Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Dilawar Ali Aazar's Photo'

Dilawar Ali Aazar

1984 | Hasan Abdal, Pakistan

A poet prominent among the younger poets of Pakistan

A poet prominent among the younger poets of Pakistan

Sher of Dilawar Ali Aazar

4.8K
Favorite

SORT BY

us se kuchh ḳhaas ta.alluq bhī nahīñ hai apnā

maiñ pareshān huā jis pareshānī par

us se kuchh KHas talluq bhi nahin hai apna

main pareshan hua jis ki pareshani par

us se milnā to use eid-mubārak kahnā

ye bhī kahnā ki mirī eid mubārak kar de

us se milna to use eid-mubarak kahna

ye bhi kahna ki meri eid mubarak kar de

ab mujh ko ehtimām se kiije supurd-e-ḳhāk

uktā chukā huuñ jism malba uThā ke maiñ

ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-KHak

ukta chuka hun jism ka malba uTha ke main

use kisī se mohabbat na thī magar us ne

gulāb toḌ ke duniyā ko shak meñ Daal diyā

use kisi se mohabbat na thi magar us ne

gulab toD ke duniya ko shak mein Dal diya

maiñ jab maidān ḳhālī kar ke aayā

mirā dushman akelā rah gayā thā

main jab maidan KHali kar ke aaya

mera dushman akela rah gaya tha

chāñd taare to mire bas meñ nahīñ haiñ 'āzar'

phuul laayā huuñ mirā haath kahāñ tak jāatā

chand tare to mere bas mein nahin hain 'azar'

phul laya hun mera hath kahan tak jaata

sabhī ke haath meñ patthar the 'āzar'

hamāre haath meñ ik ā.īnā thā

sabhi ke hath mein patthar the 'azar'

hamare hath mein ek aaina tha

badan ko chhoḌ jaanā hai ruuh ne 'āzar'

har ik charāġh se āḳhir dhuāñ nikaltā hai

badan ko chhoD hi jaana hai ruh ne 'azar'

har ek charagh se aaKHir dhuan nikalta hai

tum ḳhud dāstān badalte ho daf.atan

ham varna dekhte nahīñ kirdār se pare

tum KHud hi dastan badalte ho dafatan

hum warna dekhte nahin kirdar se pare

ek lamhe ke liye tanhā nahīñ hone diyā

ḳhud ko apne saath rakkhā jis jahāñ sair

ek lamhe ke liye tanha nahin hone diya

KHud ko apne sath rakkha jis jahan ki sair ki

ik din jo yūñhī parda-e-aflāk uThāyā

barpā thā tamāshā koī tanhā.ī se aage

ek din jo yunhi parda-e-aflak uThaya

barpa tha tamasha koi tanhai se aage

suḳhan-sarā.ī koī sahl kaam thoḌī hai

ye log kis liye janjāl meñ paḌe hue haiñ

suKHan-sarai koi sahl kaam thoDi hai

ye log kis liye janjal mein paDe hue hain

vahī sitāra-numā ik charāġh hai 'āzar'

mirā ḳhayāl thā niklegā taaq se kuchh aur

wahi sitara-numa ek charagh hai 'azar'

mera KHayal tha niklega taq se kuchh aur

Recitation

Speak Now