Sher of Meer Mohammadi Bedar
gar kisī ġhair ko farmāoge tab jānoge
ve hamīñ haiñ ki bajā lāveñ jo irshād karo
gar kisi ghair ko farmaoge tab jaanoge
we hamin hain ki baja lawen jo irshad karo
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaatā hai chalā qāfila-e-ashk shab o roz
ma.alūm nahīñ us kā irāda hai kahāñ kā
jata hai chala qafila-e-ashk shab o roz
malum nahin us ka irada hai kahan ka
sharāb o sāqī-e-mah-rū jo saath hoñ 'bedār'
to ḳhush-numā hai shab-e-māhtāb meñ dariyā
sharab o saqi-e-mah-ru jo sath hon 'bedar'
to KHush-numa hai shab-e-mahtab mein dariya
havās-o-hosh ko chhoḌ aap dil gayā us paas
jab ahl-e-fauj hī mil jaa.eñ kyā sipāh kare
hawas-o-hosh ko chhoD aap dil gaya us pas
jab ahl-e-fauj hi mil jaen kya sipah kare
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nashshe meñ jī chāhtā hai bosa-bāzī kījiye
itnī ruḳhsat dījiye banda-navāzī kījiye
nashshe mein ji chahta hai bosa-bazi kijiye
itni ruKHsat dijiye banda-nawazi kijiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
abas mal mal ke dhotā hai tū apne dast-e-nāzuk ko
nahīñ jaane kī surḳhī haath se ḳhūn-e-shahīdāñ kī
abas mal mal ke dhota hai tu apne dast-e-nazuk ko
nahin jaane ki surKHi hath se KHun-e-shahidan ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mashshāta dekh shāne se terā kaTegā haath
TuuTā gar ek baal kabhū zulf-e-yār kā
mashshata dekh shane se tera kaTega hath
TuTa gar ek baal kabhu zulf-e-yar ka
mehrāb-e-ābrū-e-but-e-kāfir-adā ko dekh
ka.aba kā shaiḳh bāñdh ke ehrām rah gayā
mehrab-e-abru-e-but-e-kafir-ada ko dekh
kaba ka shaiKH bandh ke ehram rah gaya
junūñ ne dast-kārī aisī bhī kī
na thā goyā garebāñ pairahan meñ
junun ne dast-kari aisi bhi ki
na tha goya gareban pairahan mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ajab kī sāhirī us man-haran kī chashm-e-fattāñ ne
diyā kājal siyāhī le ke āñkhoñ se ġhazālāñ kī
ajab ki sahiri us man-haran ki chashm-e-fattan ne
diya kajal siyahi le ke aankhon se ghazalan ki
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
is khel se kah apnī mizha se ki baaz aa.e
aalam ko neza-bāzī se zer-o-zabar kiyā
is khel se kah apni mizha se ki baz aae
aalam ko neza-bazi se zer-o-zabar kiya
aah qāsid to ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
aah qasid to ab talak na phira
dil dhaDakta hai kya hua hoga
jiine kī nahīñ umiid ham ko
tiir us kā jigar ke paar niklā
jine ki nahin umid hum ko
tir us ka jigar ke par nikla
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mohabbat aise kī 'bedār' saḳht mushkil hai
jo apnī jaan se guzre vo us kī chaah kare
mohabbat aise ki 'bedar' saKHt mushkil hai
jo apni jaan se guzre wo us ki chah kare
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
haiñ tasavvur meñ us ke āñkheñ band
log jāneñ haiñ ḳhvāb kartā huuñ
hain tasawwur mein us ke aankhen band
log jaanen hain KHwab karta hun
huuñ maiñ vo dīvāna-e-nāzuk-mizāj-e-gul-ruḳhāñ
kījiye zanjīr jis ko sāya-e-zanjīr se
hun main wo diwana-e-nazuk-mizaj-e-gul-ruKHan
kijiye zanjir jis ko saya-e-zanjir se
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
agar chalī hai to chal yuuñ ki paat bhī na hile
ḳhalal na laa.e sabā tū farāġh meñ gul ke
agar chali hai to chal yun ki pat bhi na hile
KHalal na lae saba tu faragh mein gul ke
ḳhushī hai sab ko roz-e-eid kī yaañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
KHushi hai sab ko roz-e-eid ki yan
hue hain mil ke baham aashna KHush
-
Tag : Eid
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rozī-rasāñ ḳhudā hai fikr-e-ma.āsh mat kar
is ḳhaar kā tū dil meñ ḳhauf-e-ḳharāsh mat kar
rozi-rasan KHuda hai fikr-e-maash mat kar
is KHar ka tu dil mein KHauf-e-KHarash mat kar
apne uupar tū rahm kar zālim
dekh mat baar baar ā.īna
apne upar tu rahm kar zalim
dekh mat bar bar aaina
gar vo but-e-gulnār-qabā jalva-numā ho
deñ ḳharqa-e-islām ko ahl-e-haram ātish
gar wo but-e-gulnar-qaba jalwa-numa ho
den KHarqa-e-islam ko ahl-e-haram aatish
ayaañ hai shakl tirī yuuñ hamāre siina se
ki juuñ sharāb numāyāñ ho ābgīna se
ayan hai shakl teri yun hamare sina se
ki jun sharab numayan ho aabgina se
dekh tū faal meñ ki vo mujh se
na milegā milegā kyā hogā
dekh tu fal mein ki wo mujh se
na milega milega kya hoga
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jaate ho sair-e-bāġh ko aġhyār saath ho
jo hukm ho to ye bhī gunahgār saath ho
jate ho sair-e-bagh ko aghyar sath ho
jo hukm ho to ye bhi gunahgar sath ho
yaad karte haiñ tujhe dair-o-haram meñ shab-o-roz
ahl-e-tasbīh judā sāhib-e-zunnār judā
yaad karte hain tujhe dair-o-haram mein shab-o-roz
ahl-e-tasbih juda sahib-e-zunnar juda
teġh-bar-dosh sipar haath meñ dāman gardāñ
ye banā sūrat-e-ḳhuñḳhār kahāñ jaanā hai
tegh-bar-dosh sipar hath mein daman gardan
ye bana surat-e-KHunKHar kahan jaana hai
baap kā hai faḳhr vo beTā ki rakhtā ho kamāl
dekh ā.īne ko farzand-e-rashīd-e-sañg hai
bap ka hai faKHr wo beTa ki rakhta ho kamal
dekh aaine ko farzand-e-rashid-e-sang hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
aap ko aap meñ nahīñ paatā
jī meñ yaañ tak mire samā.e ho
aap ko aap mein nahin pata
ji mein yan tak mere samae ho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai ḳhayāl us kā māna-e-guftār
varna sau quvvat-e-bayāñ hai mujhe
hai KHayal us ka mana-e-guftar
warna sau quwwat-e-bayan hai mujhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ho ga.e daur meñ us chashm ke mai-ḳhāne ḳharāb
na kahīñ shīsha rahā aur na kahīñ jaam rahā
ho gae daur mein us chashm ke mai-KHane KHarab
na kahin shisha raha aur na kahin jam raha
minnat-o-ājizī o zārī-o-āh
tere aage hazār kar dekhā
minnat-o-ajizi o zari-o-ah
tere aage hazar kar dekha
mai-kade meñ jo tire husn kā mazkūr huā
sañg-e-ġhairat se mirā shīsha-e-dil chuur huā
mai-kade mein jo tere husn ka mazkur hua
sang-e-ghairat se mera shisha-e-dil chur hua
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ye bhī aanā hai koī is se na aanā behtar
aa.e dam bhī na huā kahte ho jā.ūñ jā.ūñ
ye bhi aana hai koi is se na aana behtar
aae dam bhi na hua kahte ho jaun jaun
saaye se apne vahshat karte haiñ misl-e-āhū
mushkil hai haath lagnā az-ḳhud ramīdgāñ kā
saye se apne wahshat karte hain misl-e-ahu
mushkil hai hath lagna az-KHud ramidgan ka
ham pe sau zulm-o-sitam kījiyegā
ek milne ko na kam kījiyegā
hum pe sau zulm-o-sitam kijiyega
ek milne ko na kam kijiyega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab luTā ishq ke maidān meñ uryāñ aayā
rah gayā paas mire dāman-e-sahrā baaqī
sab luTa ishq ke maidan mein uryan aaya
rah gaya pas mere daman-e-sahra baqi
kis tarah hāl-e-dil kahūñ us gul se baaġh meñ
phirtī hai us ke saath to har-dam sabā lagī
kis tarah haal-e-dil kahun us gul se bagh mein
phirti hai us ke sath to har-dam saba lagi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab ne luuTe un ke jalve ke maze
sharbat-e-dīdār jūThā ho gayā
sab ne luTe un ke jalwe ke maze
sharbat-e-didar juTha ho gaya
'bedār' rāh-e-ishq kisī se na tai huī
sahrā meñ qais koh meñ farhād rah gayā
'bedar' rah-e-ishq kisi se na tai hui
sahra mein qais koh mein farhad rah gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nashsha-e-husn meñ sarshār chalā jaatā hai
shab-e-tārīk hai dildār ḳhudā ko sauñpā
nashsha-e-husn mein sarshaar chala jata hai
shab-e-tarik hai dildar KHuda ko saunpa
Tuk ai but apne mukhḌe se uThā de gosha-e-burqa
ki in masjid-nashīnoñ ko hai daavā dīn-dārī kā
Tuk ai but apne mukhDe se uTha de gosha-e-burqa
ki in masjid-nashinon ko hai dawa din-dari ka
kyā ho gar koī ghaḌī yaañ bhī karam farmāo
aap is raah se āḳhir to guzar karte haiñ
kya ho gar koi ghaDi yan bhi karam farmao
aap is rah se aaKHir to guzar karte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jahāñ vo hai nahīñ vaañ kufr o islām
abas jhagḌā hai shaiḳh o barhaman meñ
jahan wo hai nahin wan kufr o islam
abas jhagDa hai shaiKH o barhaman mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kiyā hañgāma-e-gul ne mirā josh-e-junūñ taaza
udhar aa.ī bahār īdhar garebāñ kā rafū TuuTā
kiya hangama-e-gul ne mera josh-e-junun taza
udhar aai bahaar idhar gareban ka rafu TuTa
nahīñ kuchh abr hī shāgird merī ashk-bārī kā
sabaq letī hai mujh se barq bhī aa be-qarārī kā
nahin kuchh abr hi shagird meri ashk-bari ka
sabaq leti hai mujh se barq bhi aa be-qarari ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download