Sher of Anjum Barabankvi
mash.hūr bhī haiñ badnām bhī haiñ ḳhushiyoñ ke na.e paiġhām bhī haiñ
kuchh ġham ke baḌe in.aam bhī haiñ paḌhiye to kahānī kaam kī hai
mashhur bhi hain badnam bhi hain KHushiyon ke nae paigham bhi hain
kuchh gham ke baDe inam bhi hain paDhiye to kahani kaam ki hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye bādshāh nahīñ hai faqīr hai sūraj
hamesha raat kī jholī se din nikāltā hai
ye baadshah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikalta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis baat kā matlab ḳhushbū hai har gaañv ke kachche raste par
us baat kā matlab badlegā jab pakkī saḌak aa jā.egī
jis baat ka matlab KHushbu hai har ganw ke kachche raste par
us baat ka matlab badlega jab pakki saDak aa jaegi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo dostoñ kī mohabbat se jī nahīñ bhartā
to āstīn meñ do-chār saañp paal ke rakh
jo doston ki mohabbat se ji nahin bharta
to aastin mein do-chaar sanp pal ke rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhair to aañsū pochheñge
dhokā deñge apne log
ghair to aansu pochhenge
dhoka denge apne log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai āsmān harf ko phir e.atibār de
varna haqīqatoñ ko kahānī likheñge log
ai aasman harf ko phir eatibar de
warna haqiqaton ko kahani likhenge log
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mujhe sone kī qīmat mat batāo
maiñ miTTī huuñ mirī azmat bahut hai
mujhe sone ki qimat mat batao
main miTTi hun meri azmat bahut hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujhe to kitnī bahāreñ salām bhejeñgī
abhī ye phuul sā chehra zarā sambhāl ke rakh
tujhe to kitni bahaaren salam bhejengi
abhi ye phul sa chehra zara sambhaal ke rakh
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne sūraj kī tarah ḳhud ko banāyā jis din
dekhne ā.eñge ye maġhrib-o-mashriq mujh ko
main ne suraj ki tarah KHud ko banaya jis din
dekhne aaenge ye maghrib-o-mashriq mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ghar-bār chhoḌ kar vo faqīroñ se jā mile
chāhat ne bādshāhoñ ko mahkūm kar diyā
ghar-bar chhoD kar wo faqiron se ja mile
chahat ne baadshahon ko mahkum kar diya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zarā mahfūz rastoñ se guzarnā
tumhārī shahr meñ shohrat bahut hai
zara mahfuz raston se guzarna
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo saare din kī thakan oḌh kar maiñ sotā huuñ
to saarī raat mirā ghar safar meñ rahtā hai
jo sare din ki thakan oDh kar main sota hun
to sari raat mera ghar safar mein rahta hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shohrat kī raushnī ho ki nafrat kī tīrgī
kyā kyā use diyā hai ḳhudā ne patā karo
shohrat ki raushni ho ki nafrat ki tirgi
kya kya use diya hai KHuda ne pata karo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kitāb-e-ishq ke jo mo'atabar risāle haiñ
unhīñ meñ husn ke kuchh mustanad havāle haiñ
kitab-e-ishq ke jo mo'atabar risale hain
unhin mein husn ke kuchh mustanad hawale hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
me.arāj-e-aqīdat hai ki ta.avīz kī sūrat
baazū pe koī ḳhāk-e-vatan bāñdhe hue hai
mearaj-e-aqidat hai ki tawiz ki surat
bazu pe koi KHak-e-watan bandhe hue hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ aise dar kā gadā huuñ jahāñ pe motī kyā
hazār baar mujhe sañg āb-dār mile
main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya
hazar bar mujhe sang aab-dar mile
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tujh ko ḳhabar nahīñ hai magar ik tire baġhair
ye dil-pasand shahr bhī ḳhālī lagā mujhe
tujh ko KHabar nahin hai magar ek tere baghair
ye dil-pasand shahr bhi KHali laga mujhe