Sher of Akhlaq Ahmad Ahan
ye kaisī jagah hai ki dil kho rahā hai
bayābāñ hai sahrā hai gulshan hai kyā hai
ye kaisi jagah hai ki dil kho raha hai
bayaban hai sahra hai gulshan hai kya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sitāroñ kī gardish diloñ kā bichhaḌnā
ye kaise ḳhudā kī hai kaisī ḳhudā.ī
sitaron ki gardish dilon ka bichhaDna
ye kaise KHuda ki hai kaisi KHudai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo jaadū adā.eñ adāoñ meñ jaadū
ye pahuñchā.eñ ham ko fanā se baqā tak
wo jadu adaen adaon mein jadu
ye pahunchaen hum ko fana se baqa tak
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāh-e-hayāt meñ na milī ek pal ḳhushī
ġham kā ye bojh dosh pe sāmān sā rahā
rah-e-hayat mein na mili ek pal KHushi
gham ka ye bojh dosh pe saman sa raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tire firāq meñ ham ne bahā.e ashk-e-jigar
ye sab ne chāhā magar aa.e to lahū aa.e
tere firaq mein hum ne bahae ashk-e-jigar
ye sab ne chaha magar aae to lahu aae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġham-e-vajūd kā mātam karūñ to kaise jiyūñ
magar ḳhudā tire dāman pe daaġh hai ki nahīñ
gham-e-wajud ka matam karun to kaise jiyun
magar KHuda tere daman pe dagh hai ki nahin
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rasm-e-duniyā ke salāsil meñ giraftārī hai
mat Thaharnā ki kahīñ phāñs javāñ-tar ho jaa.e
rasm-e-duniya ke salasil mein giraftari hai
mat Thaharna ki kahin phans jawan-tar ho jae
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
koī jaltā hai tamāshā ban ke us kī bazm meñ
maiñ ġharīb-e-shahr thā pinhāñ kā pinhāñ jal gayā
koi jalta hai tamasha ban ke us ki bazm mein
main gharib-e-shahr tha pinhan ka pinhan jal gaya
āstānoñ kī qadam-bosī meñ pinhāñ ḳhūn-e-sar
aur vufūr-e-shauq meñ ye sar ho ḳham kuchh aur hai
aastanon ki qadam-bosi mein pinhan KHun-e-sar
aur wufur-e-shauq mein ye sar ho KHam kuchh aur hai
saarī duniyā jaise nā-mardī ko oḌhe har taraf
bas tamāshā.ī khaḌī hai chashm-e-hairānī ke saath
sari duniya jaise na-mardi ko oDhe har taraf
bas tamashai khaDi hai chashm-e-hairani ke sath
agar zamīr hai tābūt-e-be-hisī meñ band
yazīd-e-shahr se bai'at meñ phir qabāhat kyā
agar zamir hai tabut-e-be-hisi mein band
yazid-e-shahr se bai'at mein phir qabahat kya
ai jamāl-e-be-badal lekin adā meñ be-ruḳhī
ho ga.iiñ sadiyāñ ki chashm-e-tishna terī muntazir
ai jamal-e-be-badal lekin ada mein be-ruKHi
ho gain sadiyan ki chashm-e-tishna teri muntazir
zāt-e-ḳhāKī kī tahoñ meñ ḳhufta haiñ anvā’-e-ḳhāk
rang-hā-e-tah-ba-tah kā pech-o-ḳham kuchh aur hai
zat-e-KHaKi ki tahon mein KHufta hain anwa’-e-KHak
rang-ha-e-tah-ba-tah ka pech-o-KHam kuchh aur hai
luTā ye kārvāñ kab kā na jaane kaun thī manzil
magar ahbāb ab bhī zo'm-e-chuġhtā.ī meñ jiite haiñ
luTa ye karwan kab ka na jaane kaun thi manzil
magar ahbab ab bhi zo'm-e-chughtai mein jite hain
ik mauj-e-ġham-gazīdgī se haiñ niDhāl sab
ā.īna-e-durust meñ sab hī sarāb-posh
ek mauj-e-gham-gazidgi se hain niDhaal sab
aaina-e-durust mein sab hi sarab-posh
rustam hai gar jo 'ishq meñ bin karr-o-far ke aa
tahmīna-e-butāñ ke yahāñ be sipar ke aa
rustam hai gar jo 'ishq mein bin karr-o-far ke aa
tahmina-e-butan ke yahan be sipar ke aa
hai kārvān-e-qudsī-e-harf-e-azal ravāñ
har jehl-o-zulm-o-zulmat-o-zer-o-zabar ke saath
hai karwan-e-qudsi-e-harf-e-azal rawan
har jehl-o-zulm-o-zulmat-o-zer-o-zabar ke sath
vahshat-e-duniyā-gazīda ab haiñ zāt-o-kā.enāt
sharh-e-nāla girya-e-ehsās-o-jāñ kaise karūñ
wahshat-e-duniya-gazida ab hain zat-o-kaenat
sharh-e-nala girya-e-ehsas-o-jaan kaise karun
sukūñ kahīñ bhī nahīñ bazm-e-kāmrānī meñ
masāfateñ nahīñ tai hotīñ lā-makānī meñ
sukun kahin bhi nahin bazm-e-kaamrani mein
masafaten nahin tai hotin la-makani mein
zo'm-e-tuqā hijāb-e-tazāhur nifāq kā
har jā raqam hai is meñ bhī izn o qum-e-daroġh
zo'm-e-tuqa hijab-e-tazahur nifaq ka
har ja raqam hai is mein bhi izn o qum-e-darogh
mafqūd hai firāsat-e-vijdāñ sagāñ meñ huuñ
ik hasrat-e-muravvat-e-kaj-dīdgāñ meñ huuñ
mafqud hai firasat-e-wijdan sagan mein hun
ek hasrat-e-murawwat-e-kaj-didgan mein hun
diloñ meñ nuur hai tarsīl-e-gosh-e-kar bhī ho
payām jaate nahīñ tarz-e-lan-tarānī meñ
dilon mein nur hai tarsil-e-gosh-e-kar bhi ho
payam jate nahin tarz-e-lan-tarani mein
terā jalva hai aaj tauba-shikan
aao shauq-e-hijāb rahne do
tera jalwa hai aaj tauba-shikan
aao shauq-e-hijab rahne do
pinhāñ haiñ sad-savāl pas-e-parda-e-hayā
dil de diyā javāb thā lekin rahe ḳhamosh
pinhan hain sad-sawal pas-e-parda-e-haya
dil de diya jawab tha lekin rahe KHamosh