sochta hun ki duniya ke baad kya
zindagī! tujh ko magar sharm nahīñ aatī kyā
kaisī kaisī tirī tasvīr nikal aa.ī hai
zindagi! tujh ko magar sharm nahin aati kya
kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai
mere us ke biich kā rishta ik majbūr zarūrat hai
maiñ sūkhe jazboñ kā īñdhan vo māchis kī tiilī sī
mere us ke bich ka rishta ek majbur zarurat hai
main sukhe jazbon ka indhan wo machis ki tili si
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
badan meñ saañs letā hai samundar
mirī kashtī havā par chal rahī hai
badan mein sans leta hai samundar
meri kashti hawa par chal rahi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sisaktī aarzū kā dard huuñ fōtpath jaisā huuñ
ki mujh meñ chhaTpaTātā shahr-e-kalkatta bhī rahtā hai
sisakti aarzu ka dard hun footpath jaisa hun
ki mujh mein chhaTpaTata shahr-e-kalkatta bhi rahta hai
lahū tevar badaltā hai kahāñ tak
mirā beTā siyānā ho to dekhūñ
lahu tewar badalta hai kahan tak
mera beTa siyana ho to dekhun
ġharībī kāTnā āsāñ nahīñ hai
vo saarī umr patthar kāTtā hai
gharibi kaTna aasan nahin hai
wo sari umr patthar kaTta hai
ġhaib kā aisā parinda hai zamīñ par insāñ
āsmānoñ ko jo shah-par pe uThā.e hue hai
ghaib ka aisa parinda hai zamin par insan
aasmanon ko jo shah-par pe uThae hue hai
aate aate aa.egī duniyā-dārī
jaate jaate fāqa-mastī jā.egī
aate aate aaegi duniya-dari
jate jate faqa-masti jaegi
baḌī bholī hai ḳharchīlī zarūrat
shahanshāhī kamā.ī māñgtī hai
baDi bholi hai KHarchili zarurat
shahanshahi kamai mangti hai
ḳhud se likhne kā iḳhtiyār bhī de
varna qismat kī taḳhtiyāñ le jā
KHud se likhne ka iKHtiyar bhi de
warna qismat ki taKHtiyan le ja
dil hai ki tire paañv se pāzeb girī hai
suntā huuñ bahut der se jhankār kahīñ kī
dil hai ki tere panw se pazeb giri hai
sunta hun bahut der se jhankar kahin ki
kashtī kī tarah tum mujhe dariyā meñ utāro
maiñ biich bhañvar meñ tumheñ patvār banā.ūñ
kashti ki tarah tum mujhe dariya mein utaro
main bich bhanwar mein tumhein patwar banaun
sulagtī pyaas ne kar lī hai morcha-bañdī
isī ḳhatā pe samundar ḳhilāf rahtā hai
sulagti pyas ne kar li hai morcha-bandi
isi KHata pe samundar KHilaf rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shahr be-āb huā jaatā hai
apnī āñkhoñ meñ bachā luuñ paanī
shahr be-ab hua jata hai
apni aankhon mein bacha lun pani
na jaane kitne bhañvar ko rulā ke aa.ī hai
ye merī kashtī-e-jāñ ḳhud ko paar kartī huī
na jaane kitne bhanwar ko rula ke aai hai
ye meri kashti-e-jaan KHud ko par karti hui
shahr jab ḳhud-kafīl hai sāhab
kaun kis kā malāl kartā hai
shahr jab KHud-kafil hai sahab
kaun kis ka malal karta hai
muTThī se ret paañv se kāñTā nikal na jaa.e
maiñ dekhtā rahūñ kahīñ duniyā nikal na jaa.e
muTThi se ret panw se kanTa nikal na jae
main dekhta rahun kahin duniya nikal na jae
marsiya huuñ maiñ ġhulāmoñ kī ḳhush-ilhāmī kā
shaah ke haq meñ qasīda nahīñ hone vaalā
marsiya hun main ghulamon ki KHush-ilhami ka
shah ke haq mein qasida nahin hone wala
jazīre ug rahe haiñ pāniyoñ meñ
magar puḳhta kinārā jā rahā hai
jazire ug rahe hain paniyon mein
magar puKHta kinara ja raha hai
rotā huuñ to sailāb se kaTtī haiñ zamīneñ
hañstā huuñ to Dah jaate haiñ kohsār mirī jaañ
rota hun to sailab se kaTti hain zaminen
hansta hun to Dah jate hain kohsar meri jaan
ḳhudā ke ġhā.ebāne meñ kisī din
suno kyā shahr saarā boltā hai
KHuda ke ghaebane mein kisi din
suno kya shahr sara bolta hai
samundar āsmāñ is par sitāroñ kā safīna
mirā mahtāb-e-ġham hai be-karānī dekhne meñ
samundar aasman is par sitaron ka safina
mera mahtab-e-gham hai be-karani dekhne mein
na jaane kyā likhā thā us ne dīvār-e-barahna par
salāmat rah na paa.ī ek bhī tahrīr paanī meñ
na jaane kya likha tha us ne diwar-e-barahna par
salamat rah na pai ek bhi tahrir pani mein
shaam ke tiir se zaḳhmī hai 'ḳhurshīd' kā siina
nuur simaT kar surḳh kabūtar ban jaatā hai
sham ke tir se zaKHmi hai 'KHurshid' ka sina
nur simaT kar surKH kabutar ban jata hai
ai shahr-e-sitam-zād tirī umr baḌī ho
kuchh aur batā naql-e-makānī ke alāva
ai shahr-e-sitam-zad teri umr baDi ho
kuchh aur bata naql-e-makani ke alawa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye kaisā shahr hai maiñ kis ajā.ib-ghar meñ rahtā huuñ
maiñ kis kī aañkh kā paanī huuñ kis patthar meñ rahtā huuñ
ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun
main kis ki aankh ka pani hun kis patthar mein rahta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo ek aa.ina chehre kī baat kartā hai
vo ek aa.ina patthar se hai ziyāda kyā
wo ek aaina chehre ki baat karta hai
wo ek aaina patthar se hai ziyaada kya
ye merā ḳhāk-dāñ rakkhā huā hai
isī meñ āsmāñ rakkhā huā hai
ye mera KHak-dan rakkha hua hai
isi mein aasman rakkha hua hai
sahl kyā bār-e-amānat kā uThānā hai falak
maiñ sambhaltā huuñ mire saath sambhaltī hai zamīñ
sahl kya bar-e-amanat ka uThana hai falak
main sambhalta hun mere sath sambhalti hai zamin
jo din hai ḳhāk-e-bayābāñ jo raat hai jañgal
vo be-panāh mire ghar se hai ziyāda kyā
jo din hai KHak-e-bayaban jo raat hai jangal
wo be-panah mere ghar se hai ziyaada kya