Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Amanullah Khalid's Photo'

Amanullah Khalid

A poet of social realities, showed respect with tradition

A poet of social realities, showed respect with tradition

Sher of Amanullah Khalid

un tamannā merī koshish bāham va.ade aur qasmeñ

kuchh merī taqdīr ke sadqe baaqī sab hālāt ke naam

un ki tamanna meri koshish baham wade aur qasmen

kuchh meri taqdir ke sadqe baqi sab haalat ke nam

maiñ tujhe bhuul na paayā to ye chāhat hai mirī

yaad rakkhā hai jo ne tirā ehsāñ jānāñ

main tujhe bhul na paya to ye chahat hai meri

yaad rakkha hai jo tu ne tera ehsan jaanan

vaqt tez havāoñ ne ajab moḌ liyā

phuul se haath jo the un meñ bhī patthar nikle

waqt ki tez hawaon ne ajab moD liya

phul se hath jo the un mein bhi patthar nikle

kitāb ziist meñ bāb-e-alam bhī ho mahfūz

siyāh-rāt manzar sahar meñ rakkhā jaa.e

kitab zist mein bab-e-alam bhi ho mahfuz

siyah-raat ka manzar sahar mein rakkha jae

dard aisā diyā ehsās-e-vafā ne ham ko

na davā ne shifā na duā ne ham ko

dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko

na dawa ne hi shifa di na dua ne hum ko

ruko to yuuñ ki Thahar jaa.e gardish-e-daurāñ

chalo to aise ki saare jahāñ ko saath liye

ruko to yun ki Thahar jae gardish-e-dauran

chalo to aise ki sare jahan ko sath liye

jise bhī dekho vahī ajnabī lagtā hai

tumhāre shahr meñ koī bhī āshnā na milā

jise bhi dekho wahi ajnabi sa lagta hai

tumhaare shahr mein koi bhi aashna na mila

maiñ thā ik aañkh na bhāoñ vo to ab bhī yaar haiñ tere

jin logoñ ne terā charchā bāzāroñ meñ aam kiyā

main hi tha ek aankh na bhaon wo to ab bhi yar hain tere

jin logon ne tera charcha bazaron mein aam kiya

har dar pe ik baañg lagāveñ bhalā karo bas bhalā karo

ek shikva ek naala sub.h kiyā aur shaam kiyā

har dar pe ek bang lagawen bhala karo bas bhala karo

ek hi shikwa ek hi nala subh kiya aur sham kiya

Recitation

Speak Now