aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Fatima Hasan's Photo'

Fatima Hasan

1953 | Karachi, Pakistan

Noted female poet from Pakistan who portraits the women-centric issues

Noted female poet from Pakistan who portraits the women-centric issues

Sher of Fatima Hasan

9K
Favorite

SORT BY

kyā kahūñ us se ki jo baat samajhtā nahīñ

vo to milne ko mulāqāt samajhtā nahīñ

kya kahun us se ki jo baat samajhta hi nahin

wo to milne ko mulaqat samajhta hi nahin

sukūn-e-dil ke liye ishq to bahāna thā

vagarna thak ke kahīñ to Thahar jaanā thā

sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha

ḳhvāboñ par iḳhtiyār na yādoñ pe zor hai

kab zindagī guzārī hai apne hisāb meñ

KHwabon par iKHtiyar na yaadon pe zor hai

kab zindagi guzari hai apne hisab mein

maiñ ne maañ libās jab pahnā

mujh ko titlī ne apne rañg diye

main ne man ka libas jab pahna

mujh ko titli ne apne rang diye

ulajh ke rah ga.e chehre mirī nigāhoñ meñ

kuchh itnī tezī se badle the un baat ke rañg

ulajh ke rah gae chehre meri nigahon mein

kuchh itni tezi se badle the un ki baat ke rang

āñkhoñ meñ na zulfoñ meñ na ruḳhsār meñ dekheñ

mujh ko mirī dānish mire afkār meñ dekheñ

aankhon mein na zulfon mein na ruKHsar mein dekhen

mujh ko meri danish mere afkar mein dekhen

dikhā.ī detā hai jo kuchh kahīñ vo ḳhvāb na ho

jo sun rahī huuñ vo dhokā na ho samā.at

dikhai deta hai jo kuchh kahin wo KHwab na ho

jo sun rahi hun wo dhoka na ho samaat ka

kitne achchhe log the kyā raunaqeñ thiiñ un ke saath

jin ruḳhsat ne hamārā shahr suunā kar diyā

kitne achchhe log the kya raunaqen thin un ke sath

jin ki ruKHsat ne hamara shahr suna kar diya

bahut gahrī hai us ḳhāmushī bhī

maiñ apne qad ko chhoTā rahī huuñ

bahut gahri hai us ki KHamushi bhi

main apne qad ko chhoTa pa rahi hun

bichhaḌ rahā thā magar muḌ ke dekhtā bhī rahā

maiñ muskurātī rahī maiñ ne bhī kamāl kiyā

bichhaD raha tha magar muD ke dekhta bhi raha

main muskuraati rahi main ne bhi kamal kiya

us ke piyāle meñ zahr hai ki sharāb

kaise ma.alūm ho baġhair piye

us ke piyale mein zahr hai ki sharab

kaise malum ho baghair piye

suntī rahī maiñ sab ke dukh ḳhāmoshī se

kis dukh thā mere jaisā bhuul ga.ī

sunti rahi main sab ke dukh KHamoshi se

kis ka dukh tha mere jaisa bhul gai

puurī na adhūrī huuñ na kam-tar huuñ na bartar

insān huuñ insān ke me.aar meñ dekheñ

puri na adhuri hun na kam-tar hun na bartar

insan hun insan ke mear mein dekhen

aur koī nahīñ hai us ke sivā

sukh diye dukh diye usī ne diye

aur koi nahin hai us ke siwa

sukh diye dukh diye usi ne diye

koī nahīñ hai mere jaisā chāroñ or

apne gird ik bhiiḌ sajā kar tanhā huuñ

koi nahin hai mere jaisa chaaron or

apne gird ek bhiD saja kar tanha hun

adhūre lafz the āvāz ġhair-vāzeh thī

duā ko phir bhī nahīñ der kuchh asar meñ lagī

adhure lafz the aawaz ghair-wazeh thi

dua ko phir bhi nahin der kuchh asar mein lagi

makāñ banāte hue chhat bahut zarūrī hai

bachā ke sehn meñ lekin shajar bhī rakhnā hai

makan banate hue chhat bahut zaruri hai

bacha ke sehn mein lekin shajar bhi rakhna hai

hamārī nasl sañvartī hai dekh kar ham ko

so apne-āp ko shaffāf-tar bhī rakhnā hai

hamari nasl sanwarti hai dekh kar hum ko

so apne-ap ko shaffaf-tar bhi rakhna hai

kab us fat.h ḳhvāhish ko jiit saktī thī

maiñ vo farīq huuñ jis ko ki haar jaanā thā

kab us ki fath ki KHwahish ko jit sakti thi

main wo fariq hun jis ko ki haar jaana tha

bhuul ga.ī huuñ kis se merā naata thā

aur ye naata kaise TuuTā bhuul ga.ī

bhul gai hun kis se mera nata tha

aur ye nata kaise TuTa bhul gai

maiñ ne pahuñchāyā use jiit ke har ḳhāne meñ

merī baazī thī mirī maat samajhtā nahīñ

main ne pahunchaya use jit ke har KHane mein

meri bazi thi meri mat samajhta hi nahin

pahchān jin se thī vo havāle miTā diye

us ne kitāb-e-zāt safha badal diyā

pahchan jin se thi wo hawale miTa diye

us ne kitab-e-zat ka safha badal diya

raat darīche tak aa kar ruk jaatī hai

band āñkhoñ meñ us chehra rahtā hai

raat dariche tak aa kar ruk jati hai

band aankhon mein us ka chehra rahta hai

Thes kuchh aisī lagī hai ki bikharnā hai use

dil meñ dhaḌkan jagah dard hai aur jaan nahīñ

Thes kuchh aisi lagi hai ki bikharna hai use

dil mein dhaDkan ki jagah dard hai aur jaan nahin

sun rahe haiñ kaan jo kahte haiñ sab

log lekin sochte kuchh aur haiñ

sun rahe hain kan jo kahte hain sab

log lekin sochte kuchh aur hain

aur kyā shakl be-makānī

jab safar meñ zindagānī

aur kya shakl be-makani ki

jab safar mein hi zindagani ki

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now