Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Irshad Khan Sikandar's Photo'

Irshad Khan Sikandar

1983 | Delhi, India

One of the most promising upcoming poets.

One of the most promising upcoming poets.

Sher of Irshad Khan Sikandar

1.4K
Favorite

SORT BY

khīñch laa.ī hai mohabbat tire dar par mujh ko

itnī āsānī se varna kise hāsil huā maiñ

khinch lai hai mohabbat tere dar par mujh ko

itni aasani se warna kise hasil hua main

būḌhī maañ shāyad lauT aayā bachpan

guḌiyoñ ambār lagā kar baiTh ga.ī

buDhi man ka shayad lauT aaya bachpan

guDiyon ka ambar laga kar baiTh gai

kal terī tasvīr mukammal maiñ ne

fauran us par titlī aa kar baiTh ga.ī

kal teri taswir mukammal ki main ne

fauran us par titli aa kar baiTh gai

rishta bahāl kaash phir us galī se ho

chāhtā hai ishq dobāra usī se ho

rishta bahaal kash phir us ki gali se ho

ji chahta hai ishq dobara usi se ho

hamīñ tum se hamesha milne aa.eñ kyuuñ

tumhāre paañv meñ mehñdī lagī hai kyā

hamin tum se hamesha milne aaen kyun

tumhaare panw mein mehndi lagi hai kya

muddatoñ āñkheñ vazū kartī rahīñ ashkoñ se

tab kahīñ ke tirī diid ke qābil huā maiñ

muddaton aankhen wazu karti rahin ashkon se

tab kahin ja ke teri did ke qabil hua main

mire ḳhilāf sabhī sāzisheñ rachīñ jis ne

vo ro rahā hai mirī dāstāñ sunātā huā

mere KHilaf sabhi sazishen rachin jis ne

wo ro raha hai meri dastan sunata hua

kar gayā ḳhamosh mujh ko der tak

chīḳhnā vo ek be-zabān

kar gaya KHamosh mujh ko der tak

chiKHna wo ek be-zaban ka

zamāne par to khul kar hañs rahā thā

tire chhūte ro baiThā hai pāgal

zamane par to khul kar hans raha tha

tere chhute hi ro baiTha hai pagal

ab apne-āp ko ḳhud DhūñDhtā huuñ

tumhārī khoj meñ niklā huā maiñ

ab apne-ap ko KHud DhunDhta hun

tumhaari khoj mein nikla hua main

kaam sab ho ga.e mire āsāñ

kaun samjhegā merī mushkil ko

kaam sab ho gae mere aasan

kaun samjhega meri mushkil ko

bah ga.e āñsuoñ ke dariyā meñ

aap baat yaad na rahī

bah gae aansuon ke dariya mein

aap ki baat yaad hi na rahi

kyā kisī lams phir insāñ banā.egā mujhe

us ke jaate samūcha jism patthar ho gayā

kya kisi ka lams phir insan banaega mujhe

us ke jate hi samucha jism patthar ho gaya

ḳhvāb kyā us bunā maiñ ruuh tak tar ho gayā

ek qatra is qadar phailā samundar ho gayā

KHwab kya us ka buna main ruh tak tar ho gaya

ek qatra is qadar phaila samundar ho gaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now