Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khatir Ghaznavi's Photo'

Khatir Ghaznavi

1925 - 2008 | Peshawar, Pakistan

Famous for his ghazal 'Go zara si baaat par barson ke yaraane gai.' sung by many singers.

Famous for his ghazal 'Go zara si baaat par barson ke yaraane gai.' sung by many singers.

Sher of Khatir Ghaznavi

2.6K
Favorite

SORT BY

go zarā baat par barsoñ ke yārāne ga.e

lekin itnā to huā kuchh log pahchāne ga.e

TRANSLATION

On a minor issue, age-old friendships were lost,

But true colours of many people got exposed.

Sagar Akbarabadi

go zara si baat par barson ke yarane gae

lekin itna to hua kuchh log pahchane gae

TRANSLATION

On a minor issue, age-old friendships were lost,

But true colours of many people got exposed.

Sagar Akbarabadi

ik tajassus dil meñ hai ye kyā huā kaise huā

jo kabhī apnā na thā vo ġhair kaise huā

ek tajassus dil mein hai ye kya hua kaise hua

jo kabhi apna na tha wo ghair ka kaise hua

maiñ ise shohrat kahūñ apnī rusvā.ī kahūñ

mujh se pahle us galī meñ mere afsāne ga.e

main ise shohrat kahun ya apni ruswai kahun

mujh se pahle us gali mein mere afsane gae

kaisī chalī hai ab ke havā tere shahr meñ

bande bhī ho ga.e haiñ ḳhudā tere shahr meñ

kaisi chali hai ab ke hawa tere shahr mein

bande bhi ho gae hain KHuda tere shahr mein

vahshateñ kuchh is tarah apnā muqaddar ban ga.iiñ

ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne ga.e

wahshaten kuchh is tarah apna muqaddar ban gain

hum jahan pahunche hamare sath virane gae

logoñ ne to sūraj chakā-chauñd ko puujā

maiñ ne to tire saa.e ko bhī sajda kiyā hai

logon ne to suraj ki chaka-chaund ko puja

main ne to tere sae ko bhi sajda kiya hai

nahīñ paas tirī yaad to hai

to sūjhe jahāñ tak sochūñ

tu nahin pas teri yaad to hai

tu hi to sujhe jahan tak sochun

sar rakh ke so gayā huuñ ġhamoñ salīb par

shāyad ki ḳhvāb le uḌeñ hañstī fazāoñ meñ

sar rakh ke so gaya hun ghamon ki salib par

shayad ki KHwab le uDen hansti fazaon mein

insāñ huuñ ghir gayā huuñ zamīñ ke ḳhudāoñ meñ

ab bastiyāñ basā.ūñgā kar ḳhalāoñ meñ

insan hun ghir gaya hun zamin ke KHudaon mein

ab bastiyan basaunga ja kar KHalaon mein

ye kaun chupke chupke uThā aur chal diyā

'ḳhātir' ye kis ne luuT liiñ mahfil dhaḌkaneñ

ye kaun chupke chupke uTha aur chal diya

'KHatir' ye kis ne luT lin mahfil ki dhaDkanen

ek ek kar ke log nikal aa.e dhuup meñ

jalne lage the jaise sabhī ghar chhāñv meñ

ek ek kar ke log nikal aae dhup mein

jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhanw mein

qatre jur.atoñ ne sadaf se liyā ḳhirāj

dariyā samundaroñ meñ mile aur mar ga.e

qatre ki juraton ne sadaf se liya KHiraj

dariya samundaron mein mile aur mar gae

'ḳhātir' ab ahl-e-dil bhī bane haiñ zamāna-sāz

kis se kareñ vafā talab apne shahr meñ

'KHatir' ab ahl-e-dil bhi bane hain zamana-saz

kis se karen wafa ki talab apne shahr mein

fazā.eñ chup haiñ kuchh aisī ki dard boltā hai

badan ke shor meñ kis ko pukāreñ kyā māñgeñ

fazaen chup hain kuchh aisi ki dard bolta hai

badan ke shor mein kis ko pukaren kya mangen

guloñ mahfil-e-rañgīñ meñ ḳhaar ban na sake

bahār aa.ī to ham gulsitāñ se lauT aa.e

gulon ki mahfil-e-rangin mein KHar ban na sake

bahaar aai to hum gulsitan se lauT aae

jo phuul aayā sabz qadam ho ke rah gayā

kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr meñ

jo phul aaya sabz qadam ho ke rah gaya

kab fasl-e-gul hai fasl-e-tarab apne shahr mein

Recitation

Speak Now