Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Amanat Lakhnavi

1815 - 1858 | Lucknow, India

Famous for his musical play 'Inder Sabha', contemporary of the last Nawab of Avadh, wajid Ali Shah.

Famous for his musical play 'Inder Sabha', contemporary of the last Nawab of Avadh, wajid Ali Shah.

Sher of Amanat Lakhnavi

712
Favorite

SORT BY

kis tarah 'amānat' na rahūñ ġham se maiñ dil-gīr

āñkhoñ meñ phirā kartī hai ustād sūrat

kis tarah 'amanat' na rahun gham se main dil-gir

aankhon mein phira karti hai ustad ki surat

bosa āñkhoñ jo māñgā to vo hañs kar bole

dekh lo duur se khāne ke ye bādām nahīñ

bosa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole

dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin

chāhtā hai sāne-e-qudrat pe huuñ nisār

but ko biThā ke sāmne yād-e-ḳhudā karūñ

ji chahta hai sane-e-qudrat pe hun nisar

but ko biTha ke samne yaad-e-KHuda karun

ghar mire shab ko jo vo rashk-e-qamar aa niklā

ho ga.e partav-e-ruḳh se dar o dīvār safed

ghar mere shab ko jo wo rashk-e-qamar aa nikla

ho gae partaw-e-ruKH se dar o diwar safed

kis qadar dil se farāmosh kiyā āshiq ko

na kabhī aap ko bhūle se bhī maiñ yaad aayā

kis qadar dil se faramosh kiya aashiq ko

na kabhi aap ko bhule se bhi main yaad aaya

mahshar kiyā va.ada yaañ shakl na dikhlā.ī

iqrār ise kahte haiñ inkār ise kahte haiñ

mahshar ka kiya wada yan shakl na dikhlai

iqrar ise kahte hain inkar ise kahte hain

vahm vahm meñ apnī huī auqāt basar

kamar-e-yār ko bhūle to dahan yaad aayā

wahm hi wahm mein apni hui auqat basar

kamar-e-yar ko bhule to dahan yaad aaya

chuTkiyāñ dil meñ mire lene lagā nāḳhun-e-ishq

gul-badan dekh ke us gul badan yaad aayā

chuTkiyan dil mein mere lene laga naKHun-e-ishq

gul-badan dekh ke us gul ka badan yaad aaya

gaalī ke sivā haath bhī chaltā hai ab un

har roz na.ī hotī hai bedād sūrat

gali ke siwa hath bhi chalta hai ab un ka

har roz nai hoti hai bedad ki surat

hai lutf hasīnoñ do-rañgī 'amānat'

do chaar gulābī hoñ to do chaar basantī

hai lutf hasinon ki do-rangi ka 'amanat'

do chaar gulabi hon to do chaar basanti

dāman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk

ro.e firāq meñ to dil apnā bahal gayā

daman pe loTne lage gir gir ke tifl-e-ashk

roe firaq mein to dil apna bahal gaya

ravāñ davāñ nahīñ yaañ ashk chashm-e-tar tarah

girah meñ rakhte haiñ ham aabrū guhar tarah

rawan dawan nahin yan ashk chashm-e-tar ki tarah

girah mein rakhte hain hum aabru guhar ki tarah

sāñvle tan pe qabā hai jo tire bhārī hai

laala kahtā hai chaman meñ ki ye 'girdhārī' hai

sanwle tan pe qaba hai jo tere bhaari hai

lala kahta hai chaman mein ki ye 'girdhaari' hai

hañgām-e-vasl radd-o-badal mujh se hai abas

niklegā kuchh na kaam nahīñ aur haañ se aaj

hangam-e-wasl radd-o-badal mujh se hai abas

niklega kuchh na kaam nahin aur han se aaj

sarv ko dekh ke kahtā hai dil-e-basta-e-zulf

ham giraftār haiñ is baaġh meñ āzād haiñ sab

sarw ko dekh ke kahta hai dil-e-basta-e-zulf

hum giraftar hain is bagh mein aazad hain sab

Recitation

Speak Now