Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Majrooh Sultanpuri's Photo'

Majrooh Sultanpuri

1919 - 2000 | Mumbai, India

One of the most lyrical of ghazal poets associated with progressive movement. Outstanding film lyricist. Recipient of Dada Sahab Phalke award.

One of the most lyrical of ghazal poets associated with progressive movement. Outstanding film lyricist. Recipient of Dada Sahab Phalke award.

TOP 20 SHAYARI of Majrooh Sultanpuri

maiñ akelā chalā thā jānib-e-manzil magar

log saath aate ga.e aur kārvāñ bantā gayā

main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar

log sath aate gae aur karwan banta gaya

aise hañs hañs ke na dekhā karo sab jānib

log aisī adāoñ pe fidā hote haiñ

aise hans hans ke na dekha karo sab ki jaanib

log aisi hi adaon pe fida hote hain

koī ham-dam na rahā koī sahārā na rahā

ham kisī ke na rahe koī hamārā na rahā

koi ham-dam na raha koi sahaara na raha

hum kisi ke na rahe koi hamara na raha

dekh zindāñ se pare rañg-e-chaman josh-e-bahār

raqs karnā hai to phir paañv zanjīr na dekh

dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

shab-e-intizār kashmakash meñ na pūchh kaise sahar huī

kabhī ik charāġh jalā diyā kabhī ik charāġh bujhā diyā

shab-e-intizar ki kashmakash mein na puchh kaise sahar hui

kabhi ek charagh jala diya kabhi ek charagh bujha diya

jafā ke zikr pe tum kyuuñ sambhal ke baiTh ga.e

tumhārī baat nahīñ baat hai zamāne

jafa ke zikr pe tum kyun sambhal ke baiTh gae

tumhaari baat nahin baat hai zamane ki

ġham-e-hayāt ne āvāra kar diyā varna

thī aarzū ki tire dar pe sub.h o shaam kareñ

gham-e-hayat ne aawara kar diya warna

thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen

bahāne aur bhī hote jo zindagī ke liye

ham ek baar tirī aarzū bhī kho dete

bahane aur bhi hote jo zindagi ke liye

hum ek bar teri aarzu bhi kho dete

bachā liyā mujhe tūfāñ mauj ne varna

kināre vaale safīna mirā Dubo dete

bacha liya mujhe tufan ki mauj ne warna

kinare wale safina mera Dubo dete

zabāñ hamārī na samjhā yahāñ koī 'majrūh'

ham ajnabī tarah apne vatan meñ rahe

zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'

hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe

alag baiThe the phir bhī aañkh saaqī paḌī ham par

agar hai tishnagī kāmil to paimāne bhī ā.eñge

alag baiThe the phir bhi aankh saqi ki paDi hum par

agar hai tishnagi kaamil to paimane bhi aaenge

sutūn-e-dār pe rakhte chalo saroñ ke charāġh

jahāñ talak ye sitam siyāh raat chale

sutun-e-dar pe rakhte chalo saron ke charagh

jahan talak ye sitam ki siyah raat chale

mujh se kahā jibrīl-e-junūñ ne ye bhī vahi-e-ilāhī hai

maz.hab to bas mazhab-e-dil hai baaqī sab gumrāhī hai

mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai

mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai

rok saktā hameñ zindān-e-balā kyā 'majrūh'

ham to āvāz haiñ dīvār se chhan jaate haiñ

rok sakta hamein zindan-e-bala kya 'majruh'

hum to aawaz hain diwar se chhan jate hain

ham ko junūñ kyā sikhlāte ho ham the pareshāñ tum se ziyāda

chaak kiye haiñ ham ne azīzo chaar garebāñ tum se ziyāda

EXPLANATION

You teach me passion? I was distressed more than you,

O my friends I have torn,my far more collars than you.

Sagar Akbarabadi

hum ko junun kya sikhlate ho hum the pareshan tum se ziyaada

chaak kiye hain hum ne azizo chaar gareban tum se ziyaada

EXPLANATION

You teach me passion? I was distressed more than you,

O my friends I have torn,my far more collars than you.

Sagar Akbarabadi

mujhe ye fikr sab pyaas apnī pyaas hai saaqī

tujhe ye zid ki ḳhālī hai mirā paimāna barsoñ se

mujhe ye fikr sab ki pyas apni pyas hai saqi

tujhe ye zid ki KHali hai mera paimana barson se

sar par havā-e-zulm chale sau jatan ke saath

apnī kulāh kaj hai usī bāñkpan ke saath

sar par hawa-e-zulm chale sau jatan ke sath

apni kulah kaj hai usi bankpan ke sath

ab kārgah-e-dahr meñ lagtā hai bahut dil

ai dost kahīñ ye bhī tirā ġham to nahīñ hai

ab kargah-e-dahr mein lagta hai bahut dil

ai dost kahin ye bhi tera gham to nahin hai

mere sañg-o-ḳhisht se ta.amīr-e-bām-o-dar

mere ghar ko shahr meñ shāmil kahā na jaa.e

mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar

mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae

pāra-e-dil hai vatan sarzamīñ mushkil ye hai

shahr ko vīrān is dil ko vīrāna kaheñ

para-e-dil hai watan ki sarzamin mushkil ye hai

shahr ko viran ya is dil ko virana kahen

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now