aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

1769 - 1851 | Delhi, India

Sher of Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

2.9K
Favorite

SORT BY

namāz apnī agarche kabhī qazā na huī

adā kisī jo dekhī to phir adā na huī

namaz apni agarche kabhi qaza na hui

ada kisi ki jo dekhi to phir ada na hui

gale se lagte jitne gile the bhuul ga.e

vagarna yaad thiiñ ham ko shikāyateñ kyā kyā

gale se lagte hi jitne gile the bhul gae

wagarna yaad thin hum ko shikayaten kya kya

aag is dil-lagī ko lag jaa.e

dil-lagī aag phir lagāne lagī

aag is dil-lagi ko lag jae

dil-lagi aag phir lagane lagi

yaarā hai kahāñ itnā ki us yaar ko yaaro

maiñ ye kahūñ ai yaar hai yaar hamārā

yara hai kahan itna ki us yar ko yaro

main ye kahun ai yar hai tu yar hamara

ba-vaqt-e-bosa-e-lab kaash ye dil kāmrāñ hotā

zabāñ us bad-zabāñ muñh meñ aur maiñ zabāñ hotā

ba-waqt-e-bosa-e-lab kash ye dil kaamran hota

zaban us bad-zaban ki munh mein aur main zaban hota

yaad to haq tujhe yaad hai par yaad rahe

yaar dushvār hai vo yaad jo hai yaad haq

yaad to haq ki tujhe yaad hai par yaad rahe

yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq

dil-rubā tujh jo dil lene meñ ayyārī kare

phir koī dillī meñ kyā dil ḳhabardārī kare

dil-ruba tujh sa jo dil lene mein ayyari kare

phir koi dilli mein kya dil ki KHabardari kare

kaun saanī shahr meñ is mere mah-pāre hai

chāñd sūrat dupaTTa sar pe yak-tāre hai

kaun sani shahr mein is mere mah-pare ka hai

chand si surat dupaTTa sar pe yak-tare ka hai

kis ko us ġham ho jis dam ġham se vo zaarī kare

haañ magar terā ġham āshiq ġham-ḳhvārī kare

kis ko us ka gham ho jis dam gham se wo zari kare

han magar tera hi gham aashiq ki gham-KHwari kare

dil meñ tum ho na jalāo mire dil ko dekho

merā nuqsān nahīñ apnā ziyāñ kījiyegā

dil mein tum ho na jalao mere dil ko dekho

mera nuqsan nahin apna ziyan kijiyega

jāñ-kanī pesha ho jis vo lahak hai terā

tujh pe shīrīñ hai na 'ḳhusrav' na farhād haq

jaan-kani pesha ho jis ka wo lahak hai tera

tujh pe shirin hai na 'KHusraw' ka na farhad ka haq

chashm-e-mast us yaad aane lagī

phir zabāñ merī laḌkhaḌāne lagī

chashm-e-mast us ki yaad aane lagi

phir zaban meri laDkhaDane lagi

shab piye vo sharāb niklā hai

raat ko āftāb niklā hai

shab piye wo sharab nikla hai

raat ko aaftab nikla hai

ek bose se murād-e-dil-e-nāshād to do

kuchh na do haath se par muñh se mirī daad to do

ek bose se murad-e-dil-e-nashad to do

kuchh na do hath se par munh se meri dad to do

kuchh tumheñ tars-e-ḳhudā bhī hai ḳhudā vāste

le chalo mujh ko musalmāno usī kāfir ke paas

kuchh tumhein tars-e-KHuda bhi hai KHuda ki waste

le chalo mujh ko musalmano usi kafir ke pas

kyuuñ na ruk ruk ke aa.e dam merā

tujh ko dekhā rukā rukā maiñ ne

kyun na ruk ruk ke aae dam mera

tujh ko dekha ruka ruka main ne

jo pūchhā maiñ ne dil zulfoñ meñ juuḌe meñ kahāñ bāñdhā

kahā jab chor thā apnā jahāñ bāñdhā vahāñ bāñdhā

jo puchha main ne dil zulfon mein juDe mein kahan bandha

kaha jab chor tha apna jahan bandha wahan bandha

gar hai duniyā talab zāhid-e-makkār se mil

diiñ hai matlūb to is tālib-e-dīdār se mil

gar hai duniya ki talab zahid-e-makkar se mil

din hai matlub to is talib-e-didar se mil

maze baat to ye hai ki be-mazā hai vo dil

tumhārī be-mazagī jise maza lage

maze ki baat to ye hai ki be-maza hai wo dil

tumhaari be-mazagi ka jise maza na lage

bahut se ḳhūn-ḳharābe macheñge ḳhāna-ḳharāb

yahī hai rañg agar tere paan khāne

bahut se KHun-KHarabe machenge KHana-KHarab

yahi hai rang agar tere pan khane ka

chain is dil ko na ik aan tire bin aayā

din gayā raat huī raat huī din aayā

chain is dil ko na ek aan tere bin aaya

din gaya raat hui raat hui din aaya

kyuuñ rotā hai dilā aane de roz-e-vasl ko

is qadar chheḌūñgā un ko vo bhī ro kar jā.eñge

kyun tu rota hai dila aane de roz-e-wasl ko

is qadar chheDunga un ko wo bhi ro kar jaenge

Dar apne piir se piir piir piir na kar

ki tere piir ke va.ade ne mujh ko piir kiyā

Dar apne pir se bi pir pir pir na kar

ki tere pir ke wade ne mujh ko pir kiya

kyūñkar na mai piyūñ maiñ qur.āñ ko dekh zāhid

vahāñ vashrabū hai aayā lā-tashrabū na aayā

kyunkar na mai piyun main quran ko dekh zahid

wahan washrabu hai aaya la-tashrabu na aaya

itvār ko aanā tirā mālūm ki ik umr

be-pīr tire ham ne atvār ko dekhā

itwar ko aana tera malum ki ek umr

be-pir tere hum ne hi atwar ko dekha

āñkheñ mirī phūTeñ tirī āñkhoñ ke baġhair aah

gar maiñ ne kabhī nargis-e-bīmār ko dekhā

aankhen meri phuTen teri aankhon ke baghair aah

gar main ne kabhi nargis-e-bimar ko dekha

palkoñ se gire hai ashk Tap Tap

paT se vo lagā huā khaḌā hai

palkon se gire hai ashk Tap Tap

paT se wo laga hua khaDa hai

agar baiThā nāseh muñh ko baiTh

vagarna yaañ se uTh ai be-hayā

agar baiTha hi naseh munh ko si baiTh

wagarna yan se uTh ai be-haya ja

tanḳhvāh ek bosa hai tis par ye hujjateñ

hai nā-dahind aap sarkār be-tarah

tanKHwah ek bosa hai tis par ye hujjaten

hai na-dahind aap ki sarkar be-tarah

nasīb us ke sharāb-e-bahisht hove mudām

huā hai jo koī mūjid sharāb-ḳhāne

nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam

hua hai jo koi mujid sharab-KHane ka

na paayā gaah qaabū aah maiñ ne haath jab Daalā

nikālā bair mujh se jab tire pistāñ muñh kaalā

na paya gah qabu aah main ne hath jab Dala

nikala bair mujh se jab tere pistan ka munh kala

apnī nā-fahmī se maiñ aur na kuchh kar baiThūñ

is tarah se tumheñ jaa.ez nahīñ e.ajāz se ramz

apni na-fahmi se main aur na kuchh kar baiThun

is tarah se tumhein jaez nahin eajaz se ramz

anār-e-ḳhuld ko rakh ki maiñ pasand nahīñ

kucheñ vo yaar rashk-e-anār ai vaa.iz

anar-e-KHuld ko tu rakh ki main pasand nahin

kuchen wo yar ki rashk-e-anar ai waiz

mirī bāt-chīt us se 'ehsāñ' kahāñ hai

na us dahāñ hai na merī zabāñ hai

meri baat-chit us se 'ehsan' kahan hai

na us ka dahan hai na meri zaban hai

garebāñ chaak hai hāthoñ meñ zālim terā dāmāñ hai

ki is dāman talak manzil-e-chāk-e-garebāñ hai

gareban chaak hai hathon mein zalim tera daman hai

ki is daman talak hi manzil-e-chaak-e-gareban hai

mai-kade meñ ishq ke kuchh sarsarī jaanā nahīñ

kāsa-e-sar ko yahāñ gardish hai paimāne tarah

mai-kade mein ishq ke kuchh sarsari jaana nahin

kasa-e-sar ko yahan gardish hai paimane ki tarah

ulfat meñ terā ronā 'ehsāñ' bahut bajā hai

har vaqt meñh honā ye rahmat-e-ḳhudā hai

ulfat mein tera rona 'ehsan' bahut baja hai

har waqt meinh ka hona ye rahmat-e-KHuda hai

vo aag lagī paan chabā.e se kasū

ab tak nahīñ bujhtī hai bujhā.e se kasū

wo aag lagi pan chabae se kasu ki

ab tak nahin bujhti hai bujhae se kasu ki

filfil-e-ḳhāl-e-malāhat ke tasavvur meñ tire

charcharāhaT hai kabāb-e-dil-e-biryān meñ kyā

filfil-e-KHal-e-malahat ke tasawwur mein tere

charcharahaT hai kabab-e-dil-e-biryan mein kya

na merī baat ko pūchhe hai na dekhe hai idhar

ek din ye na kiyā āshiq-e-bīmār ki

na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar

ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu

tirī aan pe ġhash huuñ har aan zālim

ik aan lekin na yaañ aan niklā

teri aan pe ghash hun har aan zalim

tu ek aan lekin na yan aan nikla

ḳhaak āb-e-girya se ātish bujhe nā-chār ham

jānib-e-kū-e-butāñ juuñ bād-e-sarsar jā.eñge

KHak aab-e-girya se aatish bujhe na-chaar hum

jaanib-e-ku-e-butan jun baad-e-sarsar jaenge

mohtasib bhī ke mai loTe hai maiḳhāne meñ aaj

haath pīr-e-muġhāñ ye lauTne jaa.e hai

mohtasib bhi pi ke mai loTe hai maiKHane mein aaj

hath la pir-e-mughan ye lauTne ki jae hai

to bhī us tak hai rasā.ī mujhe ehsāñ dushvār

daam luuñ gar par-e-jibrīl barā-e-parvāz

to bhi us tak hai rasai mujhe ehsan dushwar

dam lun gar par-e-jibril bara-e-parwaz

ġhuncha ko maiñ ne chūmā laayā dahan ko aage

bosa na mujh ko deve vo nukta-yāb kyūñkar

ghuncha ko main ne chuma laya dahan ko aage

bosa na mujh ko dewe wo nukta-yab kyunkar

us lab-e-bām se ai sarsar-e-furqat batā

misl tinke ke mirā ye tan-e-lāġhar pheñkā

us lab-e-baam se ai sarsar-e-furqat tu bata

misl tinke ke mera ye tan-e-laghar phenka

āh-e-pechāñ apnī aisī hai ki jis ke pech ko

pechvāñ nīchā bhī terā dekh kar ḳham khaa.e hai

aah-e-pechan apni aisi hai ki jis ke pech ko

pechwan nicha bhi tera dekh kar KHam khae hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now