Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Komal Joya's Photo'

Komal Joya

1983 | Khanewal, Pakistan

Prominent among the new generation of poets in Pakistan

Prominent among the new generation of poets in Pakistan

Sher of Komal Joya

maiñ ḳhāndān pābandiyoñ se vāqif thī

ḳhudā shukr hai us shaḳhs ne vafā nahīñ

main KHandan ki pabandiyon se waqif thi

KHuda ka shukr hai us shaKHs ne wafa nahin ki

mansūb charāġhoñ se taraf-dār havā ke

tum log munāfiq ho munāfiq bhī balā ke

mansub charaghon se taraf-dar hawa ke

tum log munafiq ho munafiq bhi bala ke

ek din tujh ko āchānak ye ḳhabar aa.egī

tere bīmār shifā-yāb nahīñ ho paa.e

ek din tujh ko aachanak ye KHabar aaegi

tere bimar shifa-yab nahin ho pae

ab kisī aur taraf baat ghumāne vaale

maiñ samajhtī huuñ tirī baat matlab samjhe

ab kisi aur taraf baat ghumane wale

main samajhti hun teri baat ka matlab samjhe

savāl kaun uThā.egā munsifoñ pe huzūr

barī hue sabhī mujrim gavāh qaid meñ hai

sawal kaun uThaega munsifon pe huzur

bari hue sabhi mujrim gawah qaid mein hai

añdhere kamre meñ raqs kartī rahegī vahshat

aur ek kone meñ pārsā.ī paḌī rahegī

andhere kamre mein raqs karti rahegi wahshat

aur ek kone mein parsai paDi rahegi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now