Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ain Tabish's Photo'

Ain Tabish

1958 | Gaya, India

Well-known contemporary poet

Well-known contemporary poet

Sher of Ain Tabish

868
Favorite

SORT BY

isī qadar hai hayāt o ajal ke biich farq

ye ek dhuup dariyā vo ik kināra-e-shām

isi qadar hai hayat o ajal ke bich ka farq

ye ek dhup ka dariya wo ek kinara-e-sham

aaj bhī us ke mire biich hai duniyā haa.il

aaj bhī us ke mire biich mushkil hai vahī

aaj bhi us ke mere bich hai duniya hail

aaj bhi us ke mere bich ki mushkil hai wahi

har aise-vaise se qufl-e-qafas nahīñ khultā

is imtihāñ ke liye kuchh haqīr hote haiñ

har aise-waise se qufl-e-qafas nahin khulta

is imtihan ke liye kuchh haqir hote hain

jahāñ na apne azīzoñ diid hotī hai

zamīn-e-hijr pe bhī koī iid hotī hai

jahan na apne azizon ki did hoti hai

zamin-e-hijr pe bhi koi id hoti hai

ek ḳhushbū thī jo malbūs pe tābinda thī

ek mausam thā mire sar pe jo tūfānī thā

ek KHushbu thi jo malbus pe tabinda thi

ek mausam tha mere sar pe jo tufani tha

ik zarā chain bhī lete nahīñ 'tābish'-sāhab

mulk-e-ġham se na.e farmān nikal aate haiñ

ek zara chain bhi lete nahin 'tabish'-sahab

mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain

ek bastī thī huī vaqt ke andoh meñ gum

chāhne vaale bahut apne purāne the udhar

ek basti thi hui waqt ke andoh mein gum

chahne wale bahut apne purane the udhar

be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aa.e

dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paa.e

be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae

dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na pae

jo is duniyā ḳhātir apnā-āp gañvātā hai

ai dil-e-man ai mere musāfir kaam hai ye nā-dānoñ

tu jo is duniya ki KHatir apna-ap ganwata hai

ai dil-e-man ai mere musafir kaam hai ye na-danon ka

maiñ apnā kār-e-vafā āzmā.ūñgā phir bhī

kahāñ maiñ tere sitam yaad karne vaalā huuñ

main apna kar-e-wafa aazmaunga phir bhi

kahan main tere sitam yaad karne wala hun

maiñ us ghaḌī apne aap sāmnā bhī karne se bhāgtā huuñ

vo ziina ziina utarne vaalī shabīh jab mujh meñ jāgtī hai

main us ghaDi apne aap ka samna bhi karne se bhagta hun

wo zina zina utarne wali shabih jab mujh mein jagti hai

roz ik marg aalam bhī guzartā hai yahāñ

roz jiine ke bhī sāmān nikal aate haiñ

roz ek marg ka aalam bhi guzarta hai yahan

roz jine ke bhi saman nikal aate hain

lagā rakkhā hai yuuñ ta.abīr ke auhām se

zindagī kyā hai miyāñ bas ek ghar ḳhvāboñ hai

ji laga rakkha hai yun tabir ke auham se

zindagi kya hai miyan bas ek ghar KHwabon ka hai

hai ek lamha jo kahīñ vasl kahīñ hijr

taklīf kisī ke liye ārām kisī

hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr

taklif kisi ke liye aaram kisi ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now