Sher on New Year
The arrival of a new year is a cause for celebration. It marks the end of one journey and the beginning of another. This is, however, a momentary pleasure and keeps us oblivious of the times that may not be as welcome as this one. These verses bring the pleasures that the New Year brings to us along with new promises.
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamane mere
-
Tags: New Yearand 1 more
ik saal gayā ik saal nayā hai aane ko
par vaqt kā ab bhī hosh nahīñ dīvāne ko
ek sal gaya ek sal naya hai aane ko
par waqt ka ab bhi hosh nahin diwane ko
na shab o roz hī badle haiñ na haal achchhā hai
kis barhaman ne kahā thā ki ye saal achchhā hai
na shab o roz hi badle hain na haal achchha hai
kis barhaman ne kaha tha ki ye sal achchha hai
kisī ko sāl-e-nau kī kyā mubārakbād dī jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltā hai
kisi ko sal-e-nau ki kya mubarakbaad di jae
calender ke badalne se muqaddar kab badalta hai
yakum january hai nayā saal hai
december meñ pūchhūñgā kyā haal hai
yakum january hai naya sal hai
december mein puchhunga kya haal hai
kuchh ḳhushiyāñ kuchh aañsū de kar Taal gayā
jīvan kā ik aur sunahrā saal gayā
kuchh KHushiyan kuchh aansu de kar Tal gaya
jiwan ka ek aur sunahra sal gaya
na koī rañj kā lamha kisī ke paas aa.e
ḳhudā kare ki nayā saal sab ko raas aa.e
na koi ranj ka lamha kisi ke pas aae
KHuda kare ki naya sal sab ko ras aae
dekhiye paate haiñ ushshāq butoñ se kyā faiz
ik barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faiz
ek barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
phir na.e saal kī sarhad pe khaḌe haiñ ham log
raakh ho jā.egā ye saal bhī hairat kaisī
phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log
rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi
ik ajnabī ke haath meñ de kar hamārā haath
lo saath chhoḌne lagā āḳhir ye saal bhī
ek ajnabi ke hath mein de kar hamara hath
lo sath chhoDne laga aaKHir ye sal bhi
ek baras aur biit gayā
kab tak ḳhaak uḌānī hai
ek baras aur bit gaya
kab tak KHak uDani hai
-
Tags: Birthdayand 1 more
purāne saal kī ThiThurī huī parchhā.iyāñ simTīñ
na.e din kā nayā sūraj ufuq par uThtā aatā hai
purane sal ki ThiThuri hui parchhaiyan simTin
nae din ka naya suraj ufuq par uThta aata hai
ye kis ne phone pe dī sāl-e-nau kī tahniyat mujh ko
tamannā raqs kartī hai taḳhayyul gungunātā hai
ye kis ne phone pe di sal-e-nau ki tahniyat mujh ko
tamanna raqs karti hai taKHayyul gungunata hai
na.e saal meñ pichhlī nafrat bhulā deñ
chalo apnī duniyā ko jannat banā deñ
nae sal mein pichhli nafrat bhula den
chalo apni duniya ko jannat bana den
ye saal bhī udāsiyāñ de kar chalā gayā
tum se mile baġhair december chalā gayā
ye sal bhi udasiyan de kar chala gaya
tum se mile baghair december chala gaya
irāda thā jī lūñgā tujh se bichhaḌ kar
guzartā nahīñ ik december akele
irada tha ji lunga tujh se bichhaD kar
guzarta nahin ek december akele
phir aa gayā hai ek nayā saal dosto
is baar bhī kisī se december nahīñ rukā
phir aa gaya hai ek naya sal dosto
is bar bhi kisi se december nahin ruka
safar kā ek nayā silsila banānā hai
ab āsmān talak rāsta banānā hai
safar ka ek naya silsila banana hai
ab aasman talak rasta banana hai
dulhan banī huī haiñ rāheñ
jashn manāo sāl-e-nau ke
dulhan bani hui hain rahen
jashn manao sal-e-nau ke
nayā saal dīvār par Taañg de
purāne baras kā calendar girā
naya sal diwar par Tang de
purane baras ka calendar gira
ab ke baar mil ke yuuñ sāl-e-nau manāeñge
ranjisheñ bhulā kar ham nafrateñ miTā.eñge
ab ke bar mil ke yun sal-e-nau manaenge
ranjishen bhula kar hum nafraten miTaenge
december kī shab-e-āḳhir na pūchho kis tarah guzrī
yahī lagtā thā har dam vo hameñ kuchh phuul bhejegā
december ki shab-e-aKHir na puchho kis tarah guzri
yahi lagta tha har dam wo hamein kuchh phul bhejega
mubārak mubārak nayā saal aayā
ḳhushī kā samāñ saarī duniyā pe chhāyā
mubarak mubarak naya sal aaya
KHushi ka saman sari duniya pe chhaya
har december isī vahshat meñ guzārā ki kahīñ
phir se āñkhoñ meñ tire ḳhvāb na aane lag jaa.eñ
har december isi wahshat mein guzara ki kahin
phir se aankhon mein tere KHwab na aane lag jaen
palaT sī ga.ī hai zamāne kī kaayā
nayā saal aayā nayā saal aayā
palaT si gai hai zamane ki kaya
naya sal aaya naya sal aaya
nayā saal aayā hai ḳhushiyāñ manāo
na.e āsmānoñ se āñkheñ milāo
naya sal aaya hai KHushiyan manao
nae aasmanon se aankhen milao
sāl-e-nau aatā hai to mahfūz kar letā huuñ maiñ
kuchh purāne se calender zehn kī dīvār par
sal-e-nau aata hai to mahfuz kar leta hun main
kuchh purane se calender zehn ki diwar par
is na.e saal ke svāgat ke liye pahle se
ham ne poshāk udāsī kī silā ke rakh lī
is nae sal ke swagat ke liye pahle se
hum ne poshak udasi ki sila ke rakh li
ai jaate baras tujh ko sauñpā ḳhudā ko
mubārak mubārak nayā saal sab ko
ai jate baras tujh ko saunpa KHuda ko
mubarak mubarak naya sal sab ko
ye ek lamha jise ham nayā samajhte haiñ
ḳhudā kare ki na.e mausamoñ ke saath aa.e
ye ek lamha jise hum naya samajhte hain
KHuda kare ki nae mausamon ke sath aae
ham lakīreñ kured kar dekheñ
rañg lā.egā kyā ye saal nayā
hum lakiren kured kar dekhen
rang laega kya ye sal naya
mirā haath dekh barahmana mirā yaar mujh ko milegā kab
tire muñh se nikle ḳhudā kare is saal meñ isī maah meñ
mera hath dekh barahmana mera yar mujh ko milega kab
tere munh se nikle KHuda kare is sal mein isi mah mein
bahār-e-husn ye do din kī chāñdnī hai huzūr
jo baat ab kī baras hai vo paar saal nahīñ
bahaar-e-husn ye do din ki chandni hai huzur
jo baat ab ki baras hai wo par sal nahin