Sher of Anees Ashfaq
is pe hairāñ haiñ ḳharīdār ki qīmat hai bahut
mere gauhar kī tab-o-tāb nahīñ dekhte haiñ
is pe hairan hain KHaridar ki qimat hai bahut
mere gauhar ki tab-o-tab nahin dekhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye ḳhāna hamesha se vīrān hai
kahāñ koī dil ke makāñ meñ rahā
ye KHana hamesha se viran hai
kahan koi dil ke makan mein raha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dekhā hai kisī āhū-e-ḳhush-chashm ko us ne
āñkhoñ meñ bahut us kī chamak aa.ī huī hai
dekha hai kisi aahu-e-KHush-chashm ko us ne
aankhon mein bahut us ki chamak aai hui hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ham tere āsmān meñ ai harf-e-e'tibār
uḌnā to chāhte haiñ magar par kahāñ se laa.eñ
hum tere aasman mein ai harf-e-e'tibar
uDna to chahte hain magar par kahan se laen
dastak pe ab gharoñ se koī boltā nahīñ
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagāñ na thā
dastak pe ab gharon se koi bolta nahin
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagan na tha
kyuuñ nahīñ hote munājātoñ ke ma.anī munkashif
ramz ban jaatā hai kyuuñ harf-e-duā ham se suno
kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif
ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno
-
Tag : Dua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na mere haath se chhuTnā hai mere neze ko
na tere tiir ko terī kamāñ meñ rahnā hai
na mere hath se chhuTna hai mere neze ko
na tere tir ko teri kaman mein rahna hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
us kī muTThī meñ javāhir the nazar merī taraf
aur mujhe pairāya-e-arz-e-hunar aatā na thā
us ki muTThi mein jawahir the nazar meri taraf
aur mujhe pairaya-e-arz-e-hunar aata na tha
jauhar baġhair qīmat-e-ā.īna kuchh nahīñ
ā.īna le bhī aa.eñ to jauhar kahāñ se laa.eñ
jauhar baghair qimat-e-aina kuchh nahin
aaina le bhi aaen to jauhar kahan se laen
har taraf gahrī siyāhī hai muhīt-e-'ishq meñ
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuāñ kitnā huā
har taraf gahri siyahi hai muhit-e-'ishq mein
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuan kitna hua
to kyā huā jo galā ye rasan meñ rahne lagā
maza to dāna-e-haq kā dahan meñ rahne lagā
to kya hua jo gala ye rasan mein rahne laga
maza to dana-e-haq ka dahan mein rahne laga
jo sā'at-e-numūd vahī vaqt-e-raft-o-būd
dariyā meñ kitnī der safar hai hubāb kā
jo sa'at-e-numud wahi waqt-e-raft-o-bud
dariya mein kitni der safar hai hubab ka