Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muztar Khairabadi's Photo'

Muztar Khairabadi

1865 - 1927 | Gwalior, India

Grand father of noted poet and lyricist Javed Akhtar.

Grand father of noted poet and lyricist Javed Akhtar.

Sher of Muztar Khairabadi

34.6K
Favorite

SORT BY

musībat aur lambī zindagānī

buzurgoñ duā ne maar Daalā

all these worldly troubles and longevity

blessings of the elders is the death of me

musibat aur lambi zindagani

buzurgon ki dua ne mar Dala

all these worldly troubles and longevity

blessings of the elders is the death of me

vaqt do mujh par kaThin guzre haiñ saarī umr meñ

ik tire aane se pahle ik tire jaane ke ba.ad

waqt do mujh par kaThin guzre hain sari umr mein

ek tere aane se pahle ek tere jaane ke baad

ilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktā

tum achchhā kar nahīñ sakte maiñ achchhā ho nahīñ saktā

ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta

tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta

use kyuuñ ham ne diyā dil jo hai be-mehrī meñ kāmil jise aadat hai jafā

jise chiḌh mehr-o-vafā jise aatā nahīñ aanā ġham-o-hasrat miTānā jo sitam meñ hai yagāna

jise kahtā hai zamāna but-e-be-mahr-o-daġhā-baz jafā-pesha fusūñ-sāz sitam-ḳhāna-bar-andāz

ġhazab jis har ik naaz nazar fitna mizha tiir balā zulf-e-girah-gīr ġham-o-rañj baanī qalaq-o-dard

mūjib sitam-o-jaur ustād jafā-kārī meñ māhir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai

dilbar jise aatī nahīñ ulfat jo samajhtā nahīñ chāhat jo tasallī ko na samjhe jo tashaffī ko na

jaane jo kare qaul na puurā kare har kaam adhūrā yahī din-rāt tasavvur hai ki nāhaq

use chāhā jo na aa.e na bulā.e na kabhī paas biThā.e na ruḳh-e-sāf dikhā.e na koī

baat sunā.e na lagī dil bujhā.e na kalī dil khilā.e na ġham-o-rañj ghaTā.e na rah-o-rasm

baḌhā.e jo kaho kuchh to ḳhafā ho kahe shikve zarūrat jo yahī hai to na chāho jo na

chāhoge to kyā hai na nibāhoge to kyā hai bahut itrāo na dil de ke ye kis kaam dil

hai ġham-o-andoh maarā abhī chāhūñ to maiñ rakh duuñ ise talvoñ se masal kar abhī muñh

dekhte rah jaao ki haiñ un ko huā kyā ki inhoñ ne mirā dil le ke mire haath se khoyā

use kyun hum ne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki

jise chiDh mehr-o-wafa ki jise aata nahin aana gham-o-hasrat ka miTana jo sitam mein hai yagana

jise kahta hai zamana but-e-be-mahr-o-dagha-baz jafa-pesha fusun-saz sitam-KHana-bar-andaz

ghazab jis ka har ek naz nazar fitna mizha tir bala zulf-e-girah-gir gham-o-ranj ka bani qalaq-o-dard

ka mujib sitam-o-jaur ka ustad jafa-kari mein mahir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai

dilbar jise aati nahin ulfat jo samajhta nahin chahat jo tasalli ko na samjhe jo tashaffi ko na

jaane jo kare qaul na pura kare har kaam adhura yahi din-raat tasawwur hai ki nahaq

use chaha jo na aae na bulae na kabhi pas biThae na ruKH-e-saf dikhae na koi

baat sunae na lagi dil ki bujhae na kali dil ki khilae na gham-o-ranj ghaTae na rah-o-rasm

baDhae jo kaho kuchh to KHafa ho kahe shikwe ki zarurat jo yahi hai to na chaho jo na

chahoge to kya hai na nibahoge to kya hai bahut itrao na dil de ke ye kis kaam ka dil

hai gham-o-andoh ka mara abhi chahun to main rakh dun ise talwon se masal kar abhi munh

dekhte rah jao ki hain un ko hua kya ki inhon ne mera dil le ke mere hath se khoya

mire gunāh ziyāda haiñ tirī rahmat

karīm batā de hisāb kar ke mujhe

whether my sins are greater of your mercy pray?

My lord take account and tell me this today

mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat

karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe

whether my sins are greater of your mercy pray?

My lord take account and tell me this today

na kisī aañkh nuur huuñ na kisī ke dil qarār huuñ

jo kisī ke kaam na aa sake maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ

I'm not the light of any eye, for me none has a care

no use to anyone am I, dust merely scattered there

na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun

jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun

I'm not the light of any eye, for me none has a care

no use to anyone am I, dust merely scattered there

asīr-e-panja-e-ahd-e-shabāb kar ke mujhe

kahāñ gayā mirā bachpan ḳharāb kar ke mujhe

asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe

kahan gaya mera bachpan KHarab kar ke mujhe

yaad karnā ham ko yaad rahā

bhuul jaanā bhī tum nahīñ bhūle

yaad karna hi hum ko yaad raha

bhul jaana bhi tum nahin bhule

vo gale se lipaT ke sote haiñ

āj-kal garmiyāñ haiñ jāḌoñ meñ

wo gale se lipaT ke sote hain

aaj-kal garmiyan hain jaDon mein

burā huuñ maiñ jo kisī burā.iyoñ meñ nahīñ

bhale ho tum jo kisī bhalā nahīñ karte

bura hun main jo kisi ki buraiyon mein nahin

bhale ho tum jo kisi ka bhala nahin karte

laḌā.ī hai to achchhā rāt-bhar yuuñ basar kar lo

ham apnā muñh idhar kar leñ tum apnā muñh udhar kar lo

laDai hai to achchha raat-bhar yun hi basar kar lo

hum apna munh idhar kar len tum apna munh udhar kar lo

bose apne āriz-e-gulfām ke

mujhe de de tire kis kaam ke

bose apne aariz-e-gulfam ke

la mujhe de de tere kis kaam ke

ik ham haiñ ki ham ne tumheñ ma.ashūq banāyā

ik tum ho ki tum ne hameñ rakkhā na kahīñ

ek hum hain ki hum ne tumhein mashuq banaya

ek tum ho ki tum ne hamein rakkha na kahin ka

vaqt ārām nahīñ miltā

kaam bhī kaam nahīñ miltā

waqt aaram ka nahin milta

kaam bhi kaam ka nahin milta

jiye jaate haiñ pastī meñ tire saare jahāñ vaale

kabhī nīche bhī nazreñ Daal ūñche āsmāñ vaale

jiye jate hain pasti mein tere sare jahan wale

kabhi niche bhi nazren Dal unche aasman wale

agar taqdīr sīdhī hai to ḳhud ho jāoge sīdhe

ḳhafā baiThe raho tum ko manāne kaun aatā hai

agar taqdir sidhi hai to KHud ho jaoge sidhe

KHafa baiThe raho tum ko manane kaun aata hai

hamāre ek dil ko un do zulfoñ ne gherā hai

ye kahtī hai ki merā hai vo kahtī hai ki merā hai

hamare ek dil ko un ki do zulfon ne ghera hai

ye kahti hai ki mera hai wo kahti hai ki mera hai

un ko aatī thī niiñd aur mujh ko

apnā qissa tamām karnā thā

un ko aati thi nind aur mujh ko

apna qissa tamam karna tha

umr sab zauq-e-tamāshā meñ guzārī lekin

aaj tak ye na khulā kis ke talabgār haiñ ham

umr sab zauq-e-tamasha mein guzari lekin

aaj tak ye na khula kis ke talabgar hain hum

mad.hosh rahā maiñ jahān-e-ḳharāb meñ

gūñdhī ga.ī thī kyā mirī miTTī sharāb meñ

madhosh hi raha main jahan-e-KHarab mein

gundhi gai thi kya meri miTTi sharab mein

un ik patlā ḳhanjar un ik nāzuk haath

vo to ye kahiye mirī gardan ḳhushī meñ kaT ga.ī

un ka ek patla sa KHanjar un ka ek nazuk sa hath

wo to ye kahiye meri gardan KHushi mein kaT gai

āñkheñ na churāo dil meñ rah kar

chorī na karo ḳhudā ke ghar meñ

aankhen na churao dil mein rah kar

chori na karo KHuda ke ghar mein

haal us ne hamārā pūchhā hai

pūchhnā ab hamāre haal kyā

haal us ne hamara puchha hai

puchhna ab hamare haal ka kya

aa.ina dekh kar ġhurūr fuzūl

baat vo kar jo dūsrā na kare

aaina dekh kar ghurur fuzul

baat wo kar jo dusra na kare

mire dil ne jhaTke uThā.e haiñ kitne ye tum apnī zulfoñ ke bāloñ se pūchho

kaleje choToñ ko maiñ kyā batā.ūñ ye chhātī pe lahrāne vāloñ se pūchho

mere dil ne jhaTke uThae hain kitne ye tum apni zulfon ke baalon se puchho

kaleje ki choTon ko main kya bataun ye chhati pe lahrane walon se puchho

tum agar chāho to miTTī se abhī paidā hoñ phuul

maiñ agar māñgūñ to dariyā bhī na de paanī mujhe

tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul

main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe

zulf ko kyuuñ jakaḌ ke bāñdhā hai

us ne bosa liyā thā gaal kyā

zulf ko kyun jakaD ke bandha hai

us ne bosa liya tha gal ka kya

jaan denā nahīñ kise manzūr

kisī kaam se to aa.egā

jaan dena nahin kise manzur

tu kisi kaam se to aaega

vo paas aane na paa.e ki aa.ī maut niiñd

nasīb so ga.e masrūf-e-ḳhvāb kar ke mujhe

wo pas aane na pae ki aai maut ki nind

nasib so gae masruf-e-KHwab kar ke mujhe

sub.h tak kaun jiyegā shab-e-tanhā.ī meñ

dil-e-nādāñ tujhe ummīd-e-sahar hai bhī to kyā

subh tak kaun jiyega shab-e-tanhai mein

dil-e-nadan tujhe ummid-e-sahar hai bhi to kya

ek ham haiñ ki jahāñ jaa.eñ bure kahlā.eñ

ek vo haiñ ki jahāñ jaa.eñ vahīñ achchhe haiñ

ek hum hain ki jahan jaen bure kahlaen

ek wo hain ki jahan jaen wahin achchhe hain

jo pūchhā muñh dikhāne aap kab chilman se nikleñge

to bole aap jis din hashr meñ madfan se nikleñge

jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge

to bole aap jis din hashr mein madfan se niklenge

mohabbat meñ kisī ne sar paTakne sabab pūchhā

to kah dūñgā ki apnī mushkileñ āsān kartā huuñ

mohabbat mein kisi ne sar paTakne ka sabab puchha

to kah dunga ki apni mushkilen aasan karta hun

kyā asar ḳhaak thā majnūñ ke phaTe kapḌoñ meñ

ek TukḌā bhī to lailā garebāñ na huā

kya asar KHak tha majnun ke phaTe kapDon mein

ek TukDa bhi to laila ka gareban na hua

baazū pe rakh ke sar jo vo kal raat so gayā

ārām ye milā ki mirā haat so gayā

bazu pe rakh ke sar jo wo kal raat so gaya

aaram ye mila ki mera hat so gaya

aisī qismat kahāñ ki jaam aatā

bū-e-mai bhī idhar nahīñ aa.ī

That I would get a goblet it was'nt my fate

now even the whiff of wine does'nt permeate

aisi qismat kahan ki jam aata

bu-e-mai bhi idhar nahin aai

That I would get a goblet it was'nt my fate

now even the whiff of wine does'nt permeate

mere ashkoñ ravānī ko ravānī to kaho

ḳhair tum ḳhuun na samjho ise paanī to kaho

mere ashkon ki rawani ko rawani to kaho

KHair tum KHun na samjho ise pani to kaho

ham se achchhā nahīñ milne agar tum chāho

tum se achchhe abhī milte haiñ agar ham chāheñ

hum se achchha nahin milne ka agar tum chaho

tum se achchhe abhi milte hain agar hum chahen

uThe uTh kar chale chal kar thame tham kar kahā hogā

maiñ kyuuñ jā.ūñ bahut haiñ un hālat dekhne vaale

uThe uTh kar chale chal kar thame tham kar kaha hoga

main kyun jaun bahut hain un ki haalat dekhne wale

terī rahmat naam sun sun kar

mubtalā ho gayā gunāhoñ meñ

teri rahmat ka nam sun sun kar

mubtala ho gaya gunahon mein

ai ishq kahīñ le chal ye dair-o-haram chhūTeñ

in donoñ makānoñ meñ jhagḌā nazar aatā hai

ai ishq kahin le chal ye dair-o-haram chhuTen

in donon makanon mein jhagDa nazar aata hai

hāl-e-dil aġhyār se kahnā paḌā

gul qissa ḳhaar se kahnā paḌā

haal-e-dil aghyar se kahna paDa

gul ka qissa KHar se kahna paDa

dam-e-ḳhvāb-e-rāhat bulāyā unhoñ ne to dard-e-nihāñ kahānī kahūñgā

mirā haal likhne ke qābil nahīñ hai agar mil ga.e to zabānī kahūñgā

dam-e-KHwab-e-rahat bulaya unhon ne to dard-e-nihan ki kahani kahunga

mera haal likhne ke qabil nahin hai agar mil gae to zabani kahunga

merā rañg ruup bigaḌ gayā mirā yaar mujh se bichhaḌ gayā

jo chaman ḳhizāñ se ujaḌ gayā maiñ usī fasl-e-bahār huuñ

mera rang rup bigaD gaya mera yar mujh se bichhaD gaya

jo chaman KHizan se ujaD gaya main usi ki fasl-e-bahaar hun

maiñ masīhā use samajhtā huuñ

jo mire dard davā na kare

main masiha use samajhta hun

jo mere dard ki dawa na kare

ai buto rañj ke sāthī ho na ārām ke tum

kaam jab nahīñ aate ho to kis kaam ke tum

ai buto ranj ke sathi ho na aaram ke tum

kaam hi jab nahin aate ho to kis kaam ke tum

sunoge haal jo merā to daad kyā doge

yahī kahoge ki jhūTā hai zamāne

sunoge haal jo mera to dad kya doge

yahi kahoge ki jhuTa hai tu zamane ka

adū ko chhoḌ do phir jaan bhī māñgo to hāzir hai

tum aisā kar nahīñ sakte to aisā ho nahīñ saktā

adu ko chhoD do phir jaan bhi mango to hazir hai

tum aisa kar nahin sakte to aisa ho nahin sakta

vo shāyad ham se ab tark-e-ta.alluq karne vaale haiñ

hamāre dil pe kuchh afsurdagī chhā.ī jaatī hai

wo shayad hum se ab tark-e-talluq karne wale hain

hamare dil pe kuchh afsurdagi si chhai jati hai

zāhid to baḳhshe jaa.eñ gunahgār muñh takeñ

ai rahmat-e-ḳhudā tujhe aisā na chāhiye

zahid to baKHshe jaen gunahgar munh taken

ai rahmat-e-KHuda tujhe aisa na chahiye

Recitation

Speak Now