Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muneer Niyazi's Photo'

Muneer Niyazi

1928 - 2006 | Lahore, Pakistan

One of the most outstanding modern poets who wrote both in Urdu and Punjabi. Also a film lyricist.

One of the most outstanding modern poets who wrote both in Urdu and Punjabi. Also a film lyricist.

TOP 20 SHAYARI of Muneer Niyazi

kisī ko apne amal hisāb kyā dete

savāl saare ġhalat the javāb kyā dete

kisi ko apne amal ka hisab kya dete

sawal sare ghalat the jawab kya dete

āvāz de ke dekh lo shāyad vo mil jaa.e

varna ye umr bhar safar rā.egāñ to hai

aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae

warna ye umr bhar ka safar raegan to hai

ḳhvāb hote haiñ dekhne ke liye

un meñ kar magar rahā na karo

KHwab hote hain dekhne ke liye

un mein ja kar magar raha na karo

muddat ke ba.ad aaj use dekh kar 'munīr'

ik baar dil to dhaḌkā magar phir sambhal gayā

muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'

ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya

ḳhayāl jis thā mujhe ḳhayāl meñ milā mujhe

savāl javāb bhī savāl meñ milā mujhe

KHayal jis ka tha mujhe KHayal mein mila mujhe

sawal ka jawab bhi sawal mein mila mujhe

ġham bārish ne bhī tere naqsh ko dhoyā nahīñ

ne mujh ko kho diyā maiñ ne tujhe khoyā nahīñ

gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin

tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin

mohabbat ab nahīñ hogī ye kuchh din ba.ad meñ hogī

guzar jā.eñge jab ye din ye un yaad meñ hogī

mohabbat ab nahin hogi ye kuchh din baad mein hogi

guzar jaenge jab ye din ye un ki yaad mein hogi

aadat banā hai tum ne to 'munīr' apnī

jis shahr meñ bhī rahnā uktā.e hue rahnā

aadat hi bana li hai tum ne to 'munir' apni

jis shahr mein bhi rahna uktae hue rahna

ik aur dariyā sāmnā thā 'munīr' mujh ko

maiñ ek dariyā ke paar utrā to maiñ ne dekhā

ek aur dariya ka samna tha 'munir' mujh ko

main ek dariya ke par utra to main ne dekha

ab kaun muntazir hai hamāre liye vahāñ

shaam aa ga.ī hai lauT ke ghar jaa.eñ ham to kyā

ab kaun muntazir hai hamare liye wahan

sham aa gai hai lauT ke ghar jaen hum to kya

apnī teġh-e-adā se aap ghāyal ho gayā

chāñd ne paanī meñ dekhā aur pāgal ho gayā

apni hi tegh-e-ada se aap ghayal ho gaya

chand ne pani mein dekha aur pagal ho gaya

ḳhvāhisheñ haiñ ghar se bāhar duur jaane bahut

shauq lekin dil meñ vāpas lauT kar aane thā

KHwahishen hain ghar se bahar dur jaane ki bahut

shauq lekin dil mein wapas lauT kar aane ka tha

thake logoñ ko majbūrī meñ chalte dekh letā huuñ

maiñ bas khiḌkiyoñ se ye tamāshe dekh letā huuñ

thake logon ko majburi mein chalte dekh leta hun

main bas ki khiDkiyon se ye tamashe dekh leta hun

shahr tabdīl honā shaad rahnā aur udaas

raunaqeñ jitnī yahāñ haiñ auratoñ ke dam se haiñ

shahr ka tabdil hona shad rahna aur udas

raunaqen jitni yahan hain auraton ke dam se hain

vo jis ko maiñ samajhtā rahā kāmyāb din

vo din thā merī umr sab se ḳharāb din

wo jis ko main samajhta raha kaamyab din

wo din tha meri umr ka sab se KHarab din

kal maiñ ne us ko dekhā to dekhā nahīñ gayā

mujh se bichhaḌ ke vo bhī bahut ġham se chuur thā

kal main ne us ko dekha to dekha nahin gaya

mujh se bichhaD ke wo bhi bahut gham se chur tha

maiñ us ko dekh ke chup thā usī shādī meñ

mazā to saarā isī rasm ke nibāh meñ thā

main us ko dekh ke chup tha usi ki shadi mein

maza to sara isi rasm ke nibah mein tha

ġhairoñ se mil ke sahī be-bāk to huā

baare vo shoḳh pahle se chālāk to huā

ghairon se mil ke hi sahi be-bak to hua

bare wo shoKH pahle se chaalak to hua

ghaTā dekh kar ḳhush huiiñ laḌkiyāñ

chhatoñ par khile phuul barsāt ke

ghaTa dekh kar KHush huin laDkiyan

chhaton par khile phul barsat ke

zamīñ ke gird bhī paanī zamīñ tah meñ bhī

ye shahr jam ke khaḌā hai jo tairtā na ho

zamin ke gird bhi pani zamin ki tah mein bhi

ye shahr jam ke khaDa hai jo tairta hi na ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now