Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Arshad Jamal Sarim's Photo'

Arshad Jamal Sarim

Malegaon, India

Sher of Arshad Jamal Sarim

1.6K
Favorite

SORT BY

isī baa.is maiñ apnā nisf rakhtā huuñ añdhere meñ

mire atrāf bhī sūraj koī gardish meñ rahtā hai

isi bais main apna nisf rakhta hun andhere mein

mere atraf bhi suraj koi gardish mein rahta hai

dekh ai merī zabūñ-hālī pe hañsne vaale

vaqt dhuup ne kis darja nikhārā mujh ko

dekh ai meri zabun-haali pe hansne wale

waqt ki dhup ne kis darja nikhaara mujh ko

supurd-e-āb yuuñ to nahīñ kartā huuñ ḳhaak apnī

ajab miTTī ke ghulne mazā bārish meñ rahtā hai

supurd-e-ab yun hi to nahin karta hun KHak apni

ajab miTTi ke ghulne ka maza barish mein rahta hai

vo ik lamha sazā kaaTī ga.ī thī jis ḳhātir

vo lamha to abhī ham ne guzāra nahīñ thā

wo ek lamha saza kaTi gai thi jis ki KHatir

wo lamha to abhi hum ne guzara hi nahin tha

zindagī bhī hameñ vaise ik roz guzār

jis tarah ham tujhe barsoñ se guzāre hue haiñ

zindagi tu bhi hamein waise hi ek roz guzar

jis tarah hum tujhe barson se guzare hue hain

kis tanvīr se jal uTThe basīrat ke charāġh

kis tasvīr ye āñkhoñ se lagā.ī ga.ī hai

kis ki tanwir se jal uTThe basirat ke charagh

kis ki taswir ye aankhon se lagai gai hai

aisī be-chehragī chhā.ī huī hai shahr meñ

āp-apnā aks huuñ maiñ aap ā.īna huuñ maiñ

aisi hi be-chehragi chhai hui hai shahr mein

aap-apna aks hun main aap aaina hun main

bas itnā rabt kaafī hai mujhe ai bhūlne vaale

tirī soī huī āñkhoñ meñ akasr jāgtā huuñ maiñ

bas itna rabt kafi hai mujhe ai bhulne wale

teri soi hui aankhon mein akasr jagta hun main

har ek shāḳh pe vīrāniyāñ musallat haiñ

badan-daraḳht bhī goyā hai āshiyān-e-shab

har ek shaKH pe viraniyan musallat hain

badan-daraKHt bhi goya hai aashiyan-e-shab

ḳhatm hotā nahīñ silsila tanhā.ī

jaane kis darja masāfat meñ hai Dhālī ga.ī shab

KHatm hota hi nahin silsila tanhai ka

jaane kis darja masafat mein hai Dhaali gai shab

raqam karūñ bhī to kaise maiñ dāstān-e-vafā

hurūf phirte haiñ begāne mere kāġhaz se

raqam karun bhi to kaise main dastan-e-wafa

huruf phirte hain begane mere kaghaz se

mumkin hai yahī dil ke milāne sabab ho

ye rut jo hameñ haath milāne nahīñ detī

mumkin hai yahi dil ke milane ka sabab ho

ye rut jo hamein hath milane nahin deti

jaane kis rut meñ khileñge yahāñ ta.abīr ke phuul

sochtā rahtā huuñ ab ḳhvāb ugātā huā maiñ

jaane kis rut mein khilenge yahan tabir ke phul

sochta rahta hun ab KHwab ugata hua main

kyā kahūñ kitnā fuzūñ hai tere dīvāne dukh

ik taraf jaane ġham hai ik taraf aane dukh

kya kahun kitna fuzun hai tere diwane ka dukh

ek taraf jaane ka gham hai ek taraf aane ka dukh

na jaane us ne khule āsmāñ meñ kyā dekhā

parinda phir se jahān-e-qafas meñ lauT aayā

na jaane us ne khule aasman mein kya dekha

parinda phir se jahan-e-qafas mein lauT aaya

zindagī ham se tirī āñkh-micholī kab tak

ik na ik roz kisī moḌ pe aa leñge tujhe

zindagi hum se teri aankh-micholi kab tak

ek na ek roz kisi moD pe aa lenge tujhe

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now