Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Aziz Nabeel's Photo'

Aziz Nabeel

1976 | Qatar

Popular poet based in Qatar

Popular poet based in Qatar

Sher of Aziz Nabeel

8.8K
Favorite

SORT BY

phir na.e saal sarhad pe khaḌe haiñ ham log

raakh ho jā.egā ye saal bhī hairat kaisī

phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log

rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi

saare sapne bāñdh rakhe haiñ gaThrī meñ

ye gaThrī bhī auroñ meñ baT jā.egī

sare sapne bandh rakhe hain gaThri mein

ye gaThri bhi auron mein baT jaegi

vo ek raaz! jo muddat se raaz thā nahīñ

us ek raaz se parda uThā diyā gayā hai

wo ek raaz! jo muddat se raaz tha hi nahin

us ek raaz se parda uTha diya gaya hai

ek taḳhtī amn ke paiġhām

Taañg diije ūñche mīnāroñ ke beach

ek taKHti amn ke paigham ki

Tang dije unche minaron ke beach

chupke chupke vo paḌh rahā hai mujhe

dhīre dhīre badal rahā huuñ maiñ

chupke chupke wo paDh raha hai mujhe

dhire dhire badal raha hun main

kisī se zehn jo miltā to guftugū karte

hujūm-e-shahr meñ tanhā the ham, bhaTak rahe the

kisi se zehn jo milta to guftugu karte

hujum-e-shahr mein tanha the ham, bhaTak rahe the

'nabīl' aisā karo tum bhī bhuul jaao use

vo shaḳhs apnī har ik baat se mukar chukā hai

'nabil' aisa karo tum bhi bhul jao use

wo shaKHs apni har ek baat se mukar chuka hai

guzar rahā huuñ kisī ḳhvāb ke ilāqe se

zamīñ sameTe hue āsmāñ uThā.e hue

guzar raha hun kisi KHwab ke ilaqe se

zamin sameTe hue aasman uThae hue

ham qāfile se bichhḌe hue haiñ magar 'nabīl'

ik rāsta alag se nikāle hue to haiñ

hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'

ek rasta alag se nikale hue to hain

tamām shahr ko tārīkiyoñ se shikva hai

magar charāġh bai.at se ḳhauf aatā hai

tamam shahr ko tarikiyon se shikwa hai

magar charagh ki baiat se KHauf aata hai

maiñ kisī aañkh se chhalkā huā aañsū huuñ 'nabīl'

merī tā.īd kyā merī baġhāvat kaisī

main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil'

meri taid hi kya meri baghawat kaisi

musāfiroñ se kaho apnī pyaas bāñdh rakheñ

safar ruuh meñ sahrā koī utar chukā hai

musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen

safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai

'nabīl' is ishq meñ tum jiit bhī jaao to kyā hogā

ye aisī jiit hai pahlū meñ jis ke haar chaltī hai

'nabil' is ishq mein tum jit bhi jao to kya hoga

ye aisi jit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai

maiñ chhup rahā huuñ ki jaane kis dam

utaar Daale libās mujh ko

main chhup raha hun ki jaane kis dam

utar Dale libas mujh ko

chāñd taare ik diyā aur raat komal badan

sub.h-dam bikhre paḌe the chaar merī tarah

chand tare ek diya aur raat ka komal badan

subh-dam bikhre paDe the chaar su meri tarah

na jaane kaisī mahrūmī pas-e-raftār chaltī hai

hamesha mere aage aage ik dīvār chaltī hai

na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai

hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai

roz dastak koī detā hai siine meñ 'nabīl'

roz mujh meñ kisī āvāz ke par khulte haiñ

roz dastak si koi deta hai sine mein 'nabil'

roz mujh mein kisi aawaz ke par khulte hain

maiñ dastaras se tumhārī nikal bhī saktā huuñ

ye soch lo ki maiñ rasta badal bhī saktā huuñ

TRANSLATION

From your grasp, I can even slip away,

Remember, I can even change my way.

Sagar Akbarabadi

main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

ye soch lo ki main rasta badal bhi sakta hun

TRANSLATION

From your grasp, I can even slip away,

Remember, I can even change my way.

Sagar Akbarabadi

saañs letā huā har rang nazar aa.egā

tum kisī roz mire rang meñ aao to sahī

sans leta hua har rang nazar aaega

tum kisi roz mere rang mein aao to sahi

qalam hai haath meñ kirdār bhī mire bas meñ

agar maiñ chāhūñ kahānī badal bhī saktā huuñ

qalam hai hath mein kirdar bhi mere bas mein

agar main chahun kahani badal bhi sakta hun

yuuñ lagtā hai saarī duniyā band hai merī muTThī meñ

jis dam merī unglī pakḌe merā beTā chaltā hai

yun lagta hai sari duniya band hai meri muTThi mein

jis dam meri ungli pakDe mera beTa chalta hai

saikḌoñ rangoñ bārish ho chukegī us ke baad

itr meñ bhīgī huī shāmoñ manzar aa.egā

saikDon rangon ki barish ho chukegi us ke baad

itr mein bhigi hui shamon ka manzar aaega

bujhī-bujhī ye bāteñ dhuāñ-dhuāñ lahja

kisī 'azāb meñ andar se jal rahe ho kyā

bujhi-bujhi si ye baaten dhuan-dhuan lahja

kisi 'azab mein andar se jal rahe ho kya

haath ḳhālī na the jab ghar se ravāna huā maiñ

sab ne jholī meñ mirī apnī zarūrat rakh

hath KHali na the jab ghar se rawana hua main

sab ne jholi mein meri apni zarurat rakh di

bahkā to bahut bahkā sañbhlā to valī Thahrā

is chāk-garebāñ har rang nirālā thā

bahka to bahut bahka sanbhla to wali Thahra

is chaak-gareban ka har rang nirala tha

qaid kar ke ghar ke andar apnī tanhā.ī ko maiñ

muskurātā gungunātā ghar se bāhar aa gayā

qaid kar ke ghar ke andar apni tanhai ko main

muskuraata gungunata ghar se bahar aa gaya

mirā tarīqa zarā muḳhtalif hai sūraj se

jahāñ pe Duubā vahīñ se ubharne vaalā huuñ

mera tariqa zara muKHtalif hai suraj se

jahan pe Duba wahin se ubharne wala hun

kyā zarūrī hai ki har baat tumhārī mānūñ

baat apnī bhī ka.ī baar na maanī maiñ ne

kya zaruri hai ki har baat tumhaari manun

baat apni bhi kai bar na mani main ne

ādatan suljhā rahā thā gutthiyāñ kal raat maiñ

dil pareshāñ thā bahut aur mas.ala koī na thā

aadatan suljha raha tha gutthiyan kal raat main

dil pareshan tha bahut aur masala koi na tha

shā.erī ishq ġham rizq kitābeñ ghar-bār

kitnī samtoñ meñ ba-yak-vaqt guzar hai merā

shaeri ishq gham rizq kitaben ghar-bar

kitni samton mein ba-yak-waqt guzar hai mera

ye būñdeñ pahlī bārish ye soñdhī ḳhushbū maaTī

ik koyal baaġh meñ kuukī hai āvāz yahāñ tak aa.ī hai

ye bunden pahli barish ki ye sondhi KHushbu maTi ki

ek koyal bagh mein kuki hai aawaz yahan tak aai hai

ye kis ke lams bārish meñ rang rang huuñ maiñ

ye kaun mujh se guzartā hai āb-o-tāb ke saath

ye kis ke lams ki barish mein rang rang hun main

ye kaun mujh se guzarta hai aab-o-tab ke sath

dhuup TuuTī huī taḳhtī pe bārish ne likhā

ghar ke andar baiTh kar mausam andāza na kar

dhup ki TuTi hui taKHti pe barish ne likha

ghar ke andar baiTh kar mausam ka andaza na kar

yūñhī vo bhī pūchhtā hai tum kaise ho kis haal meñ ho

yūñhī maiñ bhī kah detā huuñ sab kuchh achchhā chaltā hai

yunhi wo bhi puchhta hai tum kaise ho kis haal mein ho

yunhi main bhi kah deta hun sab kuchh achchha chalta hai

miyāñ tum dost ban kar jo hamāre saath karte ho

vahī sab kuchh hamāre dushman-e-jānī bhī karte haiñ

miyan tum dost ban kar jo hamare sath karte ho

wahi sab kuchh hamare dushman-e-jaani bhi karte hain

ajab rūThe hue logoñ se apnī āshnā.ī hai

na milne hamesha ik bahāna saath rakhte haiñ

ajab ruThe hue logon se apni aashnai hai

na milne ka hamesha ek bahana sath rakhte hain

bikhar rahī thī havāoñ meñ e.atibār raakh

aur intizār muTThī meñ zindagī kam thī

bikhar rahi thi hawaon mein eatibar ki rakh

aur intizar ki muTThi mein zindagi kam thi

vo rahā thā to rokā nahīñ use tum ne

vo chukā hai to ab haath mal rahe ho kyā

wo ja raha tha to roka nahin use tum ne

wo ja chuka hai to ab hath mal rahe ho kya

savāl thā ki justujū 'azīm hai ki aarzū

so yuuñ huā ki 'umr-bhar javāb likh rahe the ham

sawal tha ki justuju 'azim hai ki aarzu

so yun hua ki 'umr-bhar jawab likh rahe the hum

har ik manzar bhigonā chāhtī hai

udāsī ḳhuub ronā chāhtī hai

har ek manzar bhigona chahti hai

udasi KHub rona chahti hai

charāġh thartharātī lau meñ har os qatre meñ har kiran meñ

tumhārī āñkheñ kahāñ nahīñ thiiñ tumhārā chehra kahāñ nahīñ thā

charagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein

tumhaari aankhen kahan nahin thin tumhaara chehra kahan nahin tha

aane vāloñ mohabbat bahut hai mujh ko

jaane vāloñ se kahāñ koī shikāyat hai mujhe

aane walon ki mohabbat hi bahut hai mujh ko

jaane walon se kahan koi shikayat hai mujhe

musalsal dhund halkī raushnī bhīge hue manzar

ye kin barsī huī āñkhoñ nigrānī meñ aa.e haiñ

musalsal dhund halki raushni bhige hue manzar

ye kin barsi hui aankhon ki nigrani mein aae hain

ādatan maiñ kisī ehsās ke pīchhe lapkā

daf.atan ek ġhazal dasht-e-suḳhan se niklī

aadatan main kisi ehsas ke pichhe lapka

dafatan ek ghazal dasht-e-suKHan se nikli

maiñ ne kuchh rang uchhāle the havāoñ meñ 'nabīl'

aur tasvīr tirī dhyān se bāhar aa.ī

main ne kuchh rang uchhaale the hawaon mein 'nabil'

aur taswir teri dhyan se bahar aai

merī miTTī meñ mohabbat mohabbat hai 'nabīl'

chhū ke dekho to sahī haath lagāo to sahī

meri miTTi mein mohabbat hi mohabbat hai 'nabil'

chhu ke dekho to sahi hath lagao to sahi

jaane vaalā saal to phir bhī jaise taise biit gayā

is duniyā ko rakhnā maulā aane vaale saal meñ ḳhush

jaane wala sal to phir bhi jaise taise bit gaya

is duniya ko rakhna maula aane wale sal mein KHush

ik ta.āruf to zarūrī hai sar-e-rāh-e-junūñ

dasht vaale na.e barbād ko kab jānte haiñ

ek taaruf to zaruri hai sar-e-rah-e-junun

dasht wale nae barbaad ko kab jaante hain

bhed bharī āvāzoñ ik shor bharā hai siine meñ

khul kar saañs nahīñ lene shart hai goyā jiine meñ

bhed bhari aawazon ka ek shor bhara hai sine mein

khul kar sans nahin lene ki shart hai goya jine mein

jaan letā huuñ har ik chehre ke poshīda nuqūsh

tum samajhte ho ki maiñ kuchh bhī nahīñ jāntā huuñ

jaan leta hun har ek chehre ke poshida nuqush

tum samajhte ho ki main kuchh bhi nahin jaanta hun

Recitation

Speak Now