Sher of Insha Allah Khan Insha
ajiib lutf kuchh aapas kī chheḌ-chhāḌ meñ hai
kahāñ milāp meñ vo baat jo bigāḌ meñ hai
ajib lutf kuchh aapas ki chheD-chhaD mein hai
kahan milap mein wo baat jo bigaD mein hai
-
Tag : Famous shayari
jazba-e-ishq salāmat hai to inshā-allāh
kachche dhāge se chale ā.eñge sarkār bañdhe
jazba-e-ishq salamat hai to insha-allah
kachche dhage se chale aaenge sarkar bandhe
kamar bāñdhe hue chalne ko yaañ sab yaar baiThe haiñ
bahut aage ga.e baaqī jo haiñ tayyār baiThe haiñ
kamar bandhe hue chalne ko yan sab yar baiThe hain
bahut aage gae baqi jo hain tayyar baiThe hain
-
Tag : Famous shayari
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
pahuñchūñ maiñ kis kī kohna haqīqat ko aaj tak
'inshā' mujhe milā nahīñ apnā hī kuchh surāġh
pahunchun main kis ki kohna haqiqat ko aaj tak
'insha' mujhe mila nahin apna hi kuchh suragh
kyā hañsī aatī hai mujh ko hazrat-e-insān par
fe'l-e-bad ḳhud hī kareñ lā'nat kareñ shaitān par
kya hansi aati hai mujh ko hazrat-e-insan par
fe'l-e-bad KHud hi karen la'nat karen shaitan par
na chheḌ ai nik.hat-e-bād-e-bahārī raah lag apnī
tujhe aTkheliyāñ sūjhī haiñ ham be-zār baiThe haiñ
na chheD ai nikhat-e-baad-e-bahaari rah lag apni
tujhe aTkheliyan sujhi hain hum be-zar baiThe hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
maiñ ne jo kachkachā kar kal un kī raan kaaTī
to un ne kis maze se merī zabān kaaTī
main ne jo kachkacha kar kal un ki ran kaTi
to un ne kis maze se meri zaban kaTi
kuchh ishāra jo kiyā ham ne mulāqāt ke vaqt
Taal kar kahne lage din hai abhī raat ke vaqt
kuchh ishaara jo kiya hum ne mulaqat ke waqt
Tal kar kahne lage din hai abhi raat ke waqt
lailā o majnūñ kī lākhoñ garche tasvīreñ khiñchīñ
mil ga.ī sab ḳhaak meñ jis vaqt zanjīreñ khiñchīñ
laila o majnun ki lakhon garche taswiren khinchin
mil gai sab KHak mein jis waqt zanjiren khinchin
jī kī jī hī meñ rahī baat na hone paa.ī
haif ki us se mulāqāt na hone paa.ī
ji ki ji hi mein rahi baat na hone pai
haif ki us se mulaqat na hone pai
ye ajiib mājrā hai ki ba-roz-e-īd-e-qurbāñ
vahī zab.h bhī kare hai vahī le savāb ulTā
ye ajib majra hai ki ba-roz-e-id-e-qurban
wahi zabh bhi kare hai wahi le sawab ulTa
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kar letā huuñ band āñkheñ maiñ dīvār se lag kar
baiThe hai kisī se jo koī pyaar se lag kar
kar leta hun band aankhen main diwar se lag kar
baiThe hai kisi se jo koi pyar se lag kar
sāñvle tan pe ġhazab dhaj hai basantī shaal kī
jī meñ hai kah baiThiye ab jai kanhayyā laal kī
sanwle tan pe ghazab dhaj hai basanti shaal ki
ji mein hai kah baiThiye ab jai kanhayya lal ki
zamīñ se uTThī hai yā charḳh par se utrī hai
ye aag ishq kī yā-rab kidhar se utrī hai
zamin se uTThi hai ya charKH par se utri hai
ye aag ishq ki ya-rab kidhar se utri hai
nazākat us gul-e-rānā kī dekhiyo 'inshā'
nasīm-e-sub.h jo chhū jaa.e rañg ho mailā
nazakat us gul-e-rana ki dekhiyo 'insha'
nasim-e-subh jo chhu jae rang ho maila
yaad kyā aatā hai vo merā lage jaanā aur aah
pīchhe haT kar us kā ye kahnā koī aa jā.egā
yaad kya aata hai wo mera lage jaana aur aah
pichhe haT kar us ka ye kahna koi aa jaega
kaaTe haiñ ham ne yūñhī ayyām zindagī ke
sīdhe se sīdhe-sāde aur kaj se kaj rahe haiñ
kaTe hain hum ne yunhi ayyam zindagi ke
sidhe se sidhe-sade aur kaj se kaj rahe hain
hazār shaiḳh ne dāḌhī baḌhā.ī san kī sī
magar vo baat kahāñ maulvī madan kī sī
hazar shaiKH ne daDhi baDhai san ki si
magar wo baat kahan maulwi madan ki si
na kah tū shaiḳh mujhe zohd siikh mastī chhoḌ
tirī pasand judā hai mirī pasand judā
na kah tu shaiKH mujhe zohd sikh masti chhoD
teri pasand juda hai meri pasand juda
dahkī hai aag dil meñ paḌe ishtiyāq kī
tere sivā.e kis se ho is kā ilaaj aaj
dahki hai aag dil mein paDe ishtiyaq ki
tere siwae kis se ho is ka ilaj aaj
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
phabtī tire mukhḌe pe mujhe huur kī sūjhī
lā haath idhar de ki bahut duur kī sūjhī
phabti tere mukhDe pe mujhe hur ki sujhi
la hath idhar de ki bahut dur ki sujhi
har taraf haiñ tire dīdār ke bhūke lākhoñ
peT bhar kar koī aisā bhī trahdār na ho
har taraf hain tere didar ke bhuke lakhon
peT bhar kar koi aisa bhi trahdar na ho
garmī ne kuchh aag aur bhī siine meñ lagā.ī
har taur ġharaz aap se milnā hī kam achchhā
garmi ne kuchh aag aur bhi sine mein lagai
har taur gharaz aap se milna hi kam achchha
-
Tag : Garmi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sub.h-dam mujh se lipaT kar vo nashe meñ bole
tum bane bād-e-sabā ham gul-e-nasrīn hue
subh-dam mujh se lipaT kar wo nashe mein bole
tum bane baad-e-saba hum gul-e-nasrin hue
de ek shab ko apnī mujhe zard shaal tū
hai mujh ko sūñghne ke havas so nikāl tū
de ek shab ko apni mujhe zard shaal tu
hai mujh ko sunghne ke hawas so nikal tu
hai ḳhaal yuuñ tumhāre chāh-e-zaqan ke andar
jis ruup ho kanhayyā āb-e-jaman ke andar
hai KHal yun tumhaare chah-e-zaqan ke andar
jis rup ho kanhayya aab-e-jaman ke andar
sanam-ḳhāna jaatā huuñ tū mujh ko nāhaq
na bahkā na bahkā na bahkā na bahkā
sanam-KHana jata hun tu mujh ko nahaq
na bahka na bahka na bahka na bahka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ġhuncha-e-gul ke sabā god bharī jaatī hai
ek parī aatī hai aur ek parī jaatī hai
ghuncha-e-gul ke saba god bhari jati hai
ek pari aati hai aur ek pari jati hai
jis ne yaaro mujh se da.avā sher ke fan kā kiyā
maiñ ne le kar us ke kāġhaz aur qalam aage dharā
jis ne yaro mujh se dawa sher ke fan ka kiya
main ne le kar us ke kaghaz aur qalam aage dhara
chand muddat ko firāq-e-sanam-o-dair to hai
aao ka.aba kabhī dekh aa.eñ na ik sair to hai
chand muddat ko firaq-e-sanam-o-dair to hai
aao kaba kabhi dekh aaen na ek sair to hai
us sañg-dil ke hijr meñ chashmoñ ko apne aah
mānind-e-ābshār kiyā ham ne kyā kiyā
us sang-dil ke hijr mein chashmon ko apne aah
manind-e-abshaar kiya hum ne kya kiya
jaave vo sanam brij ko to aap kanhaiyā
jhaT sāmne ho murlī kī dhun nazr pakaḌ kar
jawe wo sanam brij ko to aap kanhaiya
jhaT samne ho murli ki dhun nazr pakaD kar
hai nūr-e-basar mardumak-e-dīda meñ pinhāñ yuuñ jaise kanhaiyā
so ashk ke qatroñ se paḌā khele hai jhurmuT aur āñkhoñ meñ panghaT
hai nur-e-basar mardumak-e-dida mein pinhan yun jaise kanhaiya
so ashk ke qatron se paDa khele hai jhurmuT aur aankhon mein panghaT
tū ne lagā.ī ab kī ye kyā aag ai basant
jis se ki dil kī aag uThe jaag ai basant
tu ne lagai ab ki ye kya aag ai basant
jis se ki dil ki aag uThe jag ai basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shaiḳh-jī ye bayān karo ham bhī to baarī kuchh suneñ
aap ke haath kyā lagā ḳhalvat-o-etikāf meñ
shaiKH-ji ye bayan karo hum bhi to bari kuchh sunen
aap ke hath kya laga KHalwat-o-etikaf mein
baiThtā hai jab tuñdīlā shaiḳh aa kar bazm meñ
ik baḌā maTkā sā rahtā hai shikam aage dharā
baiThta hai jab tundila shaiKH aa kar bazm mein
ek baDa maTka sa rahta hai shikam aage dhara
ḳhūbān-e-rozgār muqallid terī haiñ sab
jo chiiz tū kare so vo paave rivāj aaj
KHuban-e-rozgar muqallid teri hain sab
jo chiz tu kare so wo pawe riwaj aaj
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har shāḳh zard o surḳh o siyah hijr-e-yār meñ
Daste haiñ dil ko aan ke juuñ naag ai basant
har shaKH zard o surKH o siyah hijr-e-yar mein
Daste hain dil ko aan ke jun nag ai basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ḳhayāl kījiye kyā kaam aaj maiñ ne kiyā
jab un ne dī mujhe gaalī salām maiñ ne kiyā
TRANSLATION
Just imagine, today what I did,
When she abused me, I greeted.
Sagar Akbarabadi
KHayal kijiye kya kaam aaj main ne kiya
jab un ne di mujhe gali salam main ne kiya
TRANSLATION
Just imagine, today what I did,
When she abused me, I greeted.
Sagar Akbarabadi
patte nahīñ chaman meñ khaḌakte tire baġhair
kartī hai is libās meñ har-dam fuġhāñ basant
patte nahin chaman mein khaDakte tere baghair
karti hai is libas mein har-dam fughan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na lagī mujh ko jab us shoḳh-e-trahdār kī geñd
us ne mahram ko sambhāl aur hī tayyār kī geñd
na lagi mujh ko jab us shoKH-e-trahdar ki gend
us ne mahram ko sambhaal aur hi tayyar ki gend
aate nazar haiñ dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke saal aisī hai ai dostāñ basant
aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gar shāḳh-e-za.afarāñ use kahiye to hai ravā
hai farah-baḳhsh vāqa.ī is had kohāñ basant
gar shaKH-e-zafaran use kahiye to hai rawa
hai farah-baKHsh waqai is had kohan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har-chand ki aasī huuñ pa ummat meñ huuñ us kī
jis kā hai qadam arsh-e-mua.allā se bhī baalā
har-chand ki aasi hun pa ummat mein hun us ki
jis ka hai qadam arsh-e-mualla se bhi baala
'inshā' se shaiḳh pūchhtā hai kyā salāh hai
tarġhīb-e-bāda dī hai mujhe ai javāñ basant
'insha' se shaiKH puchhta hai kya salah hai
targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant
-
Tag : Basant
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kāfir samā rahā hai sārang kā ye lahrā
table kī tāl-o-sam ke har har paran ke andar
kafir sama raha hai sarang ka ye lahra
table ki tal-o-sam ke har har paran ke andar
hichkiyāñ le hai is tarah bat-e-mai
jis tarah gaTkarī meñ taan phire
hichkiyan le hai is tarah bat-e-mai
jis tarah gaTkari mein tan phire
lagā dī daun is jangal ko bas ik do hī aahoñ meñ
ye dharpat qahr kuchh inshā ne dīpak raag kā joḌā
laga di daun is jangal ko bas ek do hi aahon mein
ye dharpat qahr kuchh insha ne dipak rag ka joDa